Aaj ke apne is article me hum aapko batayge kuch aise tips jinko apply karke aap apne online ya offline business ko successful bana sakte hai.
Hum jab bhi koi naya business shuru karte hai, phir cha he wo chota aur bada, hum yahi chahte hai ki humara business successful ho. Phir chahe uske liye hume kuch bhi kyu na karna pade.
Lekin aksar hum jaisa sochte hai waisa nhi hota, kayi baar humari kamiya hi, humare business ke raste me aa jaati hai aur hum kismat aur waqt ko blaim karne lagte hai, jo ki meri najaro me galat hai.
Kyuki aisa wo log karte hai jo apni kisi bhi kaam ko seriously nhi lete ya phir unme business ko samjne ki knowledge kam hoti hai ya time management na karna bhi iska ek karan ho sakta hai.
Toh in hi kuch baato ko dhyaan me rakhte hue, hum aapke liye la aye hai kuch tips jinko apply karke aap apne business ko safal bana sakte hai. Jo ki aapke business ke liye bhut hi faydemand sabit honge chahe aap tution center kar rahe ho, apne shop chala rahe ho ya phir aap logo ko kisi bhi tarah ki service de rahe ho ye article sbhi me faydemand sabit hoga.
Yaha mai aapko ek baat zaroor batana chahuga ki ager aap koi bh naya business start karna chah rahe hai toh aapko us business ke baare me kam se kam 70% toh pata hona hi chahiye, nhi toh aap koi bhi tarika apna lijiye. Aap uske ander safal nhi ho sakte.
Toh chaliye shuru karte hai.
Aap apne business ko 5 tariko se successful bana sakte hai, ye aise tarike hai, jo aap offline aur online business dono me apply kar sakte ho.
Mai ye tarike dono type ke business ko dhyaan me rakhkar hi aapko bata raha hu.
Business ko Safal banane ke tarike :
Badiya customer service de :
Ye ek aisa tarika hai, jo aapko lagbhag sabhi businesses me kaafi help karega. Jo business aap shuru kar rahe hai, Toh ho sakta hai ki apka business bhut acche se chal jaye, vo bhi bina kuch mehant kiye, lekin agr aap apne product or service ki quality acchi nhi hai, toh customer dobara se apki shop ya website par nhi aayge.
Business ke liye website kyu zaroori hai
Aaj ke time me competition bhut jaada ho gaya hai, ek customer ke pass saman khridne ke liye bhut option hote hai, iss liye jaha tak ho sake apni taraf se garahk ko best se best product or service dene ki kosis kare.
Chahe aap isme kuch rupee hi kyo na bacha pa rahe ho kyoki ek bar garahk ko apki service or product pasand aa gaya toh wo bar bar apke pass aayega.
Planing se kare koi bhi kaam :
Ager aap humari website ko follow kar rahe hai, toh aapne humane piche post me bataya tha ki hum apne Business me safal kyo nhi ho pate ?
Iska sabse bada karan hota hai ki, hum apne Business ko lekar koi future planning nhi banate hai. Hume pata hi nhi hota ki hume apne business ko kaha tak lekar jana hai uske liye hume kya kya krna hoga.
Naye Business ko kaise shuru kare
Toh apke liye ye jaruri hai ki aap apne business ko lekar ek goal set kare or us laksay ke anusar apni yojna banaye. Is planning me ya yojna me ye nirdharit jarur kare ki, hume kab kya krna hai or kaise krna hai. Or dosto keval planning krna hi kafi nhi uske anusar kam kroge tabhi to kaam bnega na.
Brand Name kabhi change na kare :
Ek Business ke liye uska Naam or Logo bhut hi important hota hai. Apni shop ya Business ka ek accha sa name rakhe or acha sa logo banwaye ( ye aap kis professional web designer se bhi banwa sakte hai ) or jaha tak sambhav ho sake to usse kabhi bhi change na kare.
Kafi logo ko lagne lagta hai unki shop ka naam or logo acha nhi hai likin mera manna hai ki apne Business ka name or logo ko popular karna humare hath me hota hai. Iske liye aap jaada se jaada Advertising kare or jaha bhi ho sake waha pr apna logo jarur de. Dheere Dheere logo ke bhich me apke Business ke image achi banne lagegi.
Adsense se daily $200 kaise kama sakte hai.
Advertising par bhi dhayn de :
Advertising aapke Business ke liye ek bhut bada role play karta hai, ye aapke business ko bhut aage tak lekar jaati hai, kyoki aaj ke time me log uss cheez par jaada viswas krte hai jiska unhone naam sun rakha ho.
Example : Agar kisi ko 5 hajar rupye me ek to sumsung ka mobile mil raha ho or ek T-max ka halanki T-max ke mobile me sumsung se jaada function hai lekin phir bhi wo sumsung ka mobile hi lega, kyoki aapne usne sumsung ka naam sun rkha hai, lekin T-max ka nhi. isliye apne Business ke liye advertising karna bhut jaruri hai.
Iska ek karan ye bhi ho sakta hai ki jaha par aapke product ki pahuch nhi hai waha par ad ke jariye logo ko us particular product ke baare me pata chal jaata hai.
Aapka aur aapke co-workers ka vyhwahar accha ho :
Ek baat jo maine khud kafi jagh par feel ki hai. Suppose Humara kaam wodden cafting ka hai, hamari city me kaafi wodden ki shops hai jaha se log wodden ka saman lete hai.
Unme se ek shop hai jo bhut acchi wodden service dete hai, lekin hum us shop ke owner se or unke worker se satisfy nhi hu, kyuki unka vayvhar achha nhi hai.
Kafi baar agr kisi ka kaam achha chalne lag jata hai to usme, Ego ya Ghamand aa jata hai or phir vo chote mote customer ki koi ahmiyat hi nhi samjhte hai jo ki humare Business ke liye bhut hanikark sabati hota hai.
Isliye dosto jaha tak ho ske aap khud or apne worker ko bole ki sabhi customer se acche se or pyar se baat kre chale vh 1 rupye ka saman le raha ya 1 lack ka.
Toh ye thy kuch aise tarike jinko apply karke aap apne offline ya online business ko successful business bana skate ho.
Aapko humara ye article kaisa laga aap hume neeche diye gaye comment box me bata sakte hai.
Thank you,
Garv says
Very well