Jab hum Chrome browser me koi bhi website par login karte hai to chrome humse uspar Password save karne ke liye poochta hai jisee ki hume dubara dubara password naa daalna padhe. Lekin kabhi kabhi hum galti se koi password save kar dete hai aur hame use saved password ko hatana cahte hai.
Is tutorial me mai aapko chrome me save kiya hua password hatana sikhauga.
Step 1: Chrome browser ki settings me jaao.
Step 2: Settings me sabse neeche jaakar “Show advanced settings…” par click karo
Step 3: Passwords and forms me jaakar Manage passwords par click karo
Step 4: Jis bhi password ko aapne remove karna hai uske aage bane cross (x) par click karo. Password remove ho jayega.
Aapko sirf apne computer ke browser me passwords ko save karna cahiye, agar aapne galti se kisi aur ke computer me save kar diya hai to aap is method ko use kar sakte hai.
Thank You for learning 🙂
Ye bhi padhe :
- Chrome Ke Browsing Tabs Mai Numbers Add Kare
- Blogger Blog Post Mai Social Media Button Lagaye
- Web hosting kya hai?
- WordPress par Facebook comment system kaise lagaye ?
Leave a Reply