Pehle kuch dino se ya yu kahe ki 9 November se jab se PM Narender Modi ji ne 500 aur 1000 ke noto par ban lagaya hai, tab se hum sabhi ko paiso ke liye bhut dikkat ka samna karna pad raha hai.
Banko me paise exchange karane walo ki toh bheed hai hi sath hi, sath me ATMs ke bhar bhi bhut lambi – lambi line lagi hui hai.
Lekin isme bhi aapko preshaani ka samna tab karna padta hai, jab 2-4 ghanto ke baad aapko atm me numbe aaye, aur atm ka cash khatam ho jaaye.
Lekin aaj hum aapke liye laaye hai, kuch aisa tarika jisse ki aap ye dekh sakte hai, ki aapki city me mojood atms me kis atm me cash hai aur kisme nhi.
Toh isse hoga ye ki aapka time zaada waste nhi hoga, aur aap us atm par hi jaayge, jaha par atm me cash hoga.
Toh chaliye shuru karte hai.
cashnocash ye website kal hi launch hui hai, iske features kya hai aur ye kaise kaam karti hai, aaj hum aapko detail me batayge.
Ye jaanne ke liye ki kis atm me cash hai aur kisme nhi. Aap Google me cashnocash likh kar search kar sakte hai, aur iske baad jo website pehle number par aayegi, us par aapko click karna hoga.
Jaise hi aap website par click karoge toh aapke samne website khul jaaygi, aur uska kuch aisa page aapke samne aa jaayga. Isme atm ki jaankari ke liye aapko khali field me apni city ka Postal pin code daalna hoga.
Uper image me aap dekh sakte hai ki maine apni city ka pin code iske ander daal diya hai, iske aap aapko FindCash wale button par click karna hoga.
Jaise hi aap FindCash par click karege, toh aapke samne ek list bani hui aa jaaygi, jaise ki aap uper di gayi image me dekh sakte hai.
Isme ATMs ke address ke sath hi, left side me ye detail me hoti hai ki, kis atm me cash hai, kisme line zaada hai, aur kisme cash nhi hai.
Isse aapko ye pata chal jaayga ki aapko kis atm me jaana hai aur kisme nhi. Jisse ki aapke time ki bhut bacht hoti hai.
Is website me aap apne opinion bhi de sakte ho. Jaise aap kisi line me khade ho, toh aap us bank ke naam ke samne click karke apni baat rakh sakte ho.
- Agar bank me cash hai toh Green color ke cash button click kijiye.
- Lambi line hai toh Yellow colour ke Long wait button par click kare.
- Aur agar atm me se cash khtam ho gaya hai toh Red colour ke No cash button par click kar sakte hai.
Ye website aapke opinion ke sath hai bank ke samne inme se ek mark show kar dega, jisse ki baaki logo ko bhi bhut asaani hogi.
Aap hume facebook par follow karke bhi humse jud sakte hai, aur humari daily updates ko pa sakte hai.
Thank you,
Asween says
Me cash withdraw ke liye hrroj ATM check krne jaata hu lekin mayus hokar vapis ghr lotta hu kyuki yaa to vh bndh hote he yaa fir usme cash nhi hota yaa fir vhaa lmbi lmbi line hoti he,lekin ab aisa nhi hoga me aapki is tips kaa upyog kar pehle hi ATM ke baareme pta lga lunga.
sanjay says
very nicew line
aryav says
Wow