Modi ji ne Friday ko BHIM App launch ki hai, ye aap PayTM ki tarha aapko Payment lene aur dene mai help karti hai.
Is article ko shuru karne se pehle mai aapko in do cheezo ke baare mai batana cahta hun.
BHIM App – Bharat Interface of Money App hai, Interface ka matlab hota hai ek esa design jo aapko computer se interact ya control karne ke kaam ata hai. BHIM matlab Bharat ki esi App jo aapko apne paise control karne mai help karti hai.
UPI – Unified Payment Interface, UPI ke esa payment system hai jo aapke Smart Phone dwara Do bank accounts ke beech mai paisa transfer karne mai help karta hai.
Abhi BHIM sirf Android play store par hi available hai, ye app aapko bina kisi processing fees ke logo ko payment dene aur receive karne mai help karegi. Halaki kuch cases mai bank cahe to apni taraf se fee laga sakte hai. Lekin app koi fees nahi legi.
PayTM app processing fees charge karti hai, free processing ka ye fayda BHIM app ko directly milega.
Aap download karne ke liye playstore mai “BHIM UPI” search kare. Sirf Bhim daalege to chota bheem ki apps dikhne lag jaegi haha.
BHIM App ko yaha se download kare >
Apni is app ke sath 30 banks connected hai jinme se SBI, PNB, ICICI, HDFC jese bank shaamil hai.
Is aapko ki istimaal karne ke liye in baato ka dhyaan rakhe:
- Aapke bank account par mobile banking activation ke bina bhi ye app kaam karti hai, bas aapka mobile number aapke bank account ke sath juda hona cahiye.
- Paise bhejne waale ke liye bhejne waale ka aur receive karne waale ka bank UPI enabled hona cahiye. Agar aap dekhna cahte hai ki aapka bank UPI se linked hai to is link par click kare http://upipayments.co.in/upi-enabled-banks/
- Aap is app ko Hindi aur English dono bhashao mai istimaal kar sakte hai
- Aap ko pehli baar istimaal karte samye aapko 4 digit ka ek password banan padega, jo security ke liye acha hai
- Ye app abhi iPhone aur Windows phone ke liye available nahi hai.
Khaas baat ye hai ki is App ko chalana bahut hi easy hai, aur is app ko use karne ke liye Internet ki jaroorat bhi nahi hai.
Toh chaliye ab hum aapko step by step batate hai ki kaise aap BHIM app. ko intall karke, use kar sakte hai aur iske kon se features isko baaki apps ( Paytm ya Freecharge ) se khass banate hai.
BHIM App. ko kaise Install kare :
Step 1 : Sabse pehle aap Google play Store me jakar BHIM App. ko search kar sakte hai.
Uske baat aap us app. ko install karke, open par sakte hai.
Step 2 : Jab aap app. ko open karte hai toh aapke samne BHIM app open hone se phele aapko language selection ke producer se hokar gujarna padta hai, yaha maine English ka selection kiya hai. Agar aap english ke ander comfortable nhi hai toh bhi aap HIndi language ka bhi selection bhi kar sakte hai.
Uske baad aapki app. open ho jaaygi, aage ki display me aapke samne kuch instruction aate rahege. Jinko padne ke baad aap Next Button par click karke next field me ja sakte hai.
Step 3 : Instruction padne ke baad aap LET’s GET STARTED par click karke next field me ja sakte hai.
Ab next field me aapke samne Verify Mobile Number selection ka ek option aayga, yaha uper image me aap dekh sakte hai, mere mobile phone abhi 2 sim daale hue hai, toh uske ander 2 option aa rahe hai.
Note : Yaha aapke liye ye baat bhi jaanni bhi bhut zaroori hai ki aapko usi mobile number ka selection karna hai, jo ki aapke adhaar card aur Bank Account se attach ho.
Toh jo number aapke Adhaar card aur Bank account se attach hai, us number ka aap selection kar sakte hai.
Uske baad Mobile Verified display par show hone lagta hai.
Step 4 : Jaise hi aapka Mobile Number verified hota hai, waise hi aapke next field me Banks ki list samne aa jaati hai. Jaisa ki aap uper image me dekh sakte hai.
Yaha par mera Mobile Number State Bank Of India se attach hai, toh maine usko select kiya, aise hi aap apne bank ka selection kar sakte hai.
Step 5 : Uske baad aapka Account Number aapke IFSC code ke sath show hone lagta hai. Jaise ki aap apne account number par click karte ho, toh next field me aapke samne 2 option aa jaate hai. Not Now aur SET UPI PIN.
Yaha aapko SET UPI PIN par click karna hai, jaise hi aap is button par click karte ho, toh aapko next field me apne Debit card ki last 6 digit aur wo kab tak valid hai ye daalna hota hai.
Step 6 : Jaise hi aap apne Debit Card ki details daal kar right ke sign par click karte ho, toh aapke mobile number par ek OTP sms aata hai, jo apne aap next field me enter ho jaat hai.
Iske baad aap apna UPI Pin set kar sakte hai.
Note : Dhyaan rahe UPI Pin aapke sabhi transaction me kaam aane wala hai, toh isko is tarike se set kare ki koi zaldi se hack na kar sake.
Step 7 : Ab aapke samne app ka Home Page khul jaayga, jaise ki aap dekh sakte hai ki, is home page me aapke samne Transfer Money ke 3 option aa rahe hai.
- Send Money : Kisi ko bhi paise send karne ke liye aap iska istemaal kar sakte hai.
- Request Money : Kisi se paise mangwane ke liye aap is fuction ke jariye usko request send kar sakte hai.
- Scan & Pay : Is feature ke through, aap kisi bhi shop, mall, petrol pumps, departmental stores ya phir kisi ko bhi money send karne ke liye, uske dwara diye gaye bar code ko scan karke, uske account me money transfer kar sakte hai.
Step 8 : Jaise ke humne bataya ki aap apna khud ka bar code bhi generate kar sakte hai ( ye bhut hi acchi facility hai, is app me jo ki aapka Paytm, freecharge ya kisi aur app me kahi nhi milegi. )
Iske liye aapko Profile par click karna hoga aur aapka bar code generate ho jaayga, ab aap isko download karke, jis kisi se bhi aapko paise mangwane hai, ya aapka koi business ya koi shop hai, toh aap iska print out nikalwa kar waha lagwa sakte hai.
Jisko bhi aapko payment karni hai, wo aapki baar code id ko click karke payment kar dega.
Aur wo payment side aapke account me aa jaaygi.
Step 9 :
Transaction Button par click karne se aapko BHIM app dwara ab tak ki, ki gayi abhi transaction ki jaankari aapko mil jaaygi.
Balance Account : Is option par click karke aap apne acount balance ki poori jaankari le sakte hai.
Is App ko aap Smart phones aur saste feature phone mai bhi use kar sakte hai. Aanne waale 2 hafto ke ander is app ke security features mai sudhaar hoga aur uske baad ye app itni powerful hojaegi ki aap bina internet, bina mobile ke sirf Anguthe se hi payment kar sakte hai.
Aapka angutha hi kafi hai.
Aur jo aapke Anguthe ka fingerprint hoga wo aapke aadhar card se liya jaega, India mai 100 crore se jaada logo ka Aadhar card hai.
Aapka BHIM App kaise lagi? Neeche comment karke mujhe bataye.
Shaikh Muneer says
bahut hi badhiya app hai BHIM kal jab ye aap launch hui to maine isko open karke use kiya jo bahut hi easy hai aur ek future mujhe bahut pasand aaye. mujhe lagta hai bhim ab paytm ki jagha legi.
Sunny Singh says
Thanks for your support Shaikh Muneer.
Gopalpuri says
Windows mobile me kese download kare
Rohit kumar says
Bahut achha lga mujhe
Gaurav Dhawan says
Nice article, very helpful, but tell me one thing what if this app is sending verification massage from my phone and the charges also got detected from my mobile balance and the verification got failed, will I got my balance reversed or not? And also tell me any precautions to avoid such verification failures.
Sunny Singh says
BHIM app was new, so it has slow speed.
Manoj says
Sir bhim aap me ATM ka Jo aexpair date ho set n ho ra place half me
Sunny Singh says
Abhi BHIM app poori tairke se update nhi hua hai, toh aap iske liye kuch time baad try kar sakte hai.
Girish says
Nice…. Aapki jankari bahut achchhi h.par kya. sbbj. Stet bank of bikaner or jaipur me ye aayega kya…. Bank name nahi bata raha h
Nikhil Arora says
Iske ander 30 bank hai, jo aapka bank hai wo aap select kar sakte hai.