Aaj hum apne SEO ke pehle chapter me aapko batayge ki Google Search Engine kaise operate ya kaam karte hai. Jisse aapko ye samjne me asaani hogi ki seo karne ke liye hume kin kin baato ko dhyaan me rakhna chahiye.
Maan lijiye ki World Wide Web (www) ek train system hai jo saare stops par ruk kar chalta hai.
Aapko sabhi stops par kuch unique document ( jaise web page, PDF, JPG aur bhi bhut se format ki files ) dekhne ko milte hai. Search Engines poori website me crawl ( regna) karna zaada pasand karte hai aur sabhi stops par ruk kar, apne liye best path aur links ki khoj karte rahte hai.
Web server ka link structure aisa hona chaiye ki wo web page ke sabhi hisso ko ek sath bandh sake :
Links search engine ke liye ek automated robots ke jaise kaam karta hai, jinko hum “crawls” ya “spider” bhi kahte hai, jo lagbhag poori duniya ke logo aur search engine ke jariye kisi bhi parkar ke document ko interlinks karte hai.
Ek baar engines in pages ko dhund lete hai toh phir wo in codes ko padte hai, jo ki unke databases me bhut se tukdo me pade hue hote hai. Is bhut bade task ko complete karne ke baad, wo kuch hi seconds me, search engines companies dwara duniya bhar ke datacenters me plot kiya chuka hota hai.
Ye bhut badi storage facilities hoti hai jo hajaro processing machines dwara large quantities ke jariye bhut kam time me aapko aapki information uplabdh kara deti hai. Jab bhi koi vaykti search engine me kuch search karta hai toh ye uski demand ke hissab se usko instantly result dekha deta hai; lekin 2 ya 3 second ki deri bhi aapke customer ko dissatisfied kar sakti hai. Toh search engines is par bhut hard work karte hue zald se zald aapko aapke result dikhane ki kosis karte hai.
Blog banate time in 8 baato ka rakhe khyaal
Answers Dena :
Search engines ek parkar ki answer machines hoti hai. Jab bhi koi vaykti online kuch bhi search karta hai toh, search engines billions document dekhne ke baad ye do cheeze karte hai : first, ye wahi result aapko dikhta hai jo aapke keyword se match ho. Second, ye aapke topic se match karke different highly rank result aapko dikhayega, jo abhi top par chal rahe hai. Ye dono hi SEO ke ander popularity aur ability ke adhar par aapko dikhaye jaate hai.
Search Engine kaise Popularity aur Ability ka chunte hai :
Search engines ke liye Ability ka matlab sahi words ke pages ko hi dudhna nhi hai. Web ke pehle dino me, search engines apne simple steps se aage jakar nhi socha karte thy aur search result ki ek limited value hoti thi. Lekin jaise time aage badta chala gaya, smart engineers ne bhut se naye aur acche raste nikal liye result match karne ke liye. Aaj, search engines itne develop ho gaye hai ki wo aapko bhut se bases ke adhaar par acche se acche result dikhne ki kosis karte hai aur hum yaha par is guide me hum aapko isi parkar ki badiya jaankari uplabdh karane ke kosis karege.
Search engines typically aapko sabse acchi website, page or document dikhate hai, jo ki aapke liye sabse badiya valuable information provide karate hai, jiski aapko zarurat hai. Search engines ki ye imagination (result), aapke satisfaction ke hisaab se bhut hi upyogi sabit hoti hai. Jaisa ki aap sab bhi jaante hi hoge.
For Example : Yadi aap ye search karte hai ki Best universites toh search engine aapko Ohio State university uski ability aur popularity ke adhaar par harvard university se phele dikhyega, kyuki Harvard University, Ohio State se kam popular hai.
Toh search engines aise kaam karte hai.
Blog post ko Google, Bing, Search Engine se kaise jode
Google Webmaster dwara Seo ki jaankari :
Google ne ye sunischit kiya hai ki, uske dwara search kiye jaane wale topics ko behtar ranking ke adhaar par aapko dikhaye jaaye. Iske liye kuch guide lines hai, jinko aapko follow karne ki jarurat hai :
- Aap jab bhi apni website ya blog banaye toh unke pages aap users ke liye banaye, na ki search engines ke liye. Kabhi bhi apne users ko dhoka na de, kyuki kabhi kabhi aisa ho jaata hai ki content ka title kuch aur hota hai aur uske andr kuch aur hi dikhaya jaata hai. Toh iske liye aapko aware hone ki zarurat hai.
- Apni website ko bhut hi simply aur attractive banaye aur jo text links un par ho, wo bhi bhut simple aur samjne wale ho. Sabhi page kam se kam ek click me user ki reach me hone chahiye. Jaise ki hum unko category wise kar sakte hai.
- Humesha ek useful, aur information rich site banaye aur jab bhi aap pages banaye toh wo aapke content se bhut clear aur accurately describe hone chahiye. Sabse pehle ye sunischit kare ki aapke title elements aur ALT attributes acche se descriptive aur accurate toh hone hi chahiye.
- Title ko descriptive banane ke liye useful descriptive keywords aur human-friendly URLs banane chahiye. Document ko visitors ki reach tak pahuchane ke liye kam se kam ek URL toh dena hi chahiye, Ex : category, tags etc.
Daare nhi naye experiment karne me :
Yaha par mai aapko yahi advice duga ki, 15+ years se zaada se web search chalta aa raha hai, search marketers ne bhut se naye methods nikal liye hai jisse ki search engines par pages ko rank kara sake aur visitors ko acchi information provide kara sake. SEO aur marketers jo data use karte hai wo clients ki website ki bhut help karta hai, unki website ki page rank ko badhane me aur articles ko better position me laane ke liye.
Experiment ka Time :
- Kisi bhi nayi website ko, kisi bhi bakwass keyword se sath shuru kare (Ex – chupchaplelo.in)
- Website me bhut se alag alag tarh ke pages ko banaye, lekin ye sabhi ek khass target ko indicate kar rahe ho.
- Pages ko kuch is tarah banaye ki ye lakshay ke pass hi rahe, ek time me ek page par hi aisa kare, text ki placement, formatting, keywords, link structures ke sath bhi aap experiment kar sakte hai
- Index me aapne domain ke link daal sakte hai, jo dusri domain se well connected ho.
- Search engines me page ki rank ka record bhi rakhe.
- Pages me thoda sa change aur assess (parivartan) aapke search result me bhut bada badlaav la sakta hai, aap durso ki website se uper ja sakte ho, jisse aapke page rank me bhi bhut improvement ho sakti hai.
- Kisi bhi result ko effective banane ke liye, unka baar baar re-test dusre domain par bhi karte rahe. Yadi bhut se tests consistent aate hai toh, sambhav hai ki aapke ek naye method ki khoj kar li hai , jisko aap apne durse domain me bhi laagu kar sakte ho.
Yaha maine aapko bhut hi easy language me ye jaakari di hai ki Search Engine kaise operate karte hai. SEO ke baare me jaada samjne ke liye aap humare SEO series ke sabhi articles ko padh sakte hai.
Thank you,
anuj godara says
in this time main youdial.in directory website ka seo kar raha hu to muje seo main bahut helpful lagi ye post… keep it bro
Lavkysh kumae says
Google me yesa kya hai ki srhchig kuch vi utha le ta hai