Kahi baar aisa bhi ho jata hai ki hamara mobile data hame dhokha de jata hai. Aur jadatar ye tabhi hota hai jab hame internet ke sabse jaada jaroorat hoti hai.
Maan lijiye ki aapne restaurant mai apni girlfriend ko kuch khilaya, lekin bill pay karne lage to dekha ki aapke purse mai paise nahi hai.
Chalo Paytm se pay kar dete hai, lekin jab phone nikala to dekha ki Internet hi nahi chal raha hai.
To aise mai aap kya karege?
Ye ek shudh desi Indian ki problem hai.
Is problem ko solve karne ke liye Paytm ne ek shudh desi tarika nikala hai jiska istimaal karke aap bina Internet ke offline hi Paytm se paymet kar sakte hai.
Halhi ki update mai Paytm ne ek tarika nikala hai jisme aap ek phone call karke paytm ke dwara apne bill pay kar sakte hai, recharge kar sakte hai, ya phir payment bhi kar sakte hai. (Aur agar aapke phone ke signal hi nahi aa rahe to rehne do, aapki kismat kharaab hai.. Aaj ka bill aapko baratan saaf karke hi chukana padega)
Kaise kare Paytm se offline paymet:
Sabse pehle aapke pass ye do cheeze honi cahiye.
- PayTM account
- PayTM wallet mai paise hone cahiye
Ab aap kisi bhi phone number par paise bhej sakte hai in steps ko follow karke:
- Paytm par registered mobile number se 1800-1800-1234 par call kare
- Ab aapki call disconnect ho jaege, Aur call karte hi aapko Paytm ki taraf se call aegi
- Pehli baar is feature ka use karte wakt Paytm aapko ek PIN banane ko kahega (Ye PIN aapke ATM ke pin ki tarha important hai, ise kisi ko mat bataye)
- Ab PIN setup hone ke baad, aapne jisko paise bhejne hai uska number daale aur jitne payment karni hai utna amount daale.
Bas itna hi hai, aap is tarike ko istimaal karke bina internet ke payment kar sakte hai.
Ab agar agli baar aap kabhi internet ke bina fhas jae to is method ka istimaal kar sakte hai.
Ek baat batao…
… Kya aapne paytm ka istimaal Note band hone ka baad shuru kiya hai? ya phir pehle se hi kar rahe the?
Neeche comment kare.
HindIndia says
बहुत ही बढ़िया article है। …. Thanks for sharing this!! 🙂 🙂
LALITHA Goyal says
Mai to Paytm ki fan hoon.Aur aap ka article to bahut hi helpful hoga.mai to Paytm October 2015 se use kar Rahi join.Thanks for sharing this article.
Gaurav Dhawan says
पहले से ही कर रहा था, पर अब नोट बन्दी के बाद से अब ज्यादा कर रहे है।
hasnain says
Hy
hasnain says
How are you
hasnain says
https://vikasplus.com/paytm-ko-bina-internet-ke-offline-kaise-istimaal-kare/
AndroidAssister says
Very nycly written and i also use till before but now more than ago.