SEO Guide ke is naye chapter me aapka ek baar phir swagat hai. Muje ye batate hue kaafi khushi ho rahi hai ki aapne humare is paryas ( SEO Guide ) ko kaafi pasand kiya hai. Toh uske liye mai aur meri team aapka bhut bhut abhaar vayat karte hai.
SEO Guide me aaj ka humara chapter hai Link Building. Ye ek aisa topic hai jiske baare me aapke aksar suna toh hoga, lekin zaada jaankari na hone ki wajah se kabhi bhi isko apply nhi kiya hoga. Toh aaj is chapter me hum aapko batayege ki Link Building kya hai aur isko apply karke apni website ko kaise popular kar sakte hai ?
Toh chaliye shuru karte hai :
Link Building kya hai ?
Apni website ke pages ko, apne dusre pages se interlink ya phir kisi dusri website ke pages se external link karna hi link building hota hai. Samanye sabdo ( words ) me ek page ko durse page se jodne ko hi link building kahte hai. Ye tactic SEO ki under aane wali bhut si technic ke jaise hi hai.
Link jaise ki aapko pta hi hoga ki URL ko kahte hai, jis par click karte hi aap us website ya blog par direct chale jaate hai. Jaise facebook.com, google.com, vikasplus.com etc.
Aise hi pages ke link bhi hote hai, jis topic ke baare me aapko jaanna hai toh aap us topic ke link par click karke waha par direct ja sakte ho.
Link Building 2 types ke hote hai, First Dofollow and second Nofollow. aap koshish karna ki hamesha dofollow sites se Backlinks le. nofollow Backlinks ka koi jaada effects nahi hota.
Algorithmic ( math ko solve karne ki ek trick ) ka upyoag aur analysis karne ke liye dhanyawaad. Yadi aap apni website par logo ki attention, traffic lana chahte hai toh isme sabse pehle aapko search engine ki ranking aur link building me bhut se paryas karne ki zarurat hai.
Link Signals
Jo search engine use karte hai.
Search engine kaise links ko value dete hai ? Toh iska jawab hai ki hume links ke individual elements ko explore karne aur search engine in links par kaise dhyaan de rahe hai is baat ko dhyaan se dekhna chahiye. Search engine ko zaada complicated links ki samj hi nhi hoti, wo sirf simple rahna chahta hai aur aapko bhi isi baat ka dhyaan rakhte hue apne links ko simple, experience aur texting ke adhaar par rakh kar hi apply karna chaiye. Jo link aap de rahe hai wo bhi point to point hone chahiye, aisa na ho ki aapne link toh diya hai blogging ka aur us par click karke visitor pahuch raha hai adsense par. Toh is baat ka hume dhyaan rakhna cahiye.
Global Popularity
Jitni famous site hogi uske link utne hi matter karte hai. Jaise ki Wikipedia hai usse lakho website ke link jude hue hai, iska matlab hai ki wo website zaada famous hai, kyuki itne logo ka bhrosha us par hai. Aise hi search engine ka viswaas jitne ke liye aapko, apne durse link partners ki bhi zarurat padti hai, jisse ki aapki website aur popular aur acchi lage aur traffic ke liye bhi sahi ho.
Local/Topic-Specific Popularity
Jaha par aap rahte hai ya jis country me aap rahte hai waha ki “local” popularity bhi aapke bhut kaam aati hai, search engines ye zarur dekhte hai ki aapki apne ghar me halat kya hai ? Aapke apne ghar me log aapki website ko kitna link karte hai ya aap dusri website ko kitna link karte ho. ye baat bhi bhut matter karti hai. For example, yadi aapki website dogs house sale se related hai, toh aapki website par kisi durse product ki tulna me dog food se related link hi aapko acche result de sakti hai.
Anchor Text
Anchor Text link building ke sabse majboot tariko me se ek hai. Yadi link ke bhut saare keyword ek sath show ho rahe hai, toh aapke page ki ranking ke uper jaane ki bhut sambhavna hai. Jaise ki aap post ke beech me “click here” ka link daal sakte hai. Is tarh is tarike ke link par visitor aane ke chances kaafi badh jaate hai.
Trust Rank
Isme koi surprise nhi hai ki Internet me spam massage ka amount bhut zaada hai. Ek estimate ko agar such maane toh web pages me lagbhag 60% page spam hi hote hai. Isliye jab tak search engine ka aapke web page ( website ) par trust nhi hoga tab tak wo aapki ranking aapko provide nhi krega. Acche links pane ke liye aapko ek highly-trusted domain purchase karni hogi is baat ka certificate hogi ki aapki website koi spam nhi hai, balki genuine hai aur ye aage bhi chalti rahegi. Isliye search engine ka trust paane ke liye aapko highly-trusted domains purchase karni hoti hai.
Freshness
Link signals samye ke sath sath kamjor hote jaate hai. Jo sites ek time par bhut popular hoti hai wo bhi apni freshness kho deti hai, jisse ki uski ranking me bhi fark aata hai. Isliye ye zaruri hai ki, hum samye samye par naye links aapni website par daalte rahe aur purane link update karte rahe, jo ki aapki website ki “Freshness” ke liye bhut zaruri hai. Kyuki search engine update ke time ye bhi dekhta hai ki aapne jo link ya backlinks apni websites par daale hue hai wo kitne purane hai, aur unse logo ko kitni help mil rahi hai. Isi adhaar par wo aapki website ko popular aur low dono kar deta hai.
Social Sharing
Pechle kuch saalo me dekha gaya hai ki hum apni website ke sabhi content social networking website jaise ki Facebook, Twitter aur Google+ par share karte hai. Waise search engine in links ko alag tarike se treat karta hai lekin ye humari website ke liye toh acche toh hai hi. Is baat ko lekar search engine expert me bhi ek parkar ki bahas ( debate ) shuru ho gayi hai ki, ye ek professional tarika nhi hai, lekin is reason se social network ki badti popularity ko bhi nazarandaaz nhi kiya ja sakta.
Toh yaha par humne aapko kuch tips diye hai ki jisse aap aapni website par link build karte samye in sabhi baato ka dhyaan rakh sakte ho.
Agar aapke koi swaal hai toh aap hume zarur likhe .
Thank you,
jaydeep Machhi says
link blind ke baare me aap ne badiya tarike se samajaya hai,
Nilesh verma says
this is really nice post for me,i am also start a link building for my website.
Pk shastri says
Sir maine aapka tah dil se dhanyavad karta hun aapne link building ke bare jo post kiya hai ye bahut hi helpful and useful hai
thanks sir
mukeshh says
agar sir hume active link pata lagana ho to kese lagae
Sunny Singh says
Iske liye aap jab bhi koi post likhte ho toh us page ke uper link ka option aata hai waha se aap jis kisi site ka link daalna chahte ho toh uska URL copy karke us link option ke ander daal sakte ho.
Neeraj says
me bhi ab apni website k liye link building acci taraha kar sakta hu kyu aapne acchi tarha samjhaya hai.