Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Facebook Boost Post Aur Promote Kya Hai?

September 8, 2015 By Nikhil Arora

Kayi saare log comments me ye pooch rahe hai ki unke Facebook page par posts ke neeche Boost Post ya Promote Page likha aata hai. Ye kya hota hai?

Agar aap apne Business ko Facebook dwara jaldi se bhadana cahte hai to Facebook ke ye Feature aapke liye kafi fayademand ho sakte hai.

Is post me aapko Facebook Advertising ke baare me thoda bohot batauga.

Kuch samye pehle Facebook ne pages par organic search ko kum kar diya tha. Aapka page ab bhi logo ko dikhta hai, lekin logo ke Facebook feed me upar nahi ata, jisse ki page par “Likes” pehle ke mukable kam aate hai.

Ab agar aap apne page ko Facebook feed me upar lana cahte hai to aapko apni jeb se kuch paise Facebook Ads par lagane hote hai (Facebook isi tarha profit paise kamata hai).

Boost Post kya hai?

Aapne apni Facebook ki timeline par aisa kuch jaroor dekha hoga.

facebook-boosted-post

Inhe Boosted posts kehte hai, Koi bhi company apne page par ki gaye posts ko Boost kar sakti hai. Boost karne ke baad jin logo ne aapke pages ko like kiya hai unko aur unke friends ko aapki post Ads ki tarha Facebook timeline par upar dikhna shuru ho jayegi.

Aage padhe:

  1. Free Blog aur Website kaise banate hai ?
  2. Facebook par Friend list kaise Hide karte hai ?

Boosted post ke neeche “Sponsored” likha hota hai.

Post karne ke liye apne page par posts ke neeche likhe “Boost Post” button ko click kare.

boost-post-button

Ab aap setting kar sakte hai ki kis tarha ki audience tak aapki post jani cahiye. Edit Audience par click karke aap apni audience ki age, location aur interest select kar sakte hai.

audience-select-kare

Sirf 50/- me meri post 2900 se 7700 logo ko dikh sakti hai.

boost-post-karne-ke-options

Boost par click karne ke baad Facebook aapse Credit card ki details mangega. Aap apne credit card ki detail daal kar, Facebook ko paise de sakte hai, jiske baad Facebook aapki post ko promote karna shuru kar dega.

Promote Page kya hai?

Boost post se hum post ko logo tak jada se jada pohchate hai, humarai post logo tak pohoch to jaati hai. Lekin wo log aapki post like kare ya na kare uski koi guarantee nahi hai.

Promote Page par karne se Facebook aapke page par likes dilwata hai. Aur Jitne likes aapko cahiye utne paise aap Facebook ko dete ho.

Promoted page kuch is tarha dikhta hai.

facebook-promote-page

Page promote karne ke liye aap apne page par Promote Page button click kar sakte hai.

promote-page-button


Facebook ads par tabhi paise lagaye jab aapko pata ho ki isse aapke Business ko fayada hoga. Agar aap apne shonk ke liye Facebook page bana rahe hai to Facebook Ads ka koi fayada nahi hai.

Is article me maine aapko Boost/Promote karne ka Basic bata diya hai. Agar aapka koi aur sawaal hai to neeche comment kare.

aise hi aur article paane ke liye hamara Facebook group jaroor join kare.

Thank you 🙂

ye bhi Padhe:

  1. Facebook ke Shortcuts se time kaise bachaye ?
  2. Facebook me Profile Picture kaise change kare ?
  3. Flipkart par ID kaise banate hai ?

Filed Under: Social Network Tagged With: facebook, Money

Comments

  1. abrar khan says

    December 18, 2015 at 9:24 pm

    bhai mujhko ye janna hai ki Facebook pr mujhe koi frnds request send na kr sake sirf usko meri fb timeline pr sirf fallow bala hi option dikhai de or wo mujhe sirf follow hi kr sake…mujhe sirf iske baare mei kuch bata dijiye ki ye kaise hota hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 11:49 am

      Upar privacy settings mai jaakar: Who can contact me > Who can send me friend requests? > ab friends of friends select karlo.

      Reply
  2. sikandar says

    January 7, 2016 at 12:45 am

    Kya ham Facebook per page banake Paise kama sakte he

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 3:00 pm

      Facebook paise nhi deta hai ..bas aap usse traffic la skate hai.

      Reply
      • cheema says

        June 30, 2016 at 2:40 pm

        os bara ma explain kr dain k kasa piasa kama sakta hi or tarafic la sakta hi matlb

        Reply
        • Sunny Singh says

          July 26, 2016 at 11:18 am

          Jitna zaada tarffic aapki website ya blog par aayga utna hi zaada aap paisa kama sakte hai, kyuki logo aapki service ko pasand karege, ya phir ad network dwara diye gaye ads par click karege, jisse aapki income me increment hogi.

          Reply
  3. rahul sharma says

    January 22, 2016 at 11:31 pm

    Helo

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 23, 2016 at 10:24 am

      Vikas plus me aapka swagat hai.

      Reply
  4. vivek says

    March 13, 2016 at 9:56 am

    kya mai apne facebook page par apna youtube channel promote kar sakta hu . agar hota h to kaise….? ply reply soon

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 19, 2016 at 10:26 am

      Aapn apne youtube channel ki link apne facebook page par daal kar usko promote kar sakte hai.

      Reply
  5. khemchand says

    March 21, 2016 at 9:56 pm

    Kya Apne fb page se hum paise bhi kma skte h kya

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 22, 2016 at 10:48 am

      nhi, wo isliye ki ye bhut hi muskil kaam hai. Isse accha aap ek blogger ban kar kama sakte ho.

      Reply
      • cheema says

        June 30, 2016 at 2:46 pm

        blogger sa kia fiada

        Reply
        • Sunny Singh says

          July 1, 2016 at 10:54 am

          Blogger se bhut faayde hai blod se aap apni baat logo tak pahucha sakte ho us topic ke baare m unke vichaar jaan sakte ho…
          Apne followers bada sakte ho aur to aur aap blog se paise bhi kama sakte ho
          Aur bhi but se faayde hai blog banane ke

          Reply
          • Tejas says

            November 22, 2016 at 4:41 am

            Blogger se kese paisa kama sakate he

          • Sunny Singh says

            November 22, 2016 at 10:37 am

            Blog se paise kaise kamaye ?

  6. Rai Saab says

    May 18, 2016 at 9:26 am

    Hello bro.. Meri ek help kariye jo hamara facebook page hota h use niche jo. Community,song,writer,musician/band,album. Vegara ata h wo kaise change hoga. Please help

    Reply
  7. Syed Viqar Ahmad Naqvi says

    June 1, 2016 at 8:14 am

    Hi Vikas
    Mujhe ye bataye ki
    1-Facebook Page aur Community me boost post karne ka sabse zyada fayda kis se milega. Agar wo community maine banayi hai.
    2- Hum ko har ek post ko boost karne ke liye alag alag paise dene honge.

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 1, 2016 at 10:45 am

      Uska fayda toh aapko hi milega, kyuki post aur community aapne banayi hai aur Ji ha aapke har ek post ke liye alag alag paise dene hoge.

      Reply
  8. Shivam sharma says

    August 17, 2016 at 12:07 pm

    Yr je btao ki jab Fb id block jati fir show kyo hoti or je btao ki id ko jaise band karna h to kaise kare or wah show na kare

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 17, 2016 at 1:30 pm

      Aisa toh nhi ho sakta ki id show ho rahi hai, aur ager ho rahi hai toh wo block nhi hui hogi.

      Reply
  9. Sohrai Panna says

    September 8, 2016 at 7:51 pm

    Helo vikas mera Facebook page like se mujhe kaisa milega

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 9, 2016 at 10:39 am

      Facebook likes aap acche article, post, images daal kar le sakte hai, aur page ko promote karke bhi zaada likes pa sakte hai.

      Reply
  10. Muhammad Yousaf Qureshi says

    September 12, 2016 at 1:51 pm

    Ye bta do k credit card konsa use hoga , Meny apni sim pe activate huay account k debit card ke details dein par unhun NY kaha ye unvalid h, kia kisi bank ka credit card use hoga , answer email kr dein.

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 13, 2016 at 11:57 am

      Isme koi sa bhi credit card aap use kar sakte hai.

      Reply
  11. rakesh says

    October 2, 2016 at 8:17 am

    Sar blog post krenge to fr page ko phi apne aap likes ho jyege Sar m chata hu k mere page ko 1000 se upper like ho bs plz ye bayou sar

    Reply
    • Sunny Singh says

      October 6, 2016 at 11:23 am

      Uske liye aapko blog post ki quality badani hogi, aur quantity bhi .

      Reply
  12. roni says

    October 24, 2016 at 10:47 pm

    BHAI MUJHE AAP YE BATAO KI MERE GHR KE PAAS 1 LADKA RHTA H VO MAHNE KE 100000 SE JYDA KMAATA H FACEBOOK SE YE AESA KYA H FB ME JIS SE HUM ETNA KMA SKTE H

    Reply
    • Sunny Singh says

      October 26, 2016 at 11:56 am

      Facebook se aap apna business promote kar sakte hai, jisse aapke pass zaada se zaada customer aa jaayge, toh aapki income automatically badh jaaygi.

      Reply
  13. Manjeeta says

    November 17, 2016 at 3:11 pm

    Facebook mai jo group hote hai un se better benefit kaise liya ja skta hai.

    Reply
  14. Vicky says

    January 11, 2017 at 10:36 am

    Muje bina page promote kiye paise kmane h

    Reply
    • Sunny Singh says

      January 11, 2017 at 3:04 pm

      Aisa karna mumkin nhi hai, kyuki jab aap apna page promote hi nhi karoge, toh paise kaise kama sakte ho.

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact