Vikasplus aaj apke liye lekar aaye hai password banane ke kuch asaan tips jisse aap apni important cheezo ke password ko bhut secure kar kar skate ho.
Agar aap apne Mail account, Bank account, or ATM ke password ko hackers se buchana chahtin hai to apko in 7 tricks ko zarur follow kerna chahiye….
1.Sentence ka istemaal karin :-
Password ke liye kisi aise sentence ke bare me sochna chahiye jo kevel apko pata ho jaise ki ‘my name is VIKAS PLUS’. Ab aap is sentence ke Adhar ko apne password ke liye chun saktein hai, Iss sentence ke har pehle aksar ko apne paswword ke liye use ker sakein hai,
Ex:- ‘mnivp’.
2.Trick ka istemaal kerin :-
Password ke liye kuch tricks bhi apna saktein hai. EX :- Simple Password 123456 ki jagha aap ‘pass123456word’ ka use ker saktein hai. Ya fir aap A ki jagha @ or S ki jagha $ or H ki jagha # and I ki jagha ! ka bhi use ker sektein hai. Yaha trick password ko secure kerne me jaada madadgaar sabit hogi.
3.Phone number ke sath verification alert dale in:-
Kuch services jaise Gmail password ko mobile se connect kerne ki suvidha deti hai. Apne Gmail ko secure karne ke liye apne mobile number sabse bhadiya vikalp hai. Service provider apke account me password dalne ke baad aap ke mobile number pe code send kerta hai us code ko dalne ke baad hi aap apne Gmail account khol payengye. Is tarha bhi aap apne Gmail account ko secure ker saktein hai.
4.Password ho Lamba:-
Apka password jitna lamba hoga utna hi achha hai. Expert ke anusaar 8 digit ka password honna chahiye lekin aap 14 ya 25 digit ka password laga ker apne password ko or strong bana sakte hai.
Yahoo par Email ID kaise banate hai ?
5.Alphanumeric
Aapke password me words or number ka combination hoga to vaha or bhi strong hoga. Ho sake to words or number ke sath symbol ya special character jaise :-’@#$%&*’ ka bhi isstemall ker saktein hai.
6.Ek jaisa Password na rakhe :-
Ek password ka use kevel ek hi jagha per hi kere. Same password ka use kisi or account ke liye na kere. Normal kaam ke liye chootha Password ka hi use kere. Aap news website or kisi or journal account ke liye choote password ka use ker saktein hai.
Text ko copy paste kaise kare ?
7.Password manager ka use kerin:-
Ager aap apne password ko lamba bana bhi rahein hai or apko isse yaad rakhne me mushkil ho rha ha too aap password manager ka use ker sakte hai. Password manager aapke sabhi password yaad rakhta hai. Iske liye aap LAST PASS ya 1PASSWORD ka bhi use ker saktein hai.
Hum Umeed karte hai ki aapko humara ye article bhut pasand aaya hoga aur aapko iske jariye apni important cheezo ko surkshit rakhne me bhi bhut madad mili hogi.
Agar aapke kuch sujaav ya samsya hai toh aap hume neeche comment kar sakte hai.
Aap hume social media par bhi join karke humse jud sakte hai .
Thank you.
Leave a Reply