Aapne Google par search likh kar to kari hi hogi, lekin kya aapko pata hai ki Google par image dwara bhi search ki ja sakti hai.
Google image search ke ye fayada hai ki aap kisi bhi image ki jaankari Internet par prapt kar sakte hai. Jaise ki agar aap Taj Mahal ki images ko Google Images search me upload karoge to Google apne aap hi image ko padh kar aapko TajMahal ki jaankari de dega.
Is article me hum Google par images dwara search karne ke kuch tarike jaanege.
Image Upload karke search kare
Agar aapke computer me koi Image padhi hai jiski aap jaankari cahte hai, aap us image ko images.google.com par upload karke search kar sakte hai.
Upload karke search karne ke liye sabse pehle images.google.com par jaye.
Search box par bane hue Camera Icon par click kare.
Aage Padhe :
- Google par Gmail Email ID/Account kaise banate hai ?
- Google Account me Photo kaise upload karte hai ?
- Yahoo mail par E-mail ID kaise banate hai ?
Phir file upload karne ke liye Choose File par click kare
Phir apni image select karke Open par click kare
Image upload hote hi Google aapko aapki image se sambandhit jaankari search karke dedega.
Drag and drop karke Upload kare
Aap apni Image ko Google images search box par drag and drop karke bhi search kar sakte hai.
URL Dwara Images search kare
Agar aap URL dwara search karna cahte hai aap images ki url ko camera icon par click karke khule input box me paste karke search kar sakte hai.
Google Chrome Images search shortcut
Agar aap Google chrome mai Internet use karte hai to aap internet par uplabdh kisi bhi image par right click karke – “Search Google for this image” kar sakte hai.
Is article me humne Google ko images dwara search karna seekha hai.
Agar aapko aise hi aritcles ki updates chaiye to hum Facebook par follow kar sakte hai.
Thank you,
Ye bhi padhe :
- CV aur Resume me kya fark hota hai ?
- Ek Accha Email kaise likhe ?
- Gmail Account ko Delete kaise karte hai ?
chitranjan yadav says
hi friends main apne naam ka website kaise banau pleaee help me aur e k baat hai ki main google par photo kaise upload kare
Vikas Plus says
Blogger par free website ya blog yaha banaye </a>Google par profile photo kaise upload kare ?
In articles ki help se aap apne dono kaam kar sakte hai.
Mohd.zeeshan says
Hello, kya sir adroed mobile pr images.google.com pr pic search ho skti h
Vikas Plus says
Agar Google search box me opiton aa raha hai toh zaroor hogi.
SANJEEV BHARDWAJ says
FL STUDIO ME KOI BHI GAANA KAISE BANTE HAI ESAKA FULL VIDEO CHAHIYE PLEASE VIKAS PLUS
Sunny Singh says
Dekhiye FL studio abhi humne use nhi kiya hai, jaise hum isko use karte hai hum aapko iske baare me apse information share karege.
Subhash gautam says
To kya hum isse kisi aadmi ki agar photo ko google image par upload karte hai to jitna bhi data google ke pass hoga wo uske bare me bata dega
Sunny Singh says
Ji ha but wo admi famous hona chaiye ya phir social media par hona chahiye.
chandan Chakravarti Yadav says
Android phone se kaise photo se details nikale