Aaj ke vikasplus ke is article me hum aapko batayege ki Free blog banane se aapko kya kya nuksaan uthane padh sakte hai ?
Hum jab bhi blogging ya internet se judi kisi bhi cheez ke baare me sochte hai, chahe phir wo movie downloading, chatting, website making ya phir blogging ho. Hum sabse phele yahi dekhte hai ki Hum kis tarah se in cheezo ko free me pa sakte hai.
Aur khass kar ye mentality India ke youth me zaada hai, wo poora din internet par yahi search karne me nikal dete hai ki, kis tarike se, ya kis software ke jariye hum kis bhi cheez ko free download kar sakte hai.
Yahi baat jab aap blogging ya phir website making karte ho uske ander bhi laagu hoti hai.
Ye toh aapko pata hi hoga ki free ki cheeze kabhi bhi dhoka de sakti hai, aise aapke sath kabhi na kabhi toh zarur hua hi hoga.
Toh same aisa hi internet ki duniya me bhi bhut hota hai, yaha par companies thode se faayde dikha kar customers ka use karti hai.
Aaj hum baat karege, Free blogging platform se hone wale nuksaan se baare me,
Toh chaliye shuru karte hai.
Aaj kal bhut se platform free blogging karne ke liye visitors/readers ko invite karte hai, jaise ki humne apni kuch dino wali post me bhi aapko kuch free platforms ke baare me bataya tha.
Free blogging tab tak toh thik hai ager aap isko as a interest kar rahe hai, lekin ager aap blogging ko lekar serious hai aur iske jariye kuch sabit karna chahte hai ya phir logo ki kuch help karna chahte hai, jaise ki hum vikasplus ke through kar rahe hai, toh aapko meri advice yahi hai ki aapko ek paid platform par hi apna blog banana chahiye.
Kyuki iske saare control aapke hath me hi rahte hai aur ye aapko kabhi dhoka nhi dega. Jaise ki free blogs de dete hai.
Ab aapke mann me ye sawaal zarur uth raha hoga, kuch log toh free blogging platform par hai, aur unko toh kuch nhi hua, aur wo log paise bhi kama rahe hai.
Yaha mai aapko ek baat zarur batana chahta hu ki wo log zarur kuch paise kama rahe hoge, lekin wo iske jariye wo sab kuch nhi kar sakte, jo ki paid platform wale kar sakte hai.
Internet se paise kamane ke kuch shaandar tarike
Aaiye mai aapko kuch point ke jariye ye batata hu.
Free platform me aapke pass Template wo bhi free hi hoti hai, lekin ager aapko kuch usse acchi template chahiye toh aapko kuch pay karna hoga, lekin ager aap free template hi use karte hai toh iske kuch nuksaan aapko uthane pad sakte hai.
Free Template ke Nuksaan :
- Free template designer link/credit link hoti hai jo ki jadater footer me dikhti hai
- Credit link ko hatana bohat mushkil hota hai
- Blogger ke visitors divert ho jate hai
- Faltu ke widget hote hai jo tamplet se dur nhi hote.
- Content copy hone ka derr hota hai
- Blog loading time increase ho jata hai
Free Hosting ke Nuksaan :
- Free Hosted Blog Kisi Bhi Samay Khatm Ho Skata Hai
- Free Hosting Blog Sell Nahi Kar Sakte
- Koi Safety Nahin Hoti Hai
- Aapka Server Resources Par Koi Control Nahin Hota
Aapka Blog kabhi bhi band ho sakta hai :
Ager aap ye sochte hai ki, ek baar aapne blog bana liya hai, aur wo kabhi band nhi hoga toh, ye aap galat soch rahe hai.
Kyuki Blogger, wordpress ya kisi bhi free platform par jo apka blog hai wo aise hai, jaise ki ek rent ka ghar hota hai, aap bhale hi uske ander 2-4 saal rah le, lekin landlord ki jab marzi hogi wo aapko bhar nikal sakta hai.
Blog ko professional designer se kyu design karwaye
Aise hi jab bhi in platform ki marzi hogi, tab wo bina ki warning ke aapka blog band kar sakte hai, chahe aap usse kitni bhi earning kyu na kar rahe ho.
Isliye jab aap seriously kisi ek particular purpose ke liye blogging ki starting kare, toh aapko paid platform par hi apni blogging start karni chahiye.
Toh ye thi kuch aisi baatin jo aapko free blog banate hue dhyaan me rakhni chahiye.
Aapko humara ye article kaisa laga, agar aapke koi sujaav ya swaal hai toh aap hume neeche diye gaye comment box likhkar hum tak pahucha sakte hai.
Aap hume facebook se judkar bhi hume follow kar sakte hai.
Thank you,
Sir aap ke blog ka template mujhe achi lagi h sir mujhe bhi ye template chaye sir aap bata sakte h ki kaha se le ya fir aap download Link dede.
Ye humne apne aap banayi hai.
sunny aapne post ka title likhane me galti kar di h aapne likha h free blog banate ke kya kya nuksaan hain aapko banate ki jgah banane likhana chahiye or post ka title me Jitne bhi keyword ko use karo unko capital letter se start kiya karo Jisase title good looking ban jata h
Thank for your advice dilip ..
Sir android aap ko to windows mai use kar sakte h sir window aaps ko android mai use kar sakte h ko nhi?
Nhi jo apps andorid ko support karti hai, wo window mobile ko support nhi kar sakti.
मैं ये जानना चाहता हूँ कि क्या Free Template को Google adsense में Approval नहीं मिलता है क्या ?
Nhi aisi koi baat nhi hai free template ko bhi adsense approval mil jaata hai, lekin itni asaani se nhi milta jitna ki paid template ko mil jaata hai.
Bhot hi accha jankari bro nice aarticle
sir android phone mai application ka apk file use kar te h aur window mai exe file ka sir iOS mai kon si file ka use kar the h
Iphone ke wo apni file hoti hai.
Sir template kharidne ki koi badhiya si side bataye ,,,
10+ Best Responsive और SEO Friendly Templates For Blogger