Agar aapki Facebook profile hai to aap uspar lagbhag har din login karte hoge. Aur kabhi kabhi hum kisi aur ke computer ya mobile par bhi Facebook chalane ke liye login karte hai. Aur agar aap kabhi kisi aur ke computer par id chalakar bhool gaye ya us computer me virus ne aapka ID/Password trace kar liya to aapka account hack ho sakta hai aur koi uska galat upyog kar sakta hai.
Kabhi hamara mobile bhi chori ho sakta hai, jisme hamara facebook id login ho rakhi ho, aise me aapke liye badi problem khadi ho sakti hai.
Facebook Account hack hone se bachne ke kayi tarike hai. Is article hum tarike seekege jisse ki koi aur vyakti aapka personal Facebook account nahi khol payega.
1. Apna Mobile Number Add aur Confirm Kare
Mobile number confirm karne se aapke Facebook account ki security behtar ho jayegi, mobile number add karne se Facebook aapki 2 tarha se help kar sakta hai.
- Password Bhool jane par Facebook apka password apke mobile par bhej sakta hai
- Aap aisi setting kar sakte hai jisse ki kahi se bhi login karne ke baad Facebook aapko SMS dwara login ki notification bhej dega. Iske baare hum agle step me baat karege.
Mobile number add karne ke liye Setting > Mobile me jao aur Add a Phone par click karo.
Phone add karne ke baad kuch aisa dikhega.
2. SMS Login Notification ON kare
Notification ON karne se pehle aapka mobile number Facebook ke sath juda hona cahiye. Agar mobile number juda hai to Setting > Mobile me jaakar Activate Text Messaging par click kare
Ab apni Country aur mobile Carrier ka naam select karke Next par click karo
Next step me apne Mobile se F likhkar 51555 SMS send kardo.
Security > Login Notification ke aage Edit par click kare. Waha se Text message/Push notification ka option tick karke Save Change par click karde
Aage Padhe :
- Internet se paise kamane ke tarike !
- Youtube se Offline Videos kaise Download karte hai ?
- Facebook ka Autoplay Feature kaise band karte hai ?
Notification ON karne ke baad jab bhi aapke account me kahi se bhi login hoga aapko suchit karne ke liye ek SMS aa jayega.
3. Baki sabhi Locations se Logout Kare
Maan ligiye aap kahi par galti se apni Facebook Id logout karna bhool gaye hai, to Facebook hume ek option deta hai jisse hum kahi bhi bethe bethe kisi bhi device se apni ID logout kar sakte hai.
Aisa karne ke liye Settings > Security me jao Where You’re Logged In ke aage likhe Edit button par click karo.
Sabhi devices jinme aapka account login hai unki list location ke sath aapke saamne bani aa jayegi. Jis bhi device se aapko logout karna hai uske aage likhe End Session par click kare.
4. Email Address private rakhe
Aapke pass do Email address hone cahiye, ek public aur doosra private. Public Email wo hoga jispar log aapko Email bhej sakte hai. Aur private Email aapke ilava kisi aur ko nahi pata hoga.
Ye alag rakhna isliye jaroori hai kyoki aap apni Email id se hi Facebook me login karte hai, aur logo ko agar aapka login Email pata hoga to unke liye Account hack karna thoda asaan ho jayega.
Apni Email ID logo se Hide karne ke liye Apni profile ke About me jaakar Contact and basic info par click kare. Waha se aap apni Email id Hide kar sakte hai.
5. Strong Password Banaye
Agar aapka Facebook password strong nahi hai to use strong banaye, aur ye dhyan rakhe ki aapko Facebook password aapke baaki accounts ke passwords se alag ho.
Password change karne ke liye Settings > General > Password me jaye aur password change karke save changes par click karde.
6. Keep me logged in Tick na kare
Jab aap Facebook par login kar rahe hote hai to neeche ek tick box bana hota hai jispar Keep me logged in likha hota hai. Is box ko tick karne ke baad Facebook aapki ID login rakhta hai jisse ki aapko bar bar Login na karna padhe.
Agar aap kisi aur computer se login kar rahe hai to is box par Tick na kare.
7. Spam Tricks na try kare
Bohot se log Internet par esi kisi aur ka account hack karne ke liye tricks dhundte rehte hai, aisi tricks se bach ke rahe. Ye tricks kabhi kaam nahi karti lekin inko use karne waale ka account jaroor hack ho jata hai.
Wo log tricks lagane ke liye jo code dete hai, wo code aapke account ko hi hack kar deta hai. Facebook ne aise codes se bachane ke liye JavaScript console me warning bhi de rakhi hai.
Kabhi bhi Facebook se ched khani na kare, isse aapke account hack hone ke 90% chances hai.
Facebook ne likha hai ki “Ye feature sirf developers ke liye hai. Agar aapko kisi ne yaha par kuch copy-paste karne ko kaha hai aise kehkar ki isse aapki Facebook me koi Feature khul jayega ya aap kisi ka account “hack” kar sakte hai, to wo kuch ghotala kar raha hai. Aisa karne ke aapka hi account hack ho sakta hai.”
Vishwas nahi ho raha to is cheez ki poori jaankari ke liye https://www.facebook.com/selfxss par jaiye.
8. Phishing link se bache
Kabhi baar koi low quality website aapko apne Facebook Id password se login karne ko kahe to mat karna. Aap jaise hi apni details waha daaloge aapki ID/Password hackers ke pass pohoch jayega.
Facebook ka login sirf aur sirf Facebook ki official website par hi kare. Agar aapke inbox me login karne ke liye Emails aa rahe hai unko bhi bohot dhayn se dekhe, jadatar hacker facebook ke naam se bhi emails bhej sakte hai.
Phishing aur malicious links se bachene ke liye:
- Sirf facebook.com par hi login kare. Aur mobile par hai to Facebook App se hi login kare.
- Koi paise ya kisi bhi cheez ka lalach de to kabhi bhi use apna Facebook Id password na de.
- Kabhi bhi kisi anjaan link par na jaye. Aisi links aapse kuch steps karne ko kehti hai. Steps poore karte hi aapki ID ki jaankari Hackers ke pass ja sakti hai.
9. Trusted Contacts Add Kare
Facebook security settings me “Trusted Contacts” ka ek option hota hai. Trusted contact ka matlab bharosemand friends. Agar aapki Facebook ID kabhi hack ho jati hai ya khulti nahi to Facebook aapke “Trusted Contact” ko code SMS kar dega. In sabhi se aap code lekar apni Facebook ID me login kar sakte ho.
10. Log Out karna na Bhule
Facebook id se logout na karna hi sabse bada kaaran hai ki logo ka account hack hota hai.
To hamesha Facebook ka use karne ke baad Log Out jaroor kare.
Ab maine aapko kayi saare tarike bata diya hai jinse aap apni Facebook id ko hack hone se bacha sakte hai.
Hum me se bohot log sochte hai ki hamara Facebook account hack nahi ho sakta, Lekin koi na koi hacker hamesha galat kaam karne ki koshish me laga rehta hai.
Agar aapko lagta hai ki maine koi trick chod di hai to neeche comment kare.
Aur agar aapko ye article pasand aaya to Facebook par apne Friends se jaroor share kare.
Thank You 🙂
Ye Bhi Padhe :
- Facebook Developer kaise bane ?
- Facebook Notification ki sound kaise band karte hai ?
- Facebook ka Password kaise reset karte hai ?
amit says
apne whats ap no. do plz
Vikas Plus says
Amit ji
Abhi hum sirf facebook par hai aap chahe toh humara facebook page join kar sakte hai aur humse baat kar sakte hai.Facebook Group
Dhanyawaad
kishor says
vikas bhai mere msg me problem aa rahi h…