Aaj hum apne SEO ke tisre chapter me aapko btayege ki kis tarh aap Google Search Engine se interact ( Baatcheet ) kar sakte hai.
Agar aap SEO ke jariye link building ya koi aur strategy bana rahe hai toh empathy ( sympathy ) iska ek bhut bada element hai. sympathy apni audience ki liye. Ek baar aapko apna target pata chal gaya jisko aapne pana hai toh, toh aap un users ki help se usko badi hi asaani se pa sakte hai.
Hum yaha aapko batana chahte hai ki ki jab bhi aap apni website ya Blog banane toh usko ” apne visitors ke liye banane na ki search engine ke liye”
Jab bhi log search karte hai toh wo in teen tarike se search karte hai :
“Do” Traditional Queries : Jaise ki aapko jab bhi kuch search karna hota hai toh aap uske baare me poora question likhte hai, jo ki traditional tarika hai. Jo ki india me sabhi log karte hai.
“Know ” Informational Queries : Agar aapko kisi parkar ki knowledge chahiye toh aap, us word ya topic ko search engine me type karte hai. jaise ki agar aapko Narendra Modi ke baare me poori knowledge chahiye toh aap ” Prime Minister of India Narendra Modi ” type karte hai”
“Go” Navigation Queries : Yadi aapko kahi bhar jaana hai ya aap kisi city ya location ke baare me jaanna chahte hai toh aap uske baare me aise search karte hai. “Pink City Jaipur ”
Toh in teen tarike se search kiye jaate hai.
Jab bhi aapke visitors apne topic ko search engine me type karte hai aur aapki website par aate hai toh ye dekhne wali baat hoti hai wo aapki website se kitna satisfied hai means jo jaankari unko chahiye wo unko kitni mili hai ? ye ek bhut bada question hai jo aapki website ko top par bilkul neeche pahucha sakta hai. Kyuki search engine sirf aapki website hi show nhi karta hai wo bhut si dusri website ko bhi aapke competition me lakar kada kar deta hai. Search Engine ki pehli responsibility apne users ko sahi jaankari pardaan karna hai.
Toh aap apne aap se puchiye ki jis topic se related aapka article ya videos hai, wo aapke visitors ko satisfied bhi kar sakti hai ya nhi. kyuki quality article ya videos hi aapki website ki visitors ko aapse bandh kar rakh sakte hai.
Aur in sabhi shuruwat ek chote search box se hoti hai. Jo ki aapki life ko bikul badal sakta hai.
Bhut se saalo me search engines ne apne aapko time ke hisaab se change kiya hai, lekin abhi bhi iske primary principles change nhi hue hai wo waise hi hai jaise ki saalo pehle thy. Zaadatar search engine kuch is tarike se kaam karte hai :
- Diye gaye answer, solution se jaanakri parpt karna.
- Words aur phrases ka bhi bhut parbaav padta hai, jiske liye string ki zarurat hoti hai , jisko hum “Query” ke naam se jaante hai.
- Query ko search engine me search kare.
- Query match karne ke liye aur result paane ke liye, browse kare.
- Result mil jaane par, result par click kare.
- Solution ko scan kare, dekhe ki sahi hai ya nhi, phir solution ko link karte hai.
- Yadi satisfied nhi hai toh search results par wapas jaaye aur kisi aur link par browse kare.
Toh is tarike se search engine kaam karte hai, sath hi aapko bhi aisi hi kaam karna chahiye.
SEO ke sath Marketing ki Asli Shakti :
Aap sochte hai ki aapko kyu SEO par apna time, money aur resources lagane chahiye ? Jab bhi aap search engine usage se related board par ek imagination karte hai toh aapko usme ya lagta hai ki bhut si dursi studies me bhi toh ye sabhi baatin likhi hui hai, lekin usne toh kuch nhi hota.
Lekin hum aapke liye laaye hai bilkul recent, valuable knowledge, jo aapko sirf ye samjne ke liye madad nhi karegi ki search engine kya hai, balki aapko haal hi ki SEO ke baare me bhi zaruri baatin samjane me bhi sahyak hogi.
Search Engine ki race me October 2011 ki study ke anusaar Google sabse aage hai jo ki comScore ne ki hui hai :
- Search Engine ki race me U.S. core search market me ye sabhi hua hai ki 65.4 percent log apni query search karne ke liye Google Search Engine ki help lete hai, Yahoo ko follow karne wale 17.2 percent aur Microsoft ko 13.4 percent log follow karte hai. ( Asli duniya me, bhut se webmasters apne traffic ka bhut sa hissab google dwara hi lete hai )
- Agar hum sirf Americans ki baat kare toh akele unhone hi 20.3 billion searches kiye hai wo bhi sirf ek mahine me. Jisme Google se 13.4 billion search kiye gaye hai, yahoo se 3.3 billion, Microsoft se 2.7 billion search kiye gaye hai.
- Agar sirf Google properties ki baat kare toh akele unhone hi total search queries ka 67.7 percent akele search kiya hai, jabki Bing ne 26.7 percent all search queries ka search kiya hai.
StatCounter Global Stats reports ke anusaar ye hai top 5 search engines jo poore world me apne jariye traffic bejte hai :
- Google 90.62% traffic bejta hai.
- Yahoo! 3.78% traffic send karta hai.
- Bing 3.72% traffic send karta hai.
- Ask Jeeves .35% traffic bejta hai.
- Baidu .35% traffci send karta hai.
Kuch aisi baate jo aapko jaan ni hai zaruri :
Jab bhi log apne topic ko google ya kisi bhi search engine me search karte hai toh wo sabse phele wahi websites dekhte hai jo ki pehle page par top 5 me aa rahi ho, unpar hi sabse zaada clicks aate hai.
- Search aaj kal bhut popular ho gaya hai. Ye kam se kam 20% har saal teji se badh raha hai, kyuki aaj kal log direct website par na jakar search engine me jaana zaada pasand karte hai. Duniya me har din karodo log search engine ka paryog karte hai.
- Search drives ek adbhut tarika ha chahe wo online ho ya offline. Isse aap apne ghar me bathe duniya bhar me kuch bhi search kar sakte ho.
- Search Engine ke pehle kuch result high ranking wali website ke hote hai, aur unke articles bhi high quality hote hai. Isiliye wo search engine ke uper higher rank par show hote hai.
- Jo results search engine me uper aate hai, iska ye matlb nhi hai ki un website par accha traffic bhi ho, lekin wo apni ranking ki wajah se visitors ke beech apni ek alag jagh bana lete hai.
“Ek Marketer ke liye Internet hi sab kuch hai, khass tor par search, kyuki ye consumer tak pahuchne aur business ko build karne me ek important role play karta hai.”
Umeed karte hai ki aapko humara ye article pasand aaya hoga, aur aapko is baat ki knowledge hui hogi ki search engine se kaise interact karna chahiye.
Aap humari is SEO guide ko follow karte rahiye, isse aapko SEO se related sabhi parkar ki jaakari prapt ho jaaygi, jo aapko future me bhut help karegi.
Thank you,
Very good series
Very helpful chapter.
Sir ghar mai wifi kase lagaye uske liye kya karan hoga
Aapko kisi acchi company ka connection apne ghar par lagwana hoga, phir wo sab kuch apne aap hi kar dege.
Sir aap ne ye nhi bataya ki kaha se WiFi ko lagvan h
Iske liye aapne kisi pass ki telecom agency se sampark kar sakte hai, wo aapko iske plan aur conditions ki poori jaankri de degi. Jaise ki BSNL, MTS, AIRTEL etc.
Sunny sir mere gaav me BSNL ka nahi network hai or nahi Cabel connection to me bsnl ka connection kaise lu, or abhi bsnl pe naya connection par best offer chal raha hai, pleas help me
Iski poori jaankari aap apne najdiki Bsnl office me jakar le sakte hai.
Thanks sir kafi fast reply diya, great
Aur sir router aur moudem kya kar te h
Inse hi aapka internet wifi me convert hota hai.
SEO ke baare me aapki jaankari sabse alag or kafi helpfull hai, bahut hi bafiya article write kiya hai aapne, kus naya shikhne ko mila, or ak naat kehna chahuga ki jab bhi maine kisi bhi topic par search kiya tab aapki koi na koi post high renk par hi show hoti hai,
Thank you sanju