Aaj kal Online money making bhut se method international market me aa gaye hai, jinme se kuch hi method india me available hai, jinke baare me shyed aapko pata hi hoga.
Lekin abhi kuch time phele ek naya feature market me aaya hai, jiska naam hai BitCoin. Toh aaj hum aapko BitCoin ke baare me batayege ki, ye kya hai aur kaise kaam karta hai ?
Agar Aap Online Internet ki madad se paise kamane ki soch rahe hai to iske bahut sare tarike hai jiski madad se aap ghar baithe internet ki madad se paise kama sakte hai.
Jaise ki Google adsense . Affiliate Marketing ya infolink se aap paise kama sakte hai. Aise bitcoin ki madad se bhi aap ghar baithe paise kama sakte hai.
Lekin iska method baaki platform se bhut alag hai, jiske baare me aapko jaada jaane ke zarurat hai.
Bitcoin ek Currency hai Jaise ki dollar, rupees hote hai, waise hi ye bhi ek currency hai aur aaj hum iske ke baare me janege ki bitcoin kya hai , isse paise kaise kama sakte hai aur iska istemal kaha aur kaise kar sakte hai.
Toh chaliye ab aapko detail me batate hai ki BitCoin hai kya ?
BitCoin kya hai ?
Jaisa ki humne bataya hai ki ye, bhi ek currency hai jaise hamare rupees dollar hote hai lekin in dono me bahut jyada antar hai.
Wo ye ki rupees dollar ko aapko apne purse me rakh sakte hai chhu (touch) kar mahsoos kar sakte hai ye aapke samne hote hai dikhai deti hai . Lekin bitcoin ek virtual currency hai jise hum touch nahi kar sakte sirf store kar sakte hai aur wo bhi apne online wallet me.
Jaise ki aaj kal freecharge, paytm wallet me aa raha hai thik waise hi.
Blog se paise kaise kamate hai ?
Bitcoin ko denoted (darshane ) ke BTC, mBTC, µBTC, Satoshi etc, use kiya jata hai. Bitcoin ye open source hai ispar kisi ka koi control nahi hai isse har koi use kar sakta hai jaise ki hum internet ko use karte hai.
Ye Basically payment karne ke liye istemal hota hai isse aap payment receive bhi kar sakte hai aur send bhi kar sakte hai. Aaj ke time me ek Bitcoin ki Value $575.56 hai aur ye kam jaada bhi hoti rahti hai
Jaise ki humne is image me bhi dikhaya hai ki ye currency ke jaise up down hote rahte hai 2014 me ek baar toh ye 1100 dollor tak bhi pahuch gaya tha. Toh iska koi particular method nhi ye bhi share market ke jaise change hota rahta hai.
BitCoin kaise earn kare ya kamaye :
Agar simple bhasha me kahu to bitcoin aap 2-3 trike se pa sakte hai .
Simple tarika ye hai ki aap Ek bitcoin directly $575.56 me kharid lo phir jab uska price high hoga, toh use sale karde aise me aap us se acha khasa paisa kama sakte hai .
Internet se paise kamane ke kuch asaan tarike
Maan lo aapne $575.56 ka bitcoin le liye phir kuch dino me uska price ho jata hai $600 ya usse zaada ho jaata hai, toh us time aap usko bhech sakte hai aapko sidha sidha $25 ka fayda ho jayega.
Aur $25 US dollar me lagbhag 1676 Rupees hote hai.
Sell Product :
Dusra method hai ki aap kisi ko koi saman sale karte hai, toh uske badle aap bit coin lelo aise me aapke online account me bit coin aa jayega aur waise hi jab uska price high ho tab use sale kar de.
Ye do tarike hai simply bitcoin pane ke aur us se jyada paise kamane ke. Lekin tisra tarika hai jisse aap bina saman sale kiye ya bina Bitcoin kharide bhi bitcoin kama sakte hai.
Bitcoin Mining :
Bitcoin kamane ke liye hume zarurat padti hai bahut hi badiya processor wale computer ki jiska hardware bahut hi badiya ho.
Ab Kaise kamayenge bitcoin , jaisa ki maine bataya tha ki Bitcoin online payment ke liye istemal hota hai. Jab koi bitcoin se payment karta hai hai toh us payment ko verify karne ke liye kuch maths ki problem hoti hai jinhe solve karna padta hai, aur un maths ki problem ko solve karne ke liye bahut badiya computer chahiye hota hai.
Jo jaldi se us maths ki problem ko solve kar sake. Agar aapka computer itna powerful hai, us se vo math ki problem solve ho sakti hai toh, Aapko Commission ke roop me kuch bitcoin mil sakte hai.
Ise Bitcoin Mining kahte hai aur ise karke hum bitcoin kama sakte hai, lekin ye tarika thoda muskil hai, aur bhut manhga bhi.
Jaise ki aap photo me dekh sakte hai, ki ye computer jo Bitcoin ko mining karke ke liye istemal kiya Jata hai aur ye computer bahut hi manga hai aur power bhi bahut jaada istemal kiya jaata hai.
Asha karte hai ki aapko humara ye article pasand aaya hoga, aur aapko bitcoin ke baare me zaada se zaada jaane ko milega.
Ager aapke koi sawal ya sujaav ho toh aap hume neeche gaye comment box me likhar hume bata sakte hai.
Thank you,
Sir, YouTube ke new updated virson me slide bar ka option nhi h sir isko enable kaise late
Youtube ki settings me jakar aap isko enable kar sakte hai.
bhot hi accha jankari diya hai aapne bro bitcoin ke bareme nice aarticle
veary good
7240156128 9549349400
Sir
Namaste
Bitcoin ko buy and sell karne k liye kya kya karna hoga .
Btc pe apna acc kese banaye.
Or
hum bitcoin ko free me bhi buy kar sakte ya nhi???
SIR BITCOUAN KA OPSHAN KAHA HAI JIS SE PASS SEND KAR SAKTY HAI OR SALE OR PERCHED KAR SAKTY HAI