Apne is article me aaj hum aapko batayge ki Paytm Wallet kya hai aur ye kaise kaam karta hai ?
Humne apne pechle article me aapko bataya tha ki, paytm kya hai aur iske ander paise kaise add karte hai. Iska hume kaafi accha response mila toh aaj hum isi topic par apni series ko aage bada rahe hai.
Aap me se bhut se readers ne humse ye sawaal pucha hai ki paytm wallet kya hai aur ye kaise aur kab kaam karta hai ?
Toh aaj hum aapko yahi batane ki kosis karege, ki paytm wallet kya hai aur iske kya kya kaam hai ?
chaliye phir shuru karte hai.
Paytm Wallet kya hai ?
Paytm walled ek type ka Online Wallet hai. Jisme aap apne jeb wale wallet ke jaise paise rakh sakte ho aur phir is Online Wallet ko Credit ya phir Debit card ki jagah paryog kar sakte hai.
Lekin Paytm wallet me paisa daalne ke liye aapko Credit card ya Debit card ka istemall toh karna hi hoga.
Paytm un logo ke liye vardaan hai, jo DTH, Mobile recharge, Money Transfer ya phir bhut se services jaise Uber, Ola, Make my Trip, Book my show etc ki payment karne me aapko kisi bhi parkar ki koi preshaani nhi aaygi.
Reserve Bank Of India ne Paytm ke jariye wallet me paise rakhne ki ek monthly limit hoti hai. Demonetization se pehle ye limit 10000 hua karti thi, lekin ab Reserve Bank Of India ne iski limit badakar 20000 tak kar di hai aur agar aapke wallet itne paise hoge, toh aap ek acchi shopping kar sakte ho.
20000 rs se zaada ki aap paytm wallet ke jariye shopping nhi kar sakte, lekin iske baad bhi aapke account ki limit 1 lakh tak ja sakti hai, lekin uske liye aapke account me KYC ( Know Your Customer ) updated hona chahiye.
Paytm Wallet se kaise kare transection :
- Apne Account ka Registration aur Verification karaye.
- Paytm Wallet me apne Bank Account se paise transfer kare.
- Paytm Wallet se transection shuru kare.
Aapke dwara Online Wallet me daale gaye paise ko, Paytm Money bolte hai. Iska paryog Mobile Recharge, Data-card ya Bill Payment karne ke liye bhi kiya jaata hai.
Paytm Money ka istemaal Sabhi Paytm Apps aur Mobile sites par sabhi parkar ke transaction ke liye kiya ja sakta hai.
Demonetization ke baad Lakho log, shops, online store paytm se jud gaye hai, jisse ab caseless method ko badava mil raha hai, aur logo ke liye apni zarorat ki cheezo ke liye paise apni jeb me rakhne ki koi zarurat mahsoos nhi hogi.
Toh ye thi paytm wallet ke baare me kuch important jaankari.
Aapko humara ye article kaisa laga, iske baare me aap hume neeche diye gaye comment box me bata sakte hai aur sath hi sath apne sujaav bhi de sakte hai.
Thank you,
anuj says
me paytm se sahmat nhi hu kyu ki maine add money se paise add kiye,bank account se balance cut gaya lekin mere paytm wallet me nhi aaya aisa mere sath do baar hua 8 din ho chuke hai paise wapis nhi aaye,ab aap btao me kya karu….is liye mujhe paytm accha nhi lagta…
Sunny Singh says
Aap kisi bhi parkar ki tension mat le, kyuki mere sath bhi aisa hua tha, lekin mere paise 10-15 din se gap par wapas aa gaye.
Brajesh Kumar says
Ye Jan kar achha laga.
anuj singh says
wallet kaise banaye hm
Sunny Singh says
Is article ko follow kijiye.