Vikasplus Google Adsense series me aaj hum baat karege. Adsense ki Best Positioning ke baare me.
Adsense ads position se aapki earning par bhut zaada impact pad sakta hai. Yaha tak ki aapki earning raato raat bhut zaada badh sakti hai.
Humse bhut se log vikasplus aur Facebook par bhi ye hi sawaal baar baar puchte hai ki, Humko adsense ads lagaye hue bhut din ho gaye hai, lekin isse kuch income nhi ho rahi hai.
Toh apne un visitors se mai yahi kahta hu ki apke adsense ads ki positioning me zaroor kuch problem hai, jisse ki aapki income increase nhi ho rahi hai.
Mere ko bhi ye baat tabhi pata chali hai, jab khud mere ko bhi adsense ko use kiye hue bhut din ho gaye thy.
Adsense Positioning ko lekar koi bhi ek solution de pana sambhav nhi hai. Adsense Ads ki best positioning aisi honi chahiye jisse ki wo Visitor ki attention direct ad par jaye.
Lekin isme hume is baat par bhi dhyaan dene ki zarurat hai ki ads ki position website ke type par bhi nirbhar karti hai, ki kaise uska navigation aur features arrange kiya hua hai.
jaise ki digram me dikhya gaya hai ki ad website page ke title ke bilkul neeche aana chahiye, jisse ki ye visitor’s ki attention pa sake aur visitor’s ad par click karne ki toh ek baar zarur soche.
Jab maine ye experiment kiya tha, toh maine ye bhi socha tha ki ye itna accha sabit hoga, isse meri earning din par din badti chali gayi, ki ab mai full time blogger hone ki soch raha hu.
Website pages par kuch area aise hote hai, jo ki visitor’s ka dhyaan dusri jagaho se zaada apni aur kheechte hai. Bas hume inhi areas ko target karna hota hai.
Mai ye pakke tor par nhi kah sakta ki, Maine apne Blog ki ad positioning ke sath aisa experiment karne fasla kaise kar liya, Lekin ye sab karne ke baad mai ye dekh paaya ki visitor’s ko web page ke kis area me ad laga kar attract kiya ja sakta hai.
Toh is baar maine ye socha ki kaise visitor’s ki dhyaan ads ki aur laya jaaye, toh maine visitor’s ki full attention paane ke liye ye decided kiya ki, web pages ke Top par left hand side par content area sabse badiya rahega kisi bhi visitor ka dhyaan kheechne ke liye. kyuki koi bhi visitor agar web page par aaye ga toh ek baar toh zarur ad ko dekhega aur ho sakta hai click bhi zaada mile.
Jaisa ki maine right hand par bane is digram me dikhaya hai.
Lekin sach kahu toh mai bhi is kadam ko lekar thoda nervous, kyuki kya hoga agar meri earning neeche aa gayi toh, mai toh poori tarh se peehce ki aur chala jauga.
Phir maine decided kiya ki chalo ek, do din ke trail par isko kar ke dekh lete hai. Mai apni earning ka kuch hissa kam karne ke liye tyaar tha, aur agar isne kaam nhi kiya toh vapar pehle wali position hi kar lege.
But maine dekha ki iska result bhut hi badiya tha. Jo ki mere liye ek acchi news thi.
Ab mai kabhi kabhi apne blog ki ad position ke sath experiment karta rahta hu.
Ek blog page par kitne Adsense ads laga sakte hai ?
Ad Positioning ke liye kuch asaan tips :
Jo Ad postion jaada ‘hot’ hai ( ad lagane ke liye sabse badiya jagah ) usko aap Google ke heat map par dekh sakte ho.Ye official Adsense heatmap hai, jo ki google ne apni khud ki research aur nigraani me banaya gaya hai, jis par aapki website ke uper ads ki sabse acchi jagah dikhyi gayi hai.
Aap dekh sakte hai ki kaise content ke uper ki jagah ( jo orange colour ka area hai ) sabse badiya hai, lekin iske niche kuch samanye areas bhi hai jaha par aap ads laga sakte ho. Jaise ki ‘hotter areas’ me dikhaya gaya hai.
Aap soch rahe hoge ki ye sab blog ke liye ek jaisa hota hai, lekin mai aapko ek baat zarur kahna chahuga ki ye ‘hotter areas’ Blog to Blog uske content par depend karte hai ki ads ki position kya honi chahiye.
Humesha kuch alag karte rahne ki adat hi aapke blog ko sabse acche blog me se ek bana sakti hai
Aapko humara ye article kaise laga, iske baare me humko zarur neeche comment me likhe. Agar aapke kuch sujaav bhi ho jisse ki hum apne article ko aur bahtar bana sakte hai, toh kripya zarur de.
Aise hi aur articles ke liye aap hamara Private Facebook Group bhi join kar sakte hai.
Thank you.
Nikhil bhai…mai thoda confuse ho gya…pta hi nhi chal rha ki ads kidhar lagaye… title ke just niche ya headmap ke according?? Please help
Satish ye toh aapki website ke traffic par depend karta hai ki kitna traffic aata hai aapki website par. Waise ads ki koi proper jagah nhi hoti hai. Iske sath aap experiment kar sakte hai, jis bhi jagah se aapko acchi income hone lag jaaye, use hi set kar le.
Sunny bro.. traffic toh abhi filhal 2000+ hai…day by day badhti hi ja rhi hai..lekin AdSense revenue me jyada growth nhi dikh rha hai…toh kuch help kijiye
Abhi thoda time dijiye satish zald hi iske result aapke samne hoge.
आप कौन सा होस्टिंग प्लान यूज़ करते हो?
Cloudways
bro maine YouTube pe video upload karke adsence appov karaya ..uske bad Maine YouTube ke Adsence setting me jakar sitemanagmant me jakar apna blog ko add kiya or uska ads unit cread kar mai 5 din phle apne blog pe laga chuka hu.
to mai ye janna chahta hu ki jab Maine apne blog ko YouTube ke Adsence account Me add kiya TB Se abhi 5 din tak hame koi mail kue nhi aaya bhai ye kon sa problem hai.
sit management me mera sit Bhi add hai kya kare ab ham
mera reply kab milega bro
Google abhi aapke youtube channel ko verify karega, uske baad hi aapko confirmation mail aayaga ki adsense approve hua hai ya nhi agar nhi hua hai toh reason bhi dega ki kyu nhi hua. So please wait kijiye.
bhai mere YouTube ka adsence to aprrov ho chuka hai YouTube video par ads show ho raha hai uske bad mai …mai apne blog ko adsence account ke sitemanagmant me blog ko add kiya or ads unit bna kar blog me lagaya …bhai
Dear sir
Aapke blog par power by google me jo ads dikh rahe hai wah aapke blog ki kipost hai ! Mujhe is type ke ads ads banane hai ! Kaise banaae ?