Apne is article me aaj hum aapko batayege ki Mobile ki online aur offline shopping ne kya fark hai, aur Mobile ki Online shopping ke kya kya faayde aapko mil sakte hai ?
Usually hum log pehle se chale aa rahe tradition ko follow karne wale log hai, jaise ki offline shopping !
Jo ki hum market se jakar cash ke jariye karte hai, kyuki aaj humare desh me 97% offline shopping cash ke jariye hi hoti hai, kyuki ye humara ek pehle se chala aa raha tradition tarika hai, jisko hum pehle ki generation ko follow karke sekhte hai aur isko hi follow karte hai.
Lekin agar mai abhi ki baat karu toh, jaise ki aap sabko pata hai ki 8 November se 500-1000 rs ki currency band ho gayi hai. Jisse ki ab sale-purchase ka kaam bhi bhut kam ho gaya hai, kyuki shopkeeper ye 500-1000 ke note nhi le rahe hai aur jo paise aapke bank me hai unse bhi aapko kuch limit me hi paise mil rahe hai.
Jisse ki logo ko shopping karne me bhut parehaani ho rahi hai. Kyuki unko koi bhi cheez cash se purchase karne ki adat hai.
Toh aaj ka humara ye article aapki isi preshaani ko door karne ke liye hai, jaise ki mobile aap kisi bhi E-commerce website se purchase kar rahe hai, aur wahi mobile aap bhar market se purchase kar rahe hai.
Online shopping kaise karte hai ? is baat ko aaj kal har internet user bhi nahi janta hai. Jiski wajha se kisi -2 country me online shopping me log itna perfect nahi hote.
Paise ki bachat aur time ki savings har kisi ko acchi lagti hai. Jiski wajha se naye naye internet user online store ko jayada pasand karne lage hai. Jiski wajha se kuch Shopping Companies froud kaam karne lagi hai .
Toh inme kya fark hai, aaj hum aapko ye batayege.
Toh chaliye shuru karte hai.
Online shopping kaise karte hai ?
About your mobile :
Agar aapke dimaag me koi cellphone pehle se hi hai, jisko aapko purchase karna hai, toh aap use offline bazaar me, different websites par uske price, sath milne wale samaan ( charger, SD card, Data cable, etc ) ki aapko poori jaankari honi chahiye.
About online shopping :
Agar aap pehli baar online shopping karne jaa rahe hai, toh aapko kuch baato ka dhyaan toh rakhna hi hoga.
Sabse pehle toh ye baat jaan le ki Online shopping kaise ki jati hai aur isme kya kya jaruri hota hai aur kaise payment kiya jata hain. Kaise aur kaha aapko apna product milega. Kitne din lagege aapko apna product milne me.
Ek Mobile me 2 Facebook Account Kaise Chalaye
Kyu ki kabhi kabhi Aadhi-adhuri jankari hone par hume problem ho jaati hai jaise ki koi product hume pasand nahi aaya toh, uske liye aapko refund policy ki jankari honi chahiye ki, kaise product return kiya jata hai.
In sab ke liye aapko apne paas normally shop account, email id, phone number, payment ke liye credit ya debit card jaisi chizo ki jarurat hoti hai. Jiski counting aapko pehle kar leni chahiye.
Apne Product ko dhudna aur uski jaankari :
Kuch bhi cheez kharidne se pehle product quality, company aur uske review ke baare me jarur jaan lena chahiye. Aap chahe toh price ki tulna Offline Market aur other Shooping Companies se bhi kar sakte hai, jisse aapko Price aur Quality ka pata chal sake.
Dhyan rahe real(Offline) market aur Online Market me milne wale Product me bhut fark hota hain, dikhta kuch aur hai aur milta kuch aur hain. Iske sath sath aap % Discount ka bhi dhyan rakh sakte hain Aur koi coupons ho aapke paas usko bhi apply kar sakte hai.
Computer par dekhe apne Mobile ke SMS
Discount coupons Code se aapko kuch % kam Price me Samaan( Mobile ) Mil sakta hai. Jisse ki aap paise ki bachat kar sakte ho. Waise bhi aapko un mobiles me se hi ek ko kharidna hai jin par toh koi scream ho ya us par ko offer/discount chal raha ho.
Kyuki mobile toh ek hi hote hai, lekin different sites par festival ya sale ke according offer chalte rahte hai.
Best online shops ko hi chune :
Jitni teji se Internet badh raha hai, utni teji se iske user bhi badh rahe hain aur usse bhi jayada teji se Online Store. Jo ki Sabhi tarha ke hote hain jinka aashani se pata nahi lagaya ja sakta ki, ye Real hai ya Fake.
Iske liye aapko pehle un best online shops ke baare me pata karna hoga. Jo ki real hai aur badhiya product milte hai .
Online – Offline Business karne 9 Best Ideas
Inme se kuch best online shops Jaise ki Flipkart , Amazon , Snapdeal , eBay , Abof , Jabong , etc Aisi e-commerce websites hain jinka hum HTTPS:// internet security dekh kar pata laga sakte hain ki konsa real hai aur konsa fake.
Jo online shops real hote hain unme Humesa web address se pehle green color me https:// Ki Security milegi jiska matlab hai ki ye website aapke liye safe hain.
Lekin dhyan ye bhi dena hoga ki kuch fake shopping Website bhi https:// security rakhti hain.
Mobile Online Purchase karne ke faayde :
- Jab aap koi bhi mobile online purchase karte hai toh aapko uske bhut se fayde mil sakte hai, jaise ki uska price market rate se kam hota hai.
- Uski warranty aur replacement guarantee bhi acchi hoti hai, means ki agar aapko mobile pasand nhi aa raha aur aapne usko le liya hai, toh aap usko 30 dino ander wapas bhi kar sakte hai aur uske badlne naya handset ya phir apne paise bhi wapas le sakte hai.
- Online aapko aapke mobile ka poora saman sealed pack milta hai, aur agar seal tuti hui hai, toh wapas bhi ho jaata hai, lekin market me aisa nhi hota.
- Online shopping me aapko kisi bhi particular range ke bhut se handset mil jaate hai, jisme se aapko jo pasand hai aap wo le sakte ho, jabki market me mobile ke kuch limited edition hi rakhe hote hai.
- Aap jo mobile le rahe hai, online aap uske reviews check kar sakte hai, lekin agar aap bazaar se purchase karege, toh shopkeeper aapko unke cons. nhi batayega.
Toh ye thy kuch tips, jinko aap apni online purchasing ke waqt use kar sakte ho.
Aapko humra ye article kaise laga aap hume neeche diye gaye comment box me likhkar bata sakte ho, ya aapko aisa lage ki isme koi tips rah gayi hai, toh bhi aap hume comment box me likhkar bata sakte hai.
Aap hum facebook par bhi follow karke humse jud sakte hai, aur humari daily update pa sakte hai.
Thank you,
Anaf says
Most useful information……i love to read it
yasir khan saqlaini says
bahut badhiya jankari di aapne.
yasir khan saqlaini says
Paytm se ek mahine m kitne paise kisi ko de sakte h
Nikhil Arora says
I guess 20000 tak ki limit hai
Shailesh chaudhary says
bahut acchi jnakri di apne … Mere sath aisa ek bar huya tha mai ek saman Order kiya tha naptol se aur Mujhe keval Dabba mil gaya tha
deepak sahoo says
i like online shoping mere sath kavi dhoka nehi hua he…