Agar blog ek insaan hota toh posts toh uski aatma hoti aur uska design (template) uska shareer. To posts jitni marji daaldo agar aapne blog ka design acha nahi hai to aapki mehnat bekar jayegi, kyoki agar logo ko aapke blog ko padne me problem ayi to wo aapki website chodkar kisi aur par chale jayege bhale hi aapke articles kitne bhi acche ho.
Blogger apni taraf se kayi saare templates deta hai, par aapko apne blog banate hi sabse pehle uska template change karna cahiye. Mai ye nahi keh raha ki blogger ke dwara pehle se diye gaye templates bikaar hai. Par wo sabhi templates traffic nahi kheech pate aur naa hi mobile par sahi dikhte hai.
Mai bhi jab naya naya designer bana tha to mujhe blogger me templates change karne mai problem hoti thi. Aaj mai is article me aapko sikhauga ki apne blogger ka template kis tarha change karte hai.
Change karne se pehle ye jaanle ki template ka backup kaise lete hai, jisseki agar kuch gadbadi hui to aap kam se kam apne purane template ko to wapas laga sakege.
Template kaha se download kare
Sabse pehle hame ek acha sa template cahiye, aap free template http://btemplates.com/ se download kar sakte hai.
Mujhe to apne blog ke liye Helix template pasand aaya. Is template ko download kanre ke baad zip file ko extract kare. Extract karne ke liye downloaded file par right click kareke extract all karde.
Extracted folder ke andar ek .xml file ban jayegi, yahi aapke blog ke liye template hai.
Aage Padhe :
Blogger par template kaise upload kare.
Blogger par template upload karne ke liye apne blogger account me login karo, aur phir apni website ke dashboard menu me se template select karlo.
Template page par se ab aap “Backup/Restore” button par click karo
Ex box khul jayega. Template ka backup lene ke liye Download full template par click karle. Agar naye template ke sath koi problem ati hai to aap is download kiye hue template ko bhi restore kar sakte hai.
Is box me Choose File par click karke download kiya hua template select karlo, is template ko lagane khel liye Upload par click kardo.
Upload button par click karte hi aapka naya template ready ho jayega. Ab aap apni blog ke address par jakar check kar sakte hai.
Agar aapke pass koi sawaal hai to neeche diye gaye comment box me daale, hamari team aapko jaroor help karegi. Is post ko padne ke liye dhanyawaad.
Ye bhi Padhe:
- Blogger par Read more button kaise lagaye ?
- Blogger par disqus commenting system kaise lagate hai ?
- Blogger par meta description kaise daale ?
ankit says
sir aap ne bahut acha guide kiya uske liye thanks per sir mujhse download nahi ho rha hai plz help kariye
Sunny Singh says
Template yaha se download kare >
deep says
Bhai aapka blog bhut acchai hai
Mai roj visit krta hu.
Plz if dont mind aapka whtsapp num de do kyu ki mai abhi blogger filed me nya hu islir aapki help chahta hu
Thanks
Vikas Plus says
Iske liye aap humara Facebook page ko like kar sakte hai ya Facebook Group ko join bhi kar sakte hai. baaki ki details aapko wahi par milegi.
Manish Sharma says
Sir Aap Ye Btaye Ki Sir Hindimeinfo.Blogspot.com Ka Templates Ka Design kaisa hai
kiranbhai says
aapne Blogger Template Change karne Ki Simple word Me Sabhi step bata diye. New Blogger ke Liye Useful …hai.. thanks , ye bhi jaruri janna hai ki Free Aur Premium Blogger Template Me Bada Difference Hota hai
Sunny Singh says
ok
dharaiya says
Thanks for this help
Very good
nareshthakor says
Sr nice aartical
nareshthakor says
Sr hamara blog google me aa gaya he ki nahi kese pata salega
Sunny Singh says
Blog ko Google search engine me kaise laaye
naresh says
Sr google search me hamara blog aa gaya he Kese pata kare
Sunny Singh says
Blog ko Google search engine me kaise laaye.
naresh says
Sr aapka templates muje
Mil sakta he
Sunny Singh says
Aap humse Facebook Group me smapark kare.
naresh says
Sr meara alexa account seceful
Likhke aata he par alexa renk nahi Dikhta
Mera blog ko 65 din ho gaya he or
Nene 33 post likhe he or mera cool
vigitor 7500 he to sar alexa renk
Dikhna sahiye aaya nahi please bataye or sar alexa renk account banaya tab mene templates me alexa ka cod nahi dala tha
naresh says
Sr agar hamara alexa renk nahi Dikhta he or hamara tarafick 300 se 500 tk he day
To hume ad koy company de sakta he
Sunny Singh says
Aap Adsense ko request send kar sakte hai. RevenuHits, chitika ya phir bidvertiser bhi kuch aisi companies hai jinke ad aap apne blog par laga sakte hai.