Kya aapne Torrent ke baare me suna hai ya kabhi iske baare me jaan ne ki kosish ki hai ? Is article me hum BitTorrent ke baare me seekhege.
BitTorrent Kya Hai?
BitTorrent ek peer-to-peer file sharing karne ka tarika hai. Torrent ke use se hum internet dwara apne mobile me files download kar sakte hai. Peer-to-peer ka matlab hai ki jab hum kisi torrent dwara koi bhi cheez download karte hai, wo direct server se aane ki bajaye un logo se ati hai jo us file ko download kar rahe hote hai, aur jab aap us file ko download kar rahe hote hai tab aapse bhi koi wo file download kar raha hota hai.
Torrent ka istimaal aksar badi files karne me aata hai. Is file transfer ke tarike se server par load kam rehta hai, aur kyoki sabhi log file aapas me bhej aur download kar rahe hote hai, ye jada effective tarika hai downloading ka.
BitTorrent Kaise Kaam karta hai?
Upar di gayi animation hume torrent ki working bata rahi hai. Colored dots har computer ke neeche hame files ke pieces dikha rahi hai. Jaise ki aap dekh sakte hai jaise hi koi ek computer server se ek file ka piece download karta hai, wo turant use share karna bhi shuru kar deta hai. Jisse ki server par load bilkul karm rehta hai.
Kya Torrent File Download Karna Legal Hai?
Ye baat uspar nirbhar karti hai ki aap kya download kar rahe hai. Agar aap koi aisa software ya files download kar rahe hai joki free available hai to koi problem nahi. Lekin agar aap kuch pirated ya copyrighted software ya movies download kar rahe hai to ye illegal ho sakta hai.
Torrent Download Kaise Kare?
Torrent download karne ke liye hamare pass pehle BitTorrent Client hona cahiye. BitTorrent client ek software hota hai jo torrent files ko download aur upload karta hai. Sabse best aur lightweight torrent client uTorrent hai.
>> uTorrent Download Kare. <<
uTorrent download karne ke baad ise install karle.
Ab torrent download karne ke liye hume ek choti si tracker file ki jaroorat hai jo aapke BitTorrent client ko ye batayegi ki torrent me kya hai aur ise kaha se download karna hai. Torrent tracker file aap kisi bhi torrent website se download kar sakte hai.
BitTorrent jadatar files ko illegally share karne ke liye popular hai, lekin mai aapko ek list me kuch esi website batata hun jaha se aap Legal files download kar sakte hai. In websites se aap Creative Common material download kar sakte hai, jinka use free hai.
Aage padhe:
Legal torrent website ki list:
- Archive.org – Ye internet archive hai jisme lagbhag 10 lack se upar files uplabdh hai. Yaha par kahi sari books, music aur movies hai. Is website ne apne server par load kam karne ke liye torrent section khola hai, jaha se aap torrent tracker files download kar sakte hai.
- BitTorrent Bundle – Yaha par music aur videos download karne ke liye available hai, ye website BitTorrent dwara officially launch ki gayi hai.
- FrostClick – Is website par kafi accha collection hai free music, games, software aur videos ka, jo ki download karne ke liye legal hai.
Torrent File Download Kare
Hume ek music album download karni thi to hum BitTorrent Bundle par gaye aur waha par kisi album me se Download Now par click kiya.
Ab Website hume Client download karne ko keh rahi hai, lekin hum “I already have a torrent client” par click kar sakte hai, kyoki humne utorrent client pehle se hi download kar rakha hai.
Humari Music album ki torrent tracker file download ho chuki hai ab hum ispar click karege.
Click karte hi ye file humare computer par downloaded uTorrent client me khul jayegi. Ab aap jo files cahiye unko select kar sakte hai, Select karne ke baad OK par click kare.
Ab aapki torrent file download honi shuru ho jayegi.
Aap apni file ko pause, stop, play ya delete bhi kar sakte hai. File par right click karke aap file ke folder me bhi jaa sakte hai.
Maine aapko bikul aasaan bhasha me torrent ke baare me batane ki koshish ki hai, agar aapko koi bhi problem ati hai to neeche comment me pooche sakte hai.
Thank You 🙂
Aage Padhe:
- WordPress par Facebook comment system kaise lagaye ?
- 10+ Best Responsive aur SEO Friendly Templates For Blogger.
- Android kya hai ?
Vijaypal singh says
blogger par fb comment kaise lagaye
Vikas Plus says
Blogger par Facebook comment lagane ke article hum jald hi likhege, Lekin agar aap ek esa comment system lagana cahte hai jisme aap Facebook, Twitter aur Google kisi ke bhi dwara comment kar sakte hai to hamara ye article padhe : https://vikasplus.com/apne-blog-mai-disqus-commenting-system-kaise-lagaye/
Vijaypal Singh panwar says
aap hamara blog dekho Part1Blogger.blogspot.com
Vikas Plus says
Acha hai, aap is blog ke design ko aur behjar banaye. Aur ho sake to WordPress par banaye.
haseen says
good evening sir.
sabse pehle aapko special thanks
sir aapki har ek post bahut hi knowledgeable hoti hai aur aisa mere saath pehli Baar huaa hai ki kisi ek site se main poore din chipka raha um mid krta hu ki aap keemti jankari se top
visitors ko update rakhenge aur han aapka easy tarike se simple bhasha me samjhane ka effect ghazab ka hai,,
Vikas Plus says
Hello Haseen, Thank You..
Aaapke comment se Hume aur kaam karne ki Himmat mili hai 🙂 Humari poori koshish rahegi ki aapko Nayi jaankair pohchate rahi… Aap Mere facebook friend bhi ban sakte hai. Waha aap mujhe sujhaav de sakte hai ki aapko aur kesi jaankari cahiye, jisse hum aapko aur ache se information de sakege.
Thank You 🙂
nikesh mishra says
Sir muje torrent se movie dwonload kRNA hai lekin kr nhi pata hu kripya kr muje btaye ki mai kyese use kru torrent se movie dwonload krne ke liye.
Aap muje mo. No. Bhi msg kr sakte hai aur email id pr bhi
9406134108
Sunny Singh says
Aapne ye nhi bataya ki aapko kis type ki problem aa rahi hai. Jisse aapki video download nhi ho rahi hai.
Raju Panwar says
Mera laptop Jo ki 64 bit ka h ! Sangeeta real voice naam ka software install to hota h per desktop per nahi aata h! Acer Windows 7 !
Plz sir,
Help me
Sunny Singh says
Shyaad wo software aapke OS ko support nhi kar raha hoga.