Agar hum apni Facebook profile ko active rakhna cahte hai aur logo par apna trust banana cahte hai to hume apni Facebook profile par din me 2-3 bar kuch na kuch daalte rehna cahiye. Lekin kabhi kabhi aisa hota hai ki time nahi mil pata.
Hum is problem ko solve karne ke liye apni posts ko schedule kar sakte hai, schedule karne se hum apni Facebook posts ko advance me hi update kar sakte hai, jaise ki hum subha 8 bje hi shaam ke 3 bje ki posts daal sakte hai, aur 3 bjte hi wo posts apne aap Facebook par upload ho jayegi.
Is article me mai aapko kuch services ke baare me batauga to aapko Facebook status updates schedule karne mai help karti hai.
Laterbro.com
Laterbro ek free tool hai jiske dwara aap apni Facebook posts ko bina kisi registration ke schedule kar sakte hai.
Sabse pehle Laterbro.com par jaye.
Laterbro use karne ke liye sabse pehle aapko apni Facebook profile se sign in karna hoga. Sign in karne ke liye Facebook ke button par click kare, aur agli window me se Okay par click karde.
Ab LaterBro hame TimeZone select karne ko kahega. Yaha se India ka Timezone select karke Next par click kare.
Agle page par:
- Apna status daale
- Date select kare
- Time select kare
- Profile select kare (aap yaha dropdown mai se daily bhi select kar sakte hai, jisse ki aapki post daily is status se update hogi)
- Schedule par click kare
Ye to tha bohot asaan tarike Facebook ki post ko schedule karne ka. Chalo ab thoda mushkil tarika seekhte hai.
Aage Padhe :
- Facebook par Status Update kaise karte hai ?
- Facebook par Photo/Album kaise upload karte hai ?
- Gmail par Photo kaise upload karte hai ?
IFTTT
IFTTT ka matlab hai If This Then That, ye service hali ke dino me bohot famous ho chuki hai. Is service se ham apne kayi saare kaam automatic kar sakte hai.
Sabse pehle Hume IFTTT par account banana hoga. Account banane ke liye https://ifttt.com/join par jaye. Email aur Password daal kar Create account par click kare.
(Apne Email id par jaakar IFTTT account jaroor confirm karle)
IFTTT me kisi ek automatic action ko hum Recipe kehte hai, To Facebook status ko automatic karne ke liye hum “create a recipe” par click karke ek recipe banaye ge.
Ab “this” par click kare
Date ko search karke, Date & Time channel select kare.
Hum IFTTT ke Date & Time Channel ka use apni Facebook ki posts update karne ke liye kar sakt hai. Ye channel koi bhi tast trigger karta hai scheduled time par, humare case me ye ek tey samaye par Facebook par update dega.
Ab kyoki hume ek baar hi update karni hai hum every year par click kar sakte hai.
Ab post schedule karne ka Time select kare. Aur Create Trigger click kare
Hamare this ready hai ab that par click kare
Facebook search karke select kare
IFTTT ko Facebook se connect kare
Agle page par Okay click kare
2 bar firse Okay karke Done par click karde
Continue to the next step par click kare
Ab hum apna action select karege, hume status update karni hai to hum sabse pehle wala select karege
Ab apna Status daalkar Create action par click kare
Final karne ke liye Create recipe par click kare
Ab aapki Recipe ready hai, IFTTT aapki post ko apne aap scheduled time pe post kar dega
Agar aap ye steps bohot jada lage to aap LaterBro ka hi use kar sakte hai. Lekin mai to kahu ga ki IFTTT ka bhi use karna seekhle, thoda mushkil to hai shuru me lekin ek baar aagaya to kafi saare kaam automatic kar sakta hai ye aapke.
Aise hi aur articles ki updates prapt karne ke liye hamara Facebook Group join kare.
Thank You 🙂
Ye Bhi Padhe :
- Facebook par Page kaise banate hai ?
- Facebook Developer kaise bane ?
- Facebook ka Autoplay Video Feature kaise band karte hai ?
kartik says
sir aap se bahot kuch sikhne ko milta he thankyou so much..
tussi great ho. ????