Do Facebook account ek hi Mobile app par manage karna bohot ki dikkat waali baat hai, kyoki hame baar baar ek se doorse account me login karna padhta hai. Jisse hamara kaafi time waste hota hai, aur sath hi Data bhi jada jaldi khatan ho jata hai.
Agar aapke pass Facebook ke 2 account hai to is article me hum un dono accounts ko android ko Facebook ki hi apni app se chalana seekhege.
Aapko dono accounts se alag alag notifications aayegi, jisse ki aap dono accounts ke sampark me rahege.
Facebook ne apni ek App android store me nikali hai jiska naam hai “Facebook Lite“. Lite isliye kyoki ye aap bohot hi kum size (252kb) ki hai aur bohot hi kam RAM par bhi kaam karti hai. Ye aap un logo ke liye hai jinpar jaga high powered mobile nahi hai aur internet ki speed slow hai.
Hum is Facebook Lite App ko apne android phone me daalkar, apna doosra account chalayege. Is app ke ye bhi fayada hai ki Lite hone ke kaaran ye app aapne phone ki kam se kam battery aur memory ka use karegi. Aur jab aap ise aur apni original Facebook app dono ko ek sath chalaoge, to aapka mobile slow nahi hoga
Step 1: Android Store me jaakar Android lite app search kare.
Step 2: App ko Install kare
Aage Padhe :
- Rapid Typing Tutor ko Hindi me kaise chalaye ?
- Zip Document kya hai, isko istemaal kaise karte hai ?
- Computer par Mobile ke Sms kaise dekhe ?
Step 3: App me apne kisi ek account ko login kare.
Agar aap apna data bachana cahte hai to mai ye suggest karuga ki jo account jaada use hota ho use Facebook Lite me login kare, kyoki Original facebook app ke mukable Facebook lite bohot kam data use karta hai.
Ab aap dekh sakte hai ki kis tarha hamari Facebook aap ka ek aur account hamare mobile me add ho chuka hai.
Agar aapko ye article faydemand laga aur aap ese hi aur articles ki updates cahte hai to hamare Facebook par follow kare.
Thank You 🙂
Ye bhi padhe :
- Pixel kya hai ?
- Facebook par popular hone ke kuch asaan tarike !
- Facebook Notification ki sound ko kaise disable kare ?
Sir mere phone mai bar bar internal storage full ho jati hai aur mere phone ki jitni bhi aaps hai vo usb storage mai hai Sir aap bata sakte hai esa kyu hota hai
setting me jakar cache data clear karte rahna chahiye, jo aap karte nhi hoge.
Sir mai cache data clear to karta hu lekin mere phone mai 2 storage show hoti hai internal aur usb storage mere phone mai aap aur jitni bhi files hai vo sab usb storage mai hai fir kyu internal storage full ho jati hai aur mai jab Google play Service ke aap info mai ja kar clear data kar ta hu tab internal storage kam ho jati hai Sir plz koi solution bataye
kyuki chahe data jo hota hai wo aapki internal memory me hota hai aur wo files apne aap develop hoti rahti hai. Iska ek hi solution hai ki aap kam se kam app use kare. kyuki aapke phone me internal storage kam hai.
Sir plz aap batye
Sir mere phone ki internal storage to 8gb ki hai tabhi mai kam aap ka use karu agar yahi karan hai to mai koi bhi naya phone leta hu aur us mai 32 ya usse jada ka storage ho to tabhi internal storage full bataye gi aur chahe data ko kam karne ka yahi ek solution hai Sir koi aap nahi hai jo chahe data ko kam karta hai
sir main apni biography wikipedia per kese likhe
pls send a suggestion on my email id
Aap aise nhi likh sakte jab aap ek famous person ho jayoge tab log aapke baare likege. aap sirf blog ya website bana kar us par apne baare me likh sakte ho.
Kya kisi movie ka size download karne se pehle kam kar sakte hai
mp4 3gp Avi Video ko Convert karne ke Softwares
Iske liye aap humara ye article padh sakte hai.
Sir mein apna Fb a/c mobile no. Se chaal raha hai but mein ussd email se open karna chahta hun kaise karun