Aaj ke apne is article me hum aapko batayege kuch aise shaandar tarike jinko agar aap apni daily life me apply karte ho toh aapki memory kabhi kamjor nhi hogi.
Recent times me hum apni daily routin me itna busy ho chuke hai ki humne apne khaan paan ki taraf dhyaan dena bilkul hi chod diya hai. Jiska asar humre physical body ke sath sath mentally bhi bhut pad raha hai.
Aaj kal desh ka zaadatar yuva technology ( Computer, Mobiles etc )ka bhut use kar raha hai. Jiska effect motapa, sugar, thyroid etc hota hai. Iska ek aur nuksaan bhi hota hai, jiska aap sabhi ko itni zaldi se pata nhi chal pata, wo hai Memory Loss.
Memory jo hum sabse liye utni hi zaroori hai jitna ki humare liye daily meal (Food). Lekin hum sabko itni importance nhi dete, kyuki humara kaam aise hi chalta rahta hai. Jo ki bhut galat hai, jab tak hume pata chalta hai, tab tak bhut kaafi der ho chuki hoti hai.
Kisi bhi admi ki personalty ko attractive banane me aur us admi ko kaamyabi dilane me uski memory ka role bhut hi zaada important hota hai. Jis admi ki memory bhut kamjor ho jaati hai, use apni life me bhut si preshaniyo ka samna karna padta hai.
Kisi bhi karan se yadi aapki memory kamjor ho gayi hai toh kuch natural tarike hai, jinko aap apne daily routin me apply karke apni memory recover ( Tez ) ho sakti hai.
Toh phir chaliye shuru karte hai.
Memory badhane badiya gharelu tarike :
#Badam :
Raat ko sone se phele 5-10 badam paani me bigo kar rakh de aur morning me inka chlka utar kar ek paste bana le. 2 spoon honey aur badam ke paste ko 1 glass gungune dood ke sath le. Dood pine ke 1 ghante baad tak kuch khaye piye nhi.
Business ke liye website kyu zaroori hai
Aap badam ke paste ko makkan aur misri ke sath mila kar bhi kha sakte hai. Ye upay daily karne se iske result aapko bhut hi zald milne shuru ho jaayge.
#Akhroat :
Jaise aapne dekha hoga ki humare dimag ki jo banawat hai, wo akhroat se bhut milti hai. Yadi aap chahte hai ki aapki memory bhut tez ho, aur kabhi kamjor na ho toh aapko 20gm akhroat, 10gm kasmish ke sath rojana khaye. Garmiyo me aap iski quantity ko thoda kam kar sakte hai.
#Kaali Mirch :
5 se 7 kaali mirch me 20 se 30gm makkan aur misri mila kar khaane se dimaag ki kamjori door hoti hai aur aapki memory bhi acchi rahti hai.
#Aawale ka Murbba :
Subh kaali pet aawale ka murbba khaane se body ke bhut se faayde jude hue hote hai. Isse dil aur dimaag ke sath sath aapki memory aur aapke baal hamesha healthy rahte hai. Yadi aapko bhulne ke samsya hai toh aawale ke murbbe ke ras ka 1 spoon rozana apne salad ke sath khane se aapki ye problem bhi door ho jaaygi.
#Machli ka Tel :
Facebook par popular hone ke 7 shandaar tarike
Machli ko dimaag ka food mana jaata hai, kyuki uske ander Omega 3 Fatty Acid hota hai. Omega 3 fatty acid mind ke liye bhut zaroori hota hai aur inke sevan se aapka dimaag bhi tez hota hai, aur aapki memory bhut had tak badh jaati hai.
#Alsi ka Tel :
Alsi ke tel yaani Flex Seed me bhi Omega 3 Fatty Acid paaya jaata hai. Iske sevan se Machli ke Tel jitna faayda milta hai. Alsi ka Tel aapki concentration badhakar memory ko tex karta hai. Iske use se aapki sochne aur samjne ki capacity bhi badti hai.
Iska regular use karne se Mind se related koi bhi problem aapko nhi aati hai.
#Daal-chini ka Tel :
Daal-chini ka Tel bhi Memory badhane me kaafi madadgaar sabit hota hai. Ye tel cholesterol ko kam karta hai, jiski wajah se aapko mind tezi se kaam karta hai. Ye tel aapke dimaag ko thandak pahucha kar dimaag ko bhi shant rakhta hai.
Iske Ayurvedic guno ke karan, iska upyog Nerves Tension door karne me aur lost memory wapas laane me kiya jaata hai.
Toh ye kuch tips jinke jariye aap apni memory ko aur sharp kar sakte ho.
Aapko humara ye article kaisa laga, aap hume iske baare me neeche diye gaye comment box me likh kar bata sakte hai.
Thank you,
Sir meri website h careerfront.cf kya me isme YouTube ke adsense account se add laga sakta hoon
Laga sakte hai, lekin iske liye aapko adsense ki terms aur conditions ko padna hoga.
Nice information sir. Sir footer me Hinglish और हिंदी का ऑप्शन है इसे किस प्लगइन से बना सकते है। ताकि रीडर दोनों को अपने पसंदानुसार पढ़ सके।
Aapne jo memory ko boost krneki tips di he vah saandaar he,me is tips ko jarur follow krunga ki jisse meri memory or bhi bdhe,jisse muje mere kaamme or bhi faayda ho.