Aasman Chhu rahi mahngai ke daur me hum sambhal-sambhal kar chalte hai, aur har kharch ko bahut naptaul kar karte hai ,
Lekin phir bhi kuch aise kharche hai, jo hamari nazar se chuk jaate hai aur hum us tarf dhayn nahi de pate hai.
Aisa hi ek kharch Mobile service ka hai, isliye iske kharch se bach pana possible nahi hai.
Lekin kuchh savdhaniya barat kar iss kharche ko kuch had tak niyantrit jarur kiya ja sakta hai aur apne paise bachaya ja sakta hai.
Aaiye Jante hai kuchh aise hi tips ke baare me :
1. Mahange Internet Plan se Mukti
Jaha bhi uplabdh ho internet surffing ke liye WiFi connection ka upyog kare, Office ya kisi working campus me WiFi ki suvidha ka labh uthaya ja sakta hai,
Isse mahenge internet plan se mukti milegi.
2. Mulyankan kare
Kya aapne kabhi anklan kiya hai ki call , message aur Data ke liye per month aap kitna kharch karte hai.
Is bat ka mulyankan karke Aap kitna kharch karte hai, Aap mobile ke kharch ko control kar sakte hai, iske natize se aapko apne mobile par jarurat ke anusar reacharge karne ya post paid plan lene me madad milegi,
3. Festival time Ki great deal
Festival Season mobile users ke liye behad khaas hota hai, is dauran network provider company dawara khas offers diye jate hai hai, jaise – Dipawali, Holi, Rakhi, Eid, Christmas aur bhi Taiyohar par diye jane wale offer ka paryog karke hum apne mobile bill kam kar sakte hai,
3. Internet Kharch par Rakhe nazar
Har Kisi ka internet use alag-alag hota hai, kisi ko surffing Karni hoti hai, toh koi sirf social networking ke liye internet ka istemal karte hai, isliye apne kharch ka anuman lagaye aur usi ke anusar diye jane wale plan ka istemal kare,
Internet se paise kamane ke kuch asaan upay
4. Prepaid Service ka labh uthaye
Prepaid plan ko use karne ka sabse achha faayda ye hai, ki isme kai achhe plans jarurat ke anusar mil jate hai, Aap message, Call aur Deta ke liye extra reacharge kara sakte hai,
5. Circle me ek hi Opreter ka use kare
Aam-taur par friends aur family member ke bich hamari batchit jayada hoti hai,
Isliye is circle me ek hi network provider ki services lene se bachat ki ja sakti hai.
Kuch company family ya friends group ke liye postpaid plans bhi offer karti hai, isme data ko aapas me share bhi kiya ja sakta hai.
2G, 3G, 4G Mobile Recharge aur Internet Plans Kaise Pata Kare
6. Bandal Plan Ka bhi use kare
Bandal plan jisme aapko call,data message ek hi reacharge par milte hai.
Iske tahat aap ek nichit kimat par sabhi subidha ka labh utha sakte hai, isse aapko alag-alag reacharge se Mukti milegi aur sath me bachat bhi ho jayegi,
7. Message bhejne ke liye free messanger service ka istemal kare
Isse aap bina SMS pack dalwaye message bhej sakte hai, aur apne mobile kharch ko kam kar sakte hai.
8. Notification Band Rakhe
Smartphone me bahut se ecommerce marketing site’s hai.
Jo apne app ke liye notification bhejti rahti hai, kaafi app hai jo apne upgrade ya offer ke liye aapko notification bhejte hai, in notification ke karan bhi aapke internet ka bill badhta hai.
Kyuki yah aapke data ka use karti hai, Isliye Application ki setting me jakar push notification ko band rakhe.
Facebook par Kisi Post se Notification Kaise Band Kare
09. apps Ki free calling se bache
Aajakl jayadtar messagesing services ne pane apps par free calling ki subidha di hui hai phir chahe wo whatsapp ho, ya Facebook ya phir viber, lekin in free lagne wali calling se data jayada kharch hota hai, aur local call ke liye to ye bahut mahengi sabit hoti hai
Yadi international call karni hai to phir bhi iska fayada utha sakte hai.
Lekin in calls ko WiFi network par use kare, Isse Data khapat kam hogi.
10. App ke Aadhar par Data service use kare
Aapke kon se app hai, jo 3G se jayada 2G Par behatar chalenge, Confirm kar le aur unhi ke aadhar par apni data service istemal kare,
Example— whatsapp aur Facebook lite 2G Par achha chalta hai , to aise me 3G on karne ki jarurat nahi.
11. Kam Resolution ke online video Dekhe
Agar aap online video bhi HD Quality ke dekhne ke shaukin hai to jara sambhal jaye, ye aapke internet data ki khapat jayada karte hai, jo sidhe mobile bill pe effect padti hai,
Isliye mobile data par kam resolution ke video ka paryog kare aur HD ko YouTube ki setting me jakar WiFi par set kar de, Isse Data Bachega¡
12. Free Gaming Data Band Rakhe
Free Gaming app kise pasand nahi, Sabhi khelte hai, aap bhi khelte honge hi, par kya aapko pata hai in games ko khelne ke dauran bahut se add niche aate rahte hai, ye add aapke data ki khapat karte hai, isliye game khelne ke samay data ko band rakhe aur bina internet bill ki chinta ke game ka maza le,
Ye Guest post hume www.anytechinfo.com ke owner Ravi kumar Sahu ne likhi hai.
Hum inke magal jeevan ki kamna karte hue, inko apni tarf se best wishes dete hai.
Agar Aapke pass Bhi mobile ke bill bachane ke ideas hai, to aap hame comment box Me jarur bataye,
Agar aap bhi hume guest post likhna chahte hai toh aap humne contact.vikasplus@gamil.com par send kar sakte hai.
Thank you,
Shibam Kar says
Sunny Bhai, Great Post. Want more posts form you in Vikas Plus. Thanks for sharing these ideas.
Sunny Singh says
If you are interested in guest post you can also send me your post if my team like it…
Your post is the next guest post in Vikas plus
arun kadam says
Nikhil ji मैंने एक नया ब्लॉग बनाया है. ये नया blog बनाने के लिए मुझे आपकी वेबसाइट की बहुत हेल्प हुए thanks
Dinesh kumar singh says
miss
Dinesh kumar singh says
miss