Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Blogger par free website ya blog kaise banaye

August 26, 2015 By Nikhil Arora

Agar aap Internet par pehli baar website bana rahe hai, aur aapko free me blog ya website banani hai to Blogger se bhadia koi aur platform nahi hai. Iske wajha ye ho sakti hai ki Blogger google ke dwara banaya gaya hai.

Is article mai hun seekhege ki Blogger par blog kaise banate hai. Dhyan rakhiye ki blog aur website ek cheez nahi hoti hai, dono mai farak hai.

Agar aapki pehle se hi Google ya Gmail par id hai to aapko blogger par id banane ki koi jaroorat nahi padegi. Bar Blogger par login karna padega.

Step 1: Blogger me Login Kare

Blogger mai login karne ke liye https://www.blogger.com  par jaye agar aapki Gmail id par pehle se hi login ho rakha hoga aisa form bana aa gayega.

password daale

bas apni email id daalkar “Sign in” par click kare. Agar aap Gmail me login nahi hai to jabhi form aa gayega usme apni ID – Password daalkar login kare.

Login karge ke baad blogger aapse aapki Google+ profile use karne ko kahega

continue-kare

“Continue to Blogger” par click kare.

Step 2: New Blog banaye

Continue karke aapke saamne ek page khulega is page par hamare dwara banaye gaye sabhi blog aa jayege. Naya blog banane ke liye left me diye gaye “New Blog” button par click kare.

new-blog-click-kare

 

Ab ek box kuhlega

form-bhare-create-kare

 

Is box me apne blog ki details bhare:

  1. Apne blog ka Title (matlab Naam) daale.
  2. Address: Yaha apne blog ka aap jo bhi address cahte hai wo bhare. Blogger address ke aage apne aap blogspot add kardega. Is address ko hum apne blog ki domain bhi kehte hai. Jab bhi kisi ko aapka blog kholna hoga wo isi address par jakar kholega.
  3. Template: Template ka matlab aapke blog ka design ya theme hota hai. Blogger kayi sare template deta hai, inme se apni pasand ka template select kare.
  4. Upar ki sabhi fields poori hone ke baad Create blog! par click kare.

Ab aapka naya blog ready ho gaya hai. Ready hone ke baad jo page aapke saamne khulta hai use hum dashboard kehte hai.

Dashboard ek aisa page hai jaha se hum apne website ko control karte hai. Ye page sirf jiski website hai usi ko dikhta hai doosre logo ko sirf website ka front hi dikhta hai. Aap dashboard se apne blog par khuch bhi daal, hata ya badal sakte hai.

Step 3: Naya article likhe

Hamara blog tayaar hai, lekin abhi tak ispar koi article (post) nahi likhi hui hai. Apne blog upar nayi post daalne ke liye dashboard ke left menu me se “New post” par click kare.

Click karne ke baad aapke saamne ek Post editor khul jayega. Post Editor wo page hota hai jaha se aap apne blog par nayi post daal ya update kar sakte hai.

publish-kare

 

Sabse pehle hume apni post ka Title (heading) daalni hai. Phir hume jo bhi kuch article likhna hai use textarea me likhna hai. Article likhne ke baad is post ko apne blog par daalne ke liye “Publish” par click kare.

Publish ka matlab hota hai प्रकाशित करना. Ispar click karne ke baad hamar post blog par update ho jati hai, aur hamari website par aye logo ko dikhne lagti hai.

Blog publish karne ke baad aap apne blog ke Dashboard par aa jayege.

blog-dekhne-ke-liye-click-kare

 

Aap dashboard se jitni cahe utni nayi posts bana sakte hai. Agar aapko apne blog ko dekhna hai aap “View Blog” par click kar sakte hai ya aap websitekanaam.blogspot.com par bhi ja sakte hai.

Dekho kitna aasaan tha, aapne apna pehla blog internet par bana liya hai.  Aaj aapne Blogger par blog banana seekha, agar aapko koi bhi problem aa rahi hai to neeche diye gaye comment box par comment kare.

Thank you 🙂

Aage Padhe:

  1. Blog aur Website me kya fark hai ?
  2. Blogger me Read more ka button kaise lagaye ?
  3. Blogger me Facebook like box kaise lagate hai ?

Filed Under: Blogger Tagged With: Blog, Website

Comments

  1. Md Shamshad says

    October 31, 2015 at 12:25 pm

    thanks bhai

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 16, 2015 at 11:31 am

      Thank you for reading 🙂

      Reply
      • nandlal says

        January 27, 2016 at 5:06 pm

        vikas bhai maine step 3 tak jane k bad usse publis kiya ky us artical ko koi v dekh sakta h agar ha to kaise

        Reply
        • Vikas Plus says

          January 28, 2016 at 11:46 am

          Agar aapne koi article publish kiya hai aur steps ko follow kiya hai toh zaroor aapka blog logo ko dekhne lag jayga.

          Reply
      • vishnu says

        February 1, 2016 at 10:14 pm

        hlo
        vikas sir g.eve muhe apna business start krna h uske liye aapki hlp chahiye.mai apne whtsaap nob or mai id send kr rha hu i hope u reply me sir.
        vjonwal2898@gmail.com
        9928587133

        Reply
        • Vikas Plus says

          February 2, 2016 at 10:56 am

          Sabse pehle toh ye bataiye ki kaisa business start karna chahte hai aur aapko humari kya help chahiye. kyuki kisi bhi business ke baare me 70% knowledge honi bhut hi zaruri hai.

          Reply
  2. Md Shamshad says

    October 31, 2015 at 12:30 pm

    hello bhai

    Reply
  3. Rakesh says

    November 4, 2015 at 4:00 pm

    hi frend..
    Nice post . Thanks for sharing this post. its very helped to me

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 10, 2015 at 10:37 am

      Agar aapko Aur jaakari cahiye to aap hame pooch sakte hai. Aur apni kimti suggestions bhi de sakte hai. 🙂

      Reply
  4. dilip kumar says

    November 14, 2015 at 7:14 pm

    Banado bhai

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 14, 2015 at 7:20 pm

      Agar aapko apna blog banwana hai to aap hume Facebook Facebook par message kar sakte hai.

      Reply
  5. rakesh kunar says

    November 16, 2015 at 9:11 am

    which hosting services are you used now..?
    & tell about domain service which would be useful for newbiers

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 16, 2015 at 11:22 am

      Add me a Friend on Vikas Plus Facebook ID. And we can chat personally about it 🙂 Thanks

      Reply
  6. robin pawar says

    November 23, 2015 at 9:25 pm

    sir mera blogger account nahi ban raha hai kya aap mera account banaa sakte hai reply me hurry up plz

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 24, 2015 at 10:26 am

      Dekho bana to mai sakta hun, lekin mai cahta hun ki aap seekhe, isme aapka hi fayada hai.

      Aapko kya problem aa rahi hai?

      Reply
  7. akbarkhan says

    December 5, 2015 at 8:45 pm

    photographs &video

    Reply
    • akbarkhan says

      December 5, 2015 at 8:47 pm

      music

      Reply
    • Vikas Plus says

      December 8, 2015 at 10:27 pm

      Aap kya poochna cah rahe hai? Please poora reply kare. Thank You 🙂

      Reply
  8. Abhinay Singh says

    December 6, 2015 at 4:56 am

    Kya aap apna whatsapp no de skte hai?

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 8, 2015 at 10:27 pm

      Mai Facebook ke dwara aapse baat kar sakta hun. Vikas Plus ka abhi Filahaal koi whatsapp number nahi hai.

      Reply
  9. Narayan Kaluba Dandge says

    December 7, 2015 at 7:47 pm

    Thanks sir mai bahut khush hu ki meribhi websit net pe log dhekhege.sir aap na hote to shyayd main ye kabhi nahi kar pata…
    Phir se 1bar aapko THANKS !!!

    Reply
  10. Hiraman saket says

    December 10, 2015 at 2:23 pm

    website se blogspot kaise hataye

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 10, 2015 at 6:07 pm

      Website se blogspot hatane ke liye aapko apni domain name kharidkar custom domain lagani hogi.

      Reply
  11. Utpal Konwar says

    December 12, 2015 at 10:20 am

    Custam Teamplate ko kaise Upload kre ?

    Reply
  12. hindi kathaye says

    December 18, 2015 at 2:39 pm

    okk dear i belongs to you well done speakar baba

    Reply
  13. Raman says

    December 20, 2015 at 7:07 pm

    how many income from this website (CAN YOU TELL) Vikas g ….

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 11:38 am

      Sorry i cant reveal it right now. We just started this blog so our income is just normal.

      Reply
  14. raman says

    December 21, 2015 at 7:09 pm

    maine ek website banai hain but blogspot.com likhna parta h but mai chahta hu ki blogspot hatana chahta hu kaise karu

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 11:34 am

      Uske liye aapko Big rock se domain kharidni padegi.

      Reply
  15. Digit Only says

    December 25, 2015 at 2:06 am

    Bahut behtreen tareeke se samjhaya hai aapne. Aapne blog ka design bahut achha hai sath hi bahut clean bhi hai.
    Hamare blog par jakar bhi dekhe Kaisa hai hamare blog ke madhyam se bhi ham logo ko Seo ki unique tips De rahe hain.

    Reply
  16. Alok kr Ranjan says

    January 3, 2016 at 9:14 am

    hum blogger address me kuchh bhi dete hai to inviled address or not support likhata hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 22, 2016 at 11:51 am

      Iske liye aapko google ID ki zarurat padti hai jo ki blog ki apni ID hoti hai.

      Reply
  17. Anas says

    January 3, 2016 at 7:00 pm

    Hii bhai Meri blog id nhi ban pa rhi hai blog page ni khul pa rha hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 22, 2016 at 11:46 am

      Iske aap koi unique naam chun sakte hai, jaisa ki aap Gmail ki E-mail ID banate time karte hai.

      Reply
  18. Rahul dev says

    January 12, 2016 at 10:48 pm

    aapka blog bahut achha hai.. app achhe se samjhate hain.

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 10:55 am

      Thank you Rahul dev ji

      Reply
  19. Yash Garg says

    January 22, 2016 at 6:49 pm

    app kay blog ki madad say maynay blog banana sikha app ka bhut thanks and keep ding such awesome work

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 23, 2016 at 10:27 am

      Thank you Yash ! Apne visitors ki help karna hi humara aim hai.

      Reply
  20. Natalia says

    January 22, 2016 at 7:31 pm

    Apna website jo humne banaya in blogger vo google par kaise dekhe vo ? Plz helppp

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 23, 2016 at 10:38 am

      Apne Blogger Blog Ko Webmaster Se Kaise Jode ?
      Humara ye article aapki is topic par bhut help kar sakta hai.

      Reply
  21. Bikash Jha says

    January 23, 2016 at 6:43 pm

    Blogger me Blog ke apne comment box ke alawa koi accha comment box kaise add karenge.. jis se ki visitor ko log in krne ki preshani na ho..plz help me..

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 25, 2016 at 11:03 am

      Aap humare
      Blogger Comments Setting Ki Poori Jaankari
      Blogger Blog Mai Recent Comments Widget Kaise Lagaye
      ye aricles padhe aapko bhut help milegi.

      Reply
  22. dheeraj says

    January 25, 2016 at 1:29 pm

    sir aap mera blog bna sakte hein plz.. mene pehle bnaya tha but mene vo page bnd kr diya aur ab mujhse bn ni rha he plz mera blog bna dijhiye

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 25, 2016 at 1:42 pm

      Aapse kuch galti ho rahi hogi nhi toh blog toh ban jata hai, ek baar phir kosis karke dekhiye

      Reply
  23. dheeraj says

    January 25, 2016 at 1:32 pm

    sir me creat free blog vale page pe jake creat blog kr rha hu to this velue not captha bta rha he ..plz help me reply fast

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 25, 2016 at 1:40 pm

      Aapne capcha sahi nhi daala hoga jis reason se aapko ye message dikh raha hai.

      Reply
  24. Sunil says

    January 26, 2016 at 7:37 am

    Yaar blog pr tittle ke baad address kaise dalna h

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 28, 2016 at 2:30 pm

      Blog list me jaakar Tiltel aur Address dono ka option aayga waha par aap apna address fill kar sakte hai.

      Reply
  25. vikas meg. says

    January 27, 2016 at 3:46 pm

    Bro…apka facebook link send kro naa ek kaam h.
    Kuch chat krni h.

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 28, 2016 at 11:41 am

      Vikas plus facebook group
      ye humara Facebook link hai.

      Reply
  26. error says

    January 28, 2016 at 7:36 am

    Bro…. mene blog bana liya….. but aub me us blog ko kisi or browser me khol naa chaaunga… to kese kholunga.. login karte waqt me email or paasword me kya daalunga

    Reply
    • error says

      January 28, 2016 at 8:01 am

      Sair plezzz help

      Reply
    • Vikas Plus says

      January 28, 2016 at 11:31 am

      Login karte time aapko usme apni Gmail ID aur uska password dalna hoga.

      Reply
  27. error says

    January 28, 2016 at 3:44 pm

    Ohk.. Thanxx vikas ji….
    Or ek baat or puchni he mene mywebblog par bhi blog banaya he kya usme agar me ads lagaakar pese kamana chaahu to kama sakta hu……… kya……. agar haa to kese plezz tell me bro…

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 29, 2016 at 12:33 pm

      Aap Adsense se ads laga kar apne blog se paise kama sakte hai. Leking uske liye aapko kuch conditions ko pura karna hoga. Tabhi Adsense approval deta hai.

      Reply
  28. ashutosh singh says

    January 29, 2016 at 12:29 am

    aapka site kis par hai blogger ya wordpress agar blogger par hai to kya aap apne template ka link de sakte hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 29, 2016 at 10:29 am

      Humari webstie wordpress par hai.

      Reply
  29. Error says

    January 30, 2016 at 8:16 am

    haume. ads lagane k liye kya conditions puri karni hogi…..

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 30, 2016 at 10:34 am

      Agar aapke pass Adsense confirmation aaya hai toh aap us mail ko padkar pata kar sakte hai ki kya conditions hai Ad active karne ke liye .
      Ad conditions waise ye article aapki help kar dega.

      Reply
  30. rahit kumar says

    January 30, 2016 at 8:26 am

    Post pablick nahi ho rahi hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 2, 2016 at 10:53 am

      Aapko kya problem aa rahi hai pehle wo define kijiye ?

      Reply
  31. jitendra says

    February 1, 2016 at 2:23 pm

    me title me kya likhu
    plese example deke batao.or add me kya likhu
    kya blog phone me saport nahi karta?

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 1, 2016 at 2:27 pm

      Key word search karke aap koi bhi naam rakh sakte hai, jo ki logo ko stack karta ho.

      Reply
  32. vinod kumar says

    February 3, 2016 at 12:20 pm

    Sir jab m new blog dalke address dalta hu to vo unable bta deta h jese mene new blong me vinod kumar and adress me vinodkumar.blogspot.com men 2-3 baar adress and blog change bhi kiya

    Reply
    • vinod kumar says

      February 3, 2016 at 3:15 pm

      M jb titte or add dalta hu to unable bta de h jese tittle vinod kumar or address vinodkumar.blongspot.com sir please my help

      Reply
      • Vikas Plus says

        February 5, 2016 at 11:15 am

        Vinod ji is naam se pehle hi website/blog hoga toh aap kripya dusra koi naam daal kar dekhe .

        Reply
  33. Akhilesh verma says

    February 8, 2016 at 4:17 pm

    Sir meri id par do blogger ban gaye hai ek ko hatana chayte hai use Kaiser hataye ge

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 9, 2016 at 10:42 am

      Apne Blog ke left dropdown me jakar aap Settings me jakar others ke option par click kijiye waha par aapko delete ka option mil jayga. wahi se aapka blog delete ho jayga.

      Reply
  34. pratima das says

    February 23, 2016 at 7:32 pm

    sir, me website(blog) bonana cahti hu por nhi huta url not available dikhata hay plz help me

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 24, 2016 at 10:27 am

      Humne apne is article me saare jaakari di hui hai, kariya karke ek baar phir try kare, aur in sabhi steps ko step by step follow kare .

      Reply
  35. sonmoni says

    February 25, 2016 at 4:12 pm

    agar main shayari ke liye wabsite banana sahu too.title or address kese dena parage.exmple dijiye.plzz plzz help me.

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 29, 2016 at 12:08 pm

      Iske liye aap humar #askvikas show dekh sakte hai jaha par humne is sawaal ka jawab diye hai. Ask vikas show

      Reply
  36. Dipankar says

    February 29, 2016 at 11:20 am

    bohut acchi jankari h vikash ji… mene ek blog banaya hai onlinefreehelp.com. sir me isse income nhi kar paa raha hu. plz sir mera blog visit karke bataye me kyu income nhi kar pa raha hu or blog me kya kami hai?

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 29, 2016 at 12:05 pm

      Aapka blog toh khul hi nhi raha hai. waise me aapko ye batana chahuga ki aapko zaada se zaada apne visitor badane hoge jo quality post ke jariye aapke blog par aayege. Toh kisi ki copy karna band kijiye bas apne post ki tarf dhyaan dijiye. Paise toh phir bhi baad ki baat hai.

      Reply
  37. Sahil says

    March 3, 2016 at 5:11 pm

    hi sunny, Aapka blog muze bahut acha laga . bahut achi janakari de hai aapane. blog me post kaise hone chahiye. jisasse jyada visitor hamare website par aye.plz rply fast

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 4, 2016 at 11:12 am

      Ikse liye aapke pass ek accha title, content aur healines honi chahiye. Headlines ke baare me jaane ke liye humara ye article padhe :Perfect headline kaise likhe ?
      aur apne swaal ke baare me jaane ke liye aap humara #AskVikas show dekh sakte hai.

      Reply
  38. Tulsi bhandari says

    March 6, 2016 at 10:07 pm

    Achha idea diya aap ne mujhe utana engelish to nahi aata par thoda bahoot aata he
    Me di blog banauga ek aapki bloge me diye gaye sare jankari ko nepali me likhunga aur dusra kisi chij ke bare me engelish se hindi aur nepali me likhung thanku so much sir

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 7, 2016 at 10:28 am

      Your Most Welcome Tulsi .
      Aap humare dwara bataye gaye sabhi steps ko follow kijiye aapka blog accha ban jayga.

      Reply
  39. Anuj godara says

    March 11, 2016 at 12:14 pm

    Thanks for sharing….
    bahut acche se samjhaya hai….

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 12, 2016 at 10:44 am

      Thanks Anuj
      Keep following Vikas Plus

      Reply
  40. Krishna Sahu says

    March 15, 2016 at 12:04 pm

    Sir blogger ban gaya lekin web site banana hai to kya kare

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 15, 2016 at 1:15 pm

      Blogger ko hi website kahte hai aur ha agar aapko professional website banani hai toh aapko iske liye domain aur web hosting purchase karni padegi. Lekin wo free nhi hogi.

      Reply
  41. SANJEEV MEHTA says

    March 21, 2016 at 11:10 am

    Bai me mobiel se website bana raha hu mene tital me apna name dala he or bahi name addres par bhi dal kar dekh liya saport nahi kar raha he

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 21, 2016 at 1:04 pm

      Iske liye aap Google play store se blog ki app download karke bataye gaye steps ko follow kar sakte hai.

      Reply
  42. Ibraheem Behlim says

    March 21, 2016 at 10:51 pm

    sir kya blog m ye pta lgaya ja skta h ki hmare pas kitne viewer h

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 22, 2016 at 10:47 am

      Blog par aap sirf traffic dekh sakte hai.

      Reply
  43. sampat says

    March 30, 2016 at 4:33 pm

    muje blog ka title badalna h

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 16, 2016 at 11:16 am

      Title badlne ke liye aapko sabse phele in steps ko follow karna padega.
      Dashboard > Setting > Basic > Title par click kare. Ab jo aapko purana option milega usme aap edit par click karke apna title change kar sakte hai.

      Reply
  44. manas says

    April 2, 2016 at 10:27 pm

    address par kiya likhe kucha

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 12, 2016 at 10:51 am

      Isme aap apne office ka address likh sakte hai.

      Reply
  45. sanjana says

    April 8, 2016 at 2:29 am

    very very nice and useful article for all readers.thanks for sharing this great information

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 8, 2016 at 10:23 am

      your welcome sanjana
      For the latest news keep following vikas plus

      Reply
  46. Ashish Sahu says

    April 10, 2016 at 2:52 pm

    nice post sir, blog create karne ke liye new blogger jo blog banana chahte hai use bahut help hoga.

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 11, 2016 at 10:29 am

      Thanks Ashish Sahu
      for more post keep following vikas plus

      Reply
  47. ashu singh says

    April 12, 2016 at 12:41 am

    hello bro mera bhi ek website hai newefuture.blogspot.com par mai ye samajh nahi pata hu ki mere site par traffic hone bawjud bhi alexa rank kam nahi ho raha hai plz help koi bhi jankari hai to aap jarur bataye

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 12, 2016 at 10:44 am

      Humne apna Templete khud banaya hai, aur jiske liye humare pass team hai . Templete ke liye aap humare neeche diye gaye article ko padh sakte hai.
      10+ Best Responsive aur SEO Friendly Templates Blogger Ke Liye

      Reply
  48. ashu singh says

    April 12, 2016 at 1:14 am

    Maine bhi Newefuture Ke Naam Se Ek Blog Bnaya Hai Aur Mai Aapke Jaisa Template Use Karna Chahta Hu Kya Aap Apne Blog Ke Template Ka Link Mujhe De Sakte hai

    Reply
  49. deepak saini says

    April 29, 2016 at 10:03 pm

    Sir…….m apne blog ki ID and password bhul gya Hun….kuch samjh nhi àarha kya karun plz…help

    Reply
  50. deepak saini says

    April 29, 2016 at 10:05 pm

    Maine kahi likh kr….nhi rakh paaya or ab kuch time baad…….kya karna kuch…..

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 9, 2016 at 11:00 am

      Phir toh aapke liye bhut muskil hai.

      Reply
  51. sampat says

    May 2, 2016 at 7:48 am

    Very nicehttp://onlinesiksa.blogspot.in/?m=1

    Reply
  52. sampat says

    May 2, 2016 at 7:48 am

    Very nice
    http://onlinesiksa.blogspot.in/?m=1

    Reply
  53. jitendra kumar says

    May 2, 2016 at 11:32 pm

    Sir mughe website songs file video upload karna hair agar sir Google dri par ham upload karate hai to hamara Jo link hai usko ham blog ke address mai dalna chaata hu es link ko blog mai dalnea ke Lea domain ve kheridana pare ga

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 4, 2016 at 10:38 am

      Waise aap youtube se related videos ke kewal link daal kar aapni website ke madhaym se apni videos logo tak phucha sakte ho.

      Reply
  54. jitendra kumar says

    May 3, 2016 at 6:18 am

    Sir website par songs video upload karna chaata hu agar ham Google drive par upload karate hai to hamara Jo link hai usko ham blog ke adress mai dal skate hai ya uske Lea domain kheridana pare ga

    Reply
  55. jitendra kumar says

    May 3, 2016 at 6:21 am

    Sir Google drive par songs video upload karka se ham blog ke address mai dal skate hai ya wake Lea domain kheridina pare ga

    Reply
  56. AchhiGyan says

    May 12, 2016 at 9:37 pm

    बहुत बाड़िया तरीका से अपने समझाया है, इसे पद के कोई भी अपना फ्री ब्लॉग बना सकता है धन्याबाद,,
    http://achhigyan.com/

    Reply
  57. suraj says

    May 22, 2016 at 10:28 am

    kya blog k jariye paisa kma skte hai kya sir

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 23, 2016 at 10:40 am

      Apne blog se paise kaise kamanye

      Reply
  58. Dhabaleswar says

    May 27, 2016 at 6:56 pm

    blog to open ho gaya kaise mp3 .video. photo upload kartehe

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 28, 2016 at 10:28 am

      Videos ya song ka link daal kar aap ye upload kar sakte hai.

      Reply
  59. Manish Ramola says

    June 5, 2016 at 3:58 pm

    Gmail i.d or password daalne k baad login par click krke login nhi ho ra error aa rha h kyu

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 6, 2016 at 10:35 am

      Aap iske screen shot lekar hume email kar sakte hai.

      Reply
  60. Ajay Kumar says

    June 15, 2016 at 3:34 pm

    sir me jb email I’d or password dalta hu to page invalid btata hai pls help kre…..me mobile se blog bna raha hua. I am poor pls help me

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 17, 2016 at 12:05 pm

      Mobile se kabhi bhi blog nhi banta karipya aap ek baar cyber cafe jakar computer se blog banaye, iske liye aap humari bloggin series ko padh sakte hai. Jisse aapki bhut help hogi.

      Reply
  61. prashant says

    June 24, 2016 at 7:44 pm

    Nikhil bhaii..blog bnana to apne btaa diya uske liya ty…but thoda our help kr do..
    Ham es tarike se blog to bnaa dege..
    But hamko paise khaa se milega..
    Men’s account no khaa p Deena hoga..
    Paise account m khaa se and kase aayege

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 25, 2016 at 10:30 am

      Iske liye aap humri make money aur adsense series ko padh sakte ho.

      Reply
      • manish says

        June 26, 2016 at 5:51 pm

        kya aap fb pe ho
        agr ho to me aspse kuch puchna chahta hu isliye btaiye
        me article likhta hu hindi me kya me isse kuch paise kma skta hu

        Reply
        • Sunny Singh says

          June 27, 2016 at 10:32 am

          Vikasplus facebook group me aap humse sampark kar sakte hai.
          Aur agar aapko hindi article likhne me interest hai toh aap defiantly paise kama sakte ho, bas aapke articles ki quality acchi honi chahiye.

          Reply
  62. manish says

    June 26, 2016 at 5:44 pm

    sir mujje hindi me article likhne ka sokh hai aur me likhta v hu
    to kya me isse kuch paisa kma skts hu
    reply me plz

    Reply
  63. Priya says

    July 29, 2016 at 2:19 pm

    hi friend.
    mene blog create to kar liya hai par us par adense account kaise add karu

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 2, 2016 at 11:22 am

      Iske liye aap humari adsence series ko padh sakte hai.

      Reply
  64. Anshesh says

    July 31, 2016 at 10:57 am

    sir ham post kase or kaha se kare

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 2, 2016 at 11:06 am

      Post toh aapko apne blog par hi karni hogi, jaise sabhi log karte hai. Aur rahi baat topic ki toh wo toh aapko bhut soch samjkar, thodi bhut research karke hi dekhna hoga.

      Reply
  65. naman kumar rajbhar says

    August 3, 2016 at 4:23 am

    Sir kiya sari India dekh paygi kiya google khoj kare to khoj ho jaega kiya kiya likhna padega

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 3, 2016 at 10:50 am

      Google me aap lagbhag sabhi parkar ki cheeze khoj sakte ho.

      Reply
  66. Raj Aryan says

    August 7, 2016 at 3:16 pm

    maine blogger par account bna liya hai. aur Maine 3 Airtcle post kiye hai. But 3 Airtcle line by line upper se niche aa rha hai. maj kya karu.

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact