Blogging kafi dino se chal rahi hai aur log blogging se bohot paise bhi kama rahe hai. Lekin YouTube abhi fashion me hai, aap jitna apne blog se kamate hai usse acha aap youtube se kama sakte hai.
Agar ye dono platform alag alag itne powerful hai to socho jab hum Youtube aur Blogging dono ko ek sath jodege to kya hoga. Youtube hum apni video ko kisi be article me daalne ki aajadi deta hai. Youtube article me daalne se aap visitor ko apni website me jada der tak rok sakte hai.
Is article me hum seekhege ki aap apne Blogger blog par Youtube videos kaise daal sakte hai.
Article shuru karne se pehle me aapko batana cahta hun ki Blogger ka post editor aapko Youtube video add karne ki suvidha deta hai. Lekin blogger ke dwara daali gayi videos ka design sahi nahi hai, Isliye is article mai hum khud se YouTube videos daalege.
Video ko kisi bhi post me daalne ko english mai Embedding video kehte hai.
Step 1: Aap jis bhi Youtube video ko apne blog par daalna cahte hai use video ke neeche diye gaye Share button par click kare.
Step 2: Share par click karne ke baad Embed par click kare. Embed box me ek Code hoga use code ko copy karle.
Step 3: Ab aap apne Blogger blog me login kare aur jis bhi Article me video daalni hai us par Edit click kare.
Aage Padhe :
- Youtube par Offline Videos kaise Download kare ?
- Blogger me HTML Code kaise Add karte hai ?
- Blogger me Stylish Search Box kaise lagaye ?
Step 4: Ab aapko apne Article me jaha bhi video daalni hai waha jaakar “xxxx” likh de.
Step 5: Upar se HTML par click kare. Aur “xxxx” ko dhunde. Dund ne ke liye ye step follow kare:
- HTML tab par click kare
- Ctrl + F press kare
- ab upar search box me “xxxx” daale.
- Neeche HTML editor me “xxxx” highlight ho jayega.
Step 6: Khoje gaye xxxx ko hatakar uski jagha par Youtube se copy kiya hua code daalde.
Step 7. Update par click kare
Ab aapke blog par video add ho chuki hai.
Video Embed karne me agar aapko koi bhi problem aa rahi hai to neeche diye gaye comment box me jaroor likhe.
Dhanyawaad 🙂
Ye Bhi Padhe :
- Powered by Blogger kaise Hataye ?
- Blogger par Meta Description kaise lagaye ?
- Blogger par Google Translate Widget kaise lagaye ?
HindiDost says
XXXX likhne ka idea badiya hain
http://www.hindidost.com
Vikas Plus says
Thanks Dost 🙂 Aapko agar aur bhi koi problem hai to hame pooch sakte hai..
Vivek darji says
Very very good information Nikhil Bhai aap mera blog Bhi dekh sakte ho
Best Hindi Tricks
Sunny Singh says
ok
vinod kumar says
hame google par photo setu
nahi hote hain
Nikhil Arora says
Google Plus par karoge to apne aap google par aa jaega ye padhe : Google Account mai Photo Kaise Upload Kare
ASHOK SAINI says
Bahut badiya information Sir, But sir jab mai mere blog me you tube video ka code dalta hun tab bo video full post me show hota hai means post ka ek square area 800px X 800px jo ki achha nahi lagat. but me is type se show karna nahi chahta. ye mere blog ki problem hai ya kuch aur plz Reply me……
Nikhil Arora says
Iske liye aapko responsive design lagana padega, aane waale time mai mai ispar ek details post likhuga..
micky verma says
hi bro … please give me some tips ?
bloger se paise kaise kamate hain..
kisi ad ko apane bloger me kaise add karate hain..