SEO Guide ke is naye chapter me aapka ek baar phir swagat hai, umeed karte hai ki aap humare phele articles ko bhi follow kar rahe hoge, jisse ki aapko seo ke baare me bhut knowledge mili hogi.
Humara aim ( Maksad ) sirf aapko SEO ke liye self depend banana hai, jisse aap apne blog aur website ki seo ( search engine optimization) apne aap khud hi kar sakte hai, aur iske liye aapko kisi parkar ke koi extra paise khrchne ki bhi koi zarurat nhi hai.
Toh aayiye shuru karte hai.
SEO ek bhut important bridge hai jo users aur search engine dono ko aapki website ko samjane me kaafi madad karta hai. Halaki search engine tezi se pargatisheel ho rahe hai, lekin ye abhi web page ko aise nhi dekh sakte, jaise ki hum dekh sakte hai. SEO engine ko har ek page ke baare me detail me jaane me kaafi madad karta hai aur ye batata hai ki ye kaise users ke liye helpful ho sakta hai.
SEO ke sath judi ek common argument :
Aapne aksar is tarike ki baatin suni hogi ..
“Ek smart engineer kabhi bhi ek aisa search engine nhi bana sakta jo website ki requirement ke hisaab se uske rules aur principles ko rank aur index ke serial me rakh sake.”
Lekin rukiye :
Imagine kijiye ki aapne apne family dog ( pic koi bhi ho sakti hai ) ki ek pic online post ki. Agar ek admi isko dekhega toh wo dekhega ki ” ek medium-size ka dog, jo ki ek lab ki tarh dikh raha hai aur park me khel raha hai”. Lekin yahi baat dusri aur, duniya ke sabhi search engines ko isko samjne me kaafi dikkat aa rhai hai. Ab ye aap par depend karta hai ki aap kaise is post ko aise banate hai ki search engine ko isko samjne me asaani ho ?
Fortunately, SEO ne iske liye aapko ek tool diya hai, jiska naam hai webmaster, isse search engine ko aapke dwara daali gaye content ko samjne me asaani hoti hai. In fact, iske sabit hota hai ki aapke content ya post ko samjne ke liye search engine ko SEO ki zarurat toh padti hi hai.
Search engine ki abilities aur limitations ko samjne ke liye aapko content building, format aur web content ki sahi disha me jaankari hona zaruri hai, Nhi toh SEO ke bina aapk website search engine ke invisible ho sakti hai, jiska aapko bhut nuksaan uthana pad sakta hai.
Seo kya hai aur aapki website ke liye kyu zaruri hai ?
Search Engine ki Limits ( Simaye ) :
Sabhi search engine ek hi principle par kaam karte hai jaise ki maine Chapter No. 1 me bataya hua hai. Links ko follow kijiye aur bade paimaane par content quality content likhiye aur unko operate kijiye. Lekin Modern Technology abhi itni powerful nhi hui hai ki ye sab apne aap kar sake, iske liye usko aapke dwara SEO ki zarurat toh padti hi hai. Isme kuch technical limitations hai jo website ki ranking ko bhi effect karti hai. Neeche list me hum kuch example de rahe hai, jisko aapko zarur dekhen chahiye.
Problems Crawling and Indexing
- Online Forms : Search engine online forms complete karne me kabhi bhi acche nhi rahte ( jaise ki login karte time ), aur kabhi na kabhi kuch na kuch data hide hi rahta hai.
- Duplicate Pages : Website CMS ( Content Management System ) ka use karti hai ek page ka duplicate page banane ke liye; lekin search engine ki major problem yahi hai ki ye sirf original content ko hai dekhta hai.
- Blocked in the code : Website me kabhi kabhi Error aa jaate hai ( robots.txt), lekin iske karan ye poora search engine ko hi block ho jaata hai.
- Poor link structures : Yadi ek website ka link structure ek search engine ki samj me nhi aa raha hai toh, wo aisi kisi bhi website ke content ko nhi dundta.
- Non-text Content : Haalaki search engines non-HTML text ko padne bhi better perform karte hai, lekin abhi thodi high conflagration ke format padhne search engine ko problem toh aati hi hai, jaise ki Flash files, images, photos, videos and plug-in content.
Sunishit kare ki Search Engine me aapka content dekha ja sake :
Apni website ke liye Seo karne se phele hum sabhi ko search engine-friendly web development ki sahi jaankari hona bhut zaruri hai, ek baar ye clear ho gaya, uske baad aap apne content ki marketing bhi kar sakte ho. Search engine ke pass apna koi formula nhi hota jisse ki wo sirf aapke bataye gaye steps ko follow karta hai. Search technology metrics of relevance par nirbhar karti hai aur ye is baat par nirbhar karti hai ki log kya dekhna chahte hai, unke reactions, comment aur sath hi link bhi. So aap apni koi bhi website perfect nhi bana sakte, agar aap apni website par accha content likhte bhi ho toh aapko uske liye bhi logo ke reviews aur uski commenting ki zarurat toh hogi hi.
Search Engine ke sath kaise interact kare ?
Normally search page ke result par jo shuru ki ten positions aati hai, un pages ka selection unki rank ke adhaar par kiya jaata hai. Aapke page ki rank jinti high hogi, utna hi wo click-through rate ke liye accha rahega aur us par visitors ko attract karne ki ability bhi zaada hogi. Results me 1,2 aur 3 par aane wale articles ya posts neeche aane wale posts se zaada traffic attract karne ki ability rakhte hai. Isliye unke result bhi dusri posts ke mukable acche rahte hai. Infact wo searchers ki zaada attention le pate hai, kyuki unki rank baaki posts se acchi hoti hai.
Isse koi fark nhi padta ki aane wale samaye me log kaise search karte hai, lekin jo articles ya website search engine me high ranking me aati hai wo humesha grow karti rahti hai.
SEO lagatar badal raha hai :
Jab search marketing 1990s ke mid me shuru hua tha toh, manual submission, meta keywords tag, aur keyword stuffing jaise tarike normal hua karte thy, jinke dwara hi websites ki ranking decide ki jaati thi. 2004, me ye thoda change hua, anchor text ke sath link bombing, buying hordes of links jo ki automated blog commenting se connect hai aur inter linking construction jo websites ke visitors badane ke liye necessary ho gaya, wo hone laga.
Google Search Engine kaise Operate karta hai
2011, me social media marketing aur vertical search inclusion ki mainstream methods se search engine optimization hone laga. Search engines me iske baad ek gazab ka evolution aaya, 2004 me jo tactics chala karti thi, agar usko aap aaj laagu karoge toh aapko iska bhut nuksaan uthana pad sakta hai.
Future uncertain hai, lekin searchers ki duniya me, badlaav constant hai. Jo ki zaruri bhi hai. Is karan se, search marketing ki pehli priority yahi hai ki web world me competitive rahne ke liye naye naye tariko ki khoj karte rahe.
Kuch log aisa mante hai ki website ki ranking ke liye SEO ki koi zarurat nhi hai. Lekin ye sahi nhi hai kyuki :
Kyuki SEO se websites ko search engine me attention aur placement milti hai aur iske sath hi aapke knowledge aur experience me bhut sudhaar hota hai, jisse aap aise website banate hai ya usme aisa badlaav karte hai, jo aapki website ke traffic aur visibility ko badne me bhut zaruri hota hai.
Umeed karte hai ki aapko humara ye chapter pasand aaya hoga aur isse aapko ye pata chala hoga ki SEO marketing ke liye bhut zaruri hai.
Thank you,
karan jethwa says
Mr.Nikhil se inspire ho ke maine unke bare me ek awesome post likhi hai so aap ek baar hamari site http://www.pakkasolutionhindi.com par visit kariye or bataye ki post kaisi hai.
Sunny Singh says
Its really nice one karan ..
anuj godara says
really great info…..bro