Aaj ke apne is article me hum aapko batayege ki Freecharge kya hai aur is par account banakar aap kya kya kar sakte hai ?
Jaise ki aapko aaj kal ke trendy topic ke baare me toh pata hi hoga, ji ha wo hai Cashless India aur Demonetization.
Ye dono hi topic aaj kal bhut trend kar sakte hai, toh jo topic trendy topic hota hai, kabhi kabhi us par bhi likh lena chahiye, kyuki humari website ko bhut se log follow karte hai, toh ye unki hi demand hai ki, freecharge ke baare me kuch bataye.
Toh chaliye shuru karte hai.
Freecharge kya hai ?
FreeCharge ek bil recharge app. hai, jaise ki Paytm hai. Isse bhi aap Paytm ke jaise hi apna mobile aur baaki tarah se bills ka payment kar sakte hai aur bhi bhut se cheeze kar sakte hai, jo ki Paytm ke through bhi karte hai.
FreeCharge ki sabse acchi baat ye hai ki ye aapko time time par bhut hi acche offer deti rahti hai, jisse ki aapko free me Cashback milta rahta hai aur is parkar aap Free me apna mobile recharge bhi kar sakte hai.
Paytm par account kaise banaye ?
FreeCharge me bhi paytm ke jaise hai ek E- Wallet hota hai, jiske ander aap apna paisa rakh kar, uska upyog online kar sakte hai.
Demonetization ke baad India ko jaise Cashless karne ki baat par jor diya ja raha hai, toh paytm, freecharge aur BHIM jaise app. isme aapki kaafi help kar sakte hai.
Haalaki ye app. paytm jaise toh nhi hai, lekin iske jo offer hote hai, wo bhut hi attractive hote hai.
FreeCharge par account kaise banate hai ?
Sabse pehle aap apne Google Crome browser me freecharge.in ko search karke, iske official site par ja sakte hai.
Ab aapke samne Website ka front page show ho jaayga, iske ander left side par aap dekh sakte hai, ki aap is website ke kya kya kar sakte ho.
Jaise ki aap website me dekh sakte hai, freecharge se aap,
- Mobile Recharge
- DTH Recharge
- Datacard Recharge
- Electricity Bill
- Landline Bill
- Gas Bill
- Water Bill
- Broadband Bill
- and many more….
Ab aap Next step ko follow karke apna account freecharge par bana sakte hai, iske liye aapko sabse pehle website ke right hand side par bane Login/Register Button par click karna hoga.
Ager aapka account is par pehle se hi hai toh aap Login button par click kijiye, aur ager nh hai, toh aapko Register button par click karke, ye form fill karna hoga.
- Name : Apna name fill kijiye.
- Email : Address : Apna email address fill kare.
- Mobile No. : Apna current Mobile Number ko bhariye.
- Password : Password set kijiye.
Form ko fill karne ke baad aap neeche diye gaye SignUp button par click kar sakte hai.
Apne freecharge account ko aap Google ya phir Facebook se bhi connect kar sakte hai.
Jaise aap Signup button par click karte hai toh next field me aapke samne verification Process ke naam se ek page open ho jaata hai.
Iske ander aapne jo account me mobile no daala hai, usko verify karne ek liye ek OTP massage aapke mobile number par aata hai, OTP ko daalne ke baad aap, neeche diye gaye Verify button par click karke apna account verify karwa sakte hai.
FreeCharge se apna mobile kaise recharge kare :
Jab aap website open karte hai toh aapke samne middle me ek field aati hai, use field me, phele aap apna ph. number aur phir uske baad apna phone mode select kijiye.
Prepaid ya phir post paid.
Mode select karne ke baad automatically aapki website par aapke Mobile Operator aur State ka naam show ho jaayga.
Next field me aap apne mobile number ke according plans dekh sakte hai aur unme se apna plan select bhi kar sakte hai.
Aur agar aap default plan nhi chahte toh aap Custom Amount me jakar apna amount fill kar sakte hai, jitna ki aapne recharge karwana hai.
Ye select karne ke baad aap RECHARGE ke button par kar dena .
Iske baad Next field me aap Teen Method se Recharge ya bill payment kar sakte hai.
- Quick Pay
- Debit/Credit card
- Net Banking
Jaise ki aap dekh sakte hai ki maine isme Quick pay select kiya hua hai toh, isme mere dwara select kiye gaye card show ho rahe hai.
Iske ander mai CVV number daal kar Pay 100 button par click kar sakta hu.
PAY 100 button par click karne ke baad aapke mobile number par ek OTP aayga, jisko verify karne ke baad aapka mobile Recharge/Bill payment ho jaaygi.
Aapko humara ye article kaisa laga, aap hume neeche diye gaye comment box me bata sakte hai.
Thank you,
Nitin says
Bahut acchi jankari di hai aapne
HindIndia says
बहुत ही बढ़िया article share किया है आपने। धन्यवाद ….!! 🙂 🙂
Rajni says
Waise mujhe nahi lagta tha ki freerecharge wastav me free recharge deta hai lekin ab mujhe yakeen hai.
Post share karne ke liye dhanywadd.
Gaurav says
Great Article..
Asween says
Very useful and detailed information about freecharge,aaj jab digitization ka dor chal rha he tab cashless payment kaa upyog or iska gyaan aavsyk he
Kamlesh Parihar says
good work
Amit says
Bhut he acchi jankari.