Aap Internet par surfing kar rahe the, achanak aapko ek website dikh gayi jo aapko laga ki bohot kaam ki hai. Ya phi koi aisa article dikh gaya jo aapne socha ki bohot bada hai, chalo baad me padhege.
Aise websites ko aap kaise sambhalege ? Kya aap isko kahi par likhege?
Is article me hum seekhege ki kisi bhi website ki link ko apne browser me kis tarha save karke rakhna hai.
Link ko save karne ko Bookmark ya Favorite karna kehte hai.
Bookmark kya hai?
Jaise ki naam se pata chalta hai, Book ke liye ek nishani jaha par hum kabhi bhi wapas aa sakte hai. Log kitab padhte hue aksar bookmarks ka use karte hai. Theek isi tarha Internet par bookmarks ka use karke aap kuch dino baad wapas wahi se website padhni shuru kar sakte hai.
Favorite kya hai?
Agar aap kisi website ko baar baar chalate hai, to aap uspe Favorite kar sakte hai. Jisse aapko us website ka address bar bar nahi daalna padega.
Bookmark aur Favourite ek hi baat hoti hai.
Computer par Bookmark kaise kare
Kisi bhi website ko favorite ya bookmark karne ke liye neeche diye gaye steps ko follow kare.
Step 1: Jis bhi page ko bookmark karna hai us page ko khole.
Step 2: Apne keyboard se Ctrl + D press kare
Step 3: Ab jis bhi folder me aapne bookmark karna hai us folder ko select kare
Step 4: Done par click kare.
Computer par bookmarks kaise dekhe
Mai ye maan ke chal raha hun ki aap log Google Chrome use karte hai. Lagbhag sabhi browsers me tarika same rehta hai.
Agar aapne Folder me Bookmarks bar daala tha to aapka bookmark yaha par kuch is tarha bana aa jayega.
Bohot saare bookmarks ho jaye to aap unhe alag alag folder me bhi manage kar sakte hai.
Pehle se saved bookmarks ko manage, edit ya delete karne ke liye aap apne bookmarks bar par right click karke manage kar sakte hai.
Android Phone par bookmark kaise kare
Jadatar log internet ko android mobile dwara chalate hai. Isliye android par bhi bookmark karana pata hona cahiye:
Android par favorite ya bookmark karne ke liye:
Step 1: Apne mobile browser me website ya page khole
Step 2: Browser ka menu khole aur waha se star icon par click kare.
Aage padhe :
Step 3: Star icon ko click karte hi aapka bookmark ho jayega.
Android Phone par Bookmarks kaise dekhe
Mobile ke chrome browser me Bookmark dekhne ke liye in steps ko follow kare.
Step 1: New tab khole
Step 2: Bookmarks folder me jaane ke liye sabse neeche se Star icon par click kare
Step 3: Ab ye aapka Bookmarks area khul gaya hai. Yaha se aap bookmarks ko Delete, edit ya Rename kar sakte hai.
Agar aapko ye article pasand aaya to aisi hi aur tips ke liye hamara Facebook page follow kare.
Ye bhi padhe :
- Blog aur Website me kya fark hota hai ?
- Internet se free books download karne ki best websites !
- Cyber attack se bachne ke kuch asaan tarike !
Leave a Reply