Agar aap apne compter ya mobile ke important data jaise ki Photos, recording, documents ko kisi private jagha par surakshit rakhna cahte hai, aur fir aap cahte hai ki ye private files aap duniya ke kisi bhi kone se kabhi bhi prapt kar sake to aapko Dropbox ki jaankari honi bohot jaroori hai.
Dropbox kya hai ?
Dropbox ke istimaal se pehle jaan lete hai ki dropbox kya hai aur ise kaise istemaal kiya jata hai ?
Dropbox ek cloud app hai, jise aap apne computer ya phir mobile par daal sakte hai. Is app ko chalane ke liye aapke pass Dropbox ki Id honi cahiye. Jiske baare me hum is article me aage jaanege.
Jab ham is app ko apne computer ya mobile me daalkar login karte hai to ye hume apne device me se kisi bhi file ko apne server par upload karne deta hai. File server par upload hone ke baad hum is Files ko dropbox ki website se kabhi bhi aur kahi se bhi vapis download kar sakte hai.
Dropbox ki khaas baat ye hai ki aap is aap me se kisi bhi File ya Folder ko logo ke saath bhi share kar sakte hai.
Mai aapko ek udharan deta hun :
Maan lijiye aap apne dosto ke saath ghoomne gaye, aur aapke pass photos hai jinhe aap apne dosto ke sath share karna cahte hai. Ye kaam whatsapp se bhi ho sakta hai, lekin whatsapp se aapko baar baar photos bhejni padegi (Ya group banane ke tension leni padegi), lekin dropbox me aap ek folder me sabhi images ko daalkar poore ke poore folder ko apne friends ke sath share kar sakte hai, whatsapp me photos ki quality bhi kum ho jati hai, dropbox me quality bhi HIGH rahegi, aur aapki images bhi hamesha ke liye server par surakshit ho jayegi.
To chaliye hamne jaan liye ki Dropbox kya hai, ab jaante hai ki ispar ID kaise banaye.
Dropbox par ID kaise banaye?
ID banana mai computer par sikha raha hun, lekin mobile dwara banana lagbhag same hi hai.
Step 1: Sabse pehle apne browser me dropbox.com khole, ya phir mobile me App store me dropbox ko search kare.
Agar computer par hai to app download karne ke liye Download the App par click kare.
App ko download karne ke baad install kare.
Step 2: Install karne ke baad App ko open kare. Open karne ke baad dropbox aapko login karne ko kahega. Lekin hume to naya account banana hai, to neeche bane Sign Up par click kare.
Signup page par apna naam, email id aur password bhare. Uske baad Sign Up button par click karde.
Aage Padhe :
Step 3: Account ban gaya hai, is account ko confirm karne ke liye aapni Email id khole aur Confirm my email address par click kare.
Step 4: Ab Open my dropbox folder par click kare.
Ek dropbox naam se folder khul jayega, Ye aapke dropbox server ka folder hai. Is folder me aap jo bhi daalege wo aapke dropbox account me apne aap upload ho jayega.
Hai na bohot Easy.
Dropbox kaise istimaal kare
Dropbox me kuch bhi upload karne ke liye sirf aapko dropbox folder me copy paste karna hai.
To chaliye Vikas Plus ki kuch images ko dropbox par upload karke dekhte hai.
Pehle me ek Cover images ke naam se folder banauga.
Phir usme kuch Vikas Plus ke articles ki covers images ko Dropbox folder mai copy pase kar dunga.
Aap dekh sakte hai ki jaise hi image upload ho jaati hai, inke aage ek Green tik bana aa jata hai.
Files daalne ke baad agar hum dropbox.com ko kholkar usme login karege to waha hame ye sabhi files mil jayegi.
Is Files ya folder ko share karne ke liye aap Folder ya Files par right click karke kisi ke bhi saath link share kar sakte hai.
Dropbox ka use bohot aasaan hai, abhi dropbox download karke try kare. Aap jaroor bhadiya lagega.
Agar aapko ausi hi aur articles ki jaankari chaiye to hame Facebook par Follow kare, ya phir hamara Private Facebook Group join kare.
Thank You 🙂
Ye bhi padhe :
- Google Drive kya hai ?
- Free wallpaper download karne ki websites ?
- Apne Blog se ghar bathe paise kaise kamaye ?
Manoj kunar tripathi says
Yah mera mobayel khogaya h uska imei nambar 911114752711587 ko band karna h sir
Sunny Singh says
IMEI no. band nhi hota hai aap apne pass ke police station me jakar FIR kara sakte hai. Jisse aapko future me koi nuksaan nhi hoga.
Vicky pawar says
Bhohat achi jankari de he bhai apne Hindi me jankri dene ka sabse acha fayda ye he ki Hindi sabko samaj me ajati he or bhai me bhi ek hindi blogger hu aap mera blog check karke batavo kya me bhi apke tarah blogging me success ho sakta hu…
Sunny Singh says
Thank you
Abhi hum thode busy hai jab time milega toh zarur aapka blog dekhna chahege.
krishna says
Kisi ke mobile ki curent location kaise pata kare vo bhi mobile number ke aadhar par
Sunny Singh says
Nhi aisa nhi ho sakta.
Bablu Rajput says
sir Dropbox ka use karne par hame Data ke chori hone ka khatra to nhi he
Sunny Singh says
Nhi koi problem nhi aaygi .
Daya shankar maurya says
Bro maine apki ye bropbox wali post ko kisi dusari site par dekha hai usane apki puri post ko copy kiya hai. Usame vikas plus name se id ko create karte huye dikhaya gaya hai. Isliye mujhe laga ki ye apki post hai. To maine google me search Kiya ‘drop box ki Jankari vikas plus’ aur apki post mili tab mujhe samajh me aaya ki apki post ko usane copy kiya hai.
Sunny Singh says
Kya aap us dusri site ka naam bata sakte hai ?
Daya shankar maurya says
Sunny bhai mai dhyan hai uska domain free blogspot wala tha. Maine uska link copy karke notepad me paste kar liya tha lekin wo Delete ho gaya hai. Agli bar se agar koi aisi site milegi to mai apko uska link bhi send kar dunga.
Daya shankar maurya says
Sunny bhai mujhe dhyan hai uska domain free blogspot wala tha. Maine uska link copy karke notepad me paste kar liya tha lekin wo Delete ho gaya hai. Agli bar se agar koi aisi site milegi to mai apko uska link bhi send kar dunga.