Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Blog aur Website mai kya farak hota hai

August 25, 2015 By Nikhil Arora

Agar aap aksar internet ke baare me padhte ho to aapne pakka kahi na kahi blog ya website ka jikar hote to jaroor dekha hoga. Kayi logo ko website banane me interest hai aur kahi log Internet par blog banane ke tarike dhundte rehte hai. Lekin bohot se logo ko ye nahi pata ki Blog aur Website ke beech me kya farak hai.

Is article me hum Blog aur Website ke beech me difference par baat karege.

Website kya hai?

Mai aapko ek example deta hun, Maan ligiye aapka ek business hai. Usme aapka kaam logo ko samaan bechna hai, jis tarha samaan bechne ke liye aapko ek dukaan ki jaroorat hoti hai, bilkul usi tarha internet par website aapki dukaan ki tarha kaam karti hai.

Website par log sirf kaam se aate hai. Flipkart iska ek accha example hai. Websites internet par aapke business ke pehchaan banane ke kaam aati hai, website banane se logo ko bharosa ho jata hai ki aapka kaam fargi nahi hai.

Aaj ke samye me lagbhag har ek business ki apni website hai. Aur to aur ab har sarkari kaam online websites par hi hota hai, Ration card, Aadhaar card, Income Tax aur abhi abhi Government ne nayi website banayi hai jispar aap apne jaroori documents surakshit rakh sakte ho.

Ab mai aapko blog ke baare mai btata hun, isse aapki confusion door ho jayege.

Blog kya hota hai ?

Blog ek prakar ki website hai, farak ye hota hai ki blog par samye samye par articles dalte rehte hai. Jaise ki hamari website vikasplus ek blog hai, aap aajtak news website ko bhi ek blog keh sakte hai.

Kehne ka matlab blog par logo ko time to time kuch na kuch naya milta rehte hai. Aap apni life ke baare me bhi blog shuru kar sakte ho, aap apne blog par kavitaye bhi likh sakte ho. Maan lijiye apka Art me bohot interest hai to aap har 2-3 din baad kuch naya banakar daal sakte ho.

Blog ka kya fayada hai ki log ispar baar baar aate rehte hai, jaise aap news bar bar dekhte rehte hai. Lekin website par cheeze lagbag ek jaisi rehti hai, aur waha aap tabhi jaate hai jab aapko use company se kuch kaam hota hai. Lekin blog par aap nai nai updates lene roj jaate rehte hai.

Blog par bhoto jada cheeze ikkathi ho jati hai kyoki blog par kuch na kuch naya update hota rehta hai. Aur hum Google par search kaise karte hai? Likh kar. To jaha par jada likha hoga Google usi ki website ya blog apni list me upar dikayega. Is maamle me blog ko jada fayada milta hai aur jada traffic aata hai, jisse ke blog ko paise kamane ya customers banane me jada fayada ho jata hai.

Ek ache blog ka maksad logo ko kaam ki baate batana hai, blog ka maksad kuch benchna nahi hona cahiye. Haan aap kisi cheez ke baare me likh kar traffic laa sakte hai apne blog par aur us traffic ko aap customers me badal sakte hai, ek alag website ya page banakar (jaha aapka koi product ho bechne ke liye). Blog par kuch kaam ka likhoge tabhi log dubara aapke blog par aayege.

Blog aur Website eksath

Jitni bhi badi badi companies hai wo dono cheeze ek sath karti hai, unhone apni website ke andar hi blog bana rakha hai. Blog hone se unki website Google ke top par bani rehti hai aur traffic  aata rehta hai. Us traffic ko ye log apne customer me badal lete hai.

Mera ye manna hai ki agar aap apne business ko internet par market karna cahte ho to dono hi cheeze hona bohot jaroori hai.

Aap kya seekhna cahte hai? Neeche diye box me comment karke hume bataye ki aap kya seekhna cahte hai. Hum us hisaab se apne aane wale articles par dhyaan denge.

Microsoft ke sansthapak Bill Gates ka kehna hai ki “If your business is not on the Internet, then your business will be out of business.”

“Agar aapka business Internet par nahi hai, to aapka business khatam ho jayega.” – Bill Gates

Thank for Learning.

Aage Padhe:

  1. Powered by Bloger kaise htaye ?
  2. Blogger me Favicon kaise lagaye ?
  3. Blogger me Facebook Like box kaise lagaye ? 

Filed Under: Basics, Blogger Tagged With: Blog, Website

Comments

  1. ramesh kumar sharma says

    November 21, 2015 at 8:19 pm

    namskar vikash ji,
    aapke blog par aane se hame bahut khushi hui aur kafi jankari mili aage hamara sabal hai ki mai ek esa blog banana chahta hu jis par letest job, result, new vecency, cutt off, answer key etc. dalkar usse kamai karna chahta hu.
    so, sir jankari step by step dene ki karpa kare.
    thanking you.

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 24, 2015 at 10:28 am

      Aap apne liye free blog banana yaha se seekh sakte hai : Blogger par free website ya blog kaise banaye. Aur agar aap apni website ko lekar serious hai to aapko WordPress par blog banana cahiye.

      WordPress ki jaada jaankari ke liye mujhe Facebook par message kare 🙂

      Reply
      • shivam suhana says

        September 16, 2016 at 8:42 am

        azamgrah

        Reply
    • ramesh kumar sharma says

      January 13, 2016 at 5:23 pm

      namskar vikash ji,
      hamara sabaal hai ki blog me menu bar ko edit kaise karu. dusra sabaal hai ki blog post ke bich – bich me 2ya 3 other post ki link kaise dalu puri jankari dijiye sir.
      thanking you.

      Reply
  2. maulik says

    November 23, 2015 at 8:12 pm

    Sir muke ek news websait suru karni he per me ise blogger me banau ki WordPress me kisme banana acha rahenga plesh sir muje jaldi batana

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 24, 2015 at 10:25 am

      Agar aap is website ke baare mai serious hai to aapko WordPress mai shuru karni cahiye. Lekin agar abhi aa seekh hi rahe hai to pehle Blogger mai karlo phir baad mai wordpress par shift kar lena.

      WordPress ki jaada jaankari ke liye aap mujhe Facebook par message kar sakte hai 🙂

      Reply
  3. abdul says

    November 24, 2015 at 1:36 pm

    Sir mene blog banaya he lekin mujhe blog me intrest nahi he mujhe website banana he help me sir

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 24, 2015 at 4:05 pm

      Agar aap Free mai website cahte hai to aap blogger blog ka Template website website wala laga sakte hai. Aur agar aap kuch behtar cahte hai to aap WordPress par website bana sakte hai. WordPress par bohot se Single page website templates hote hai. Ya phir aap Web designing seekh sakte hai

      Webdesigning seekhne ke liye is form ko bhare mai sikha sakta hun.

      Reply
  4. vishnu jangid says

    December 3, 2015 at 5:13 pm

    internet ke bina bussiness nahi ho sakta….yeh ek viyapaar sangthan ki trah he.

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 8, 2015 at 10:34 pm

      Aap bilkul sahi keh rahe hai. Aaj ke dor mai kisi bhi business mai aage nikalne ke liye internet bohot jaroori hai.

      Reply
  5. vishnu jangid says

    December 3, 2015 at 5:18 pm

    sir mujhe ab blog website par kaam kaise karna he….plese meri help ki jiye….

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 8, 2015 at 10:36 pm

      Bohot kuch seekho aur padho apne skill badhao. Aapko jitni knowledge hogi aap utna jaldi aage nikal sakege. Kisi intelligent vyakti ke under pehle kuch samye tak kaam karo. Aur phir jo bhi seekho apne blog mai likho.

      Reply
  6. Sheena says

    December 16, 2015 at 8:32 pm

    Remarkable things here. I am very happy to look your post. Thank you so much and I am having a look forward to contact you. Will you kindly drop me a e-mail?

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 17, 2015 at 10:28 am

      Thank you very much !
      You should follow us on our Facebook Page, on this page you should ask your problem or give us suggestions to improve our articles.

      Reply
  7. Utpal Konwar says

    December 18, 2015 at 10:44 am

    आज कल तो बहुत सारे लोग ब्लॉग बना रहा है इन्तेर्नेंत के दुवारा पैसे कमाने केलिए लेकिन वेबसाइट नही बना सकता कियु ? एक वेबसाइट बनाने के लिए किया किया जानना पड़ता है ? वेबसाइट जो होता है जैसे wordpress एसा कंपनी वह लोग कैसे बनाते है मेरा मतलब जैसे हम किसी वेबसाइट के दुवारा blog बनाते है wordpress भी किया किसी दुसरे कंपनी से बनाया है ?

    Reply
  8. Jitendra singh says

    December 22, 2015 at 7:04 am

    sir mere blog me Android phone se new post nahi hoti hai kuch trika batay meri webside https://sadulsinghrao.blogspot.com hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 11:31 am

      Laptop ya computer se blogger karo. mobile se mat karo. agar computer nahi hai to pehle computer lo, nahi to time hi waste hoga.

      Reply
  9. HuMera saif says

    December 24, 2015 at 7:28 pm

    Sir wabsite kese on hoti h kese banayi jati he plz bataiye

    Reply
  10. MD SAMSHER ALAM says

    January 13, 2016 at 1:14 pm

    Vikash ji mughe ek aisa website babana jisme youngester ke liye naya rasta mile future banane ka iske liye mughe kya karna chahiye . please jarue batana.

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 19, 2016 at 10:53 am

      Iske liye aapn humara facebook group me apni profile de sakte hai, humari team aapki har sambhav help karne ka paryaas karegi.

      Reply
  11. siprasachan says

    February 19, 2016 at 12:33 pm

    vikash bhi maine apna blog bana liya hai lakin jab google me search karte hai to siprasachan.blogspot.com dalte hai to khul to jata hai lakin jo khulta hai jab usko click karte hai to page nahi kulta hai aap bataye ki us page ko kholne ke liye ham kya kare

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 20, 2016 at 2:47 pm

      Blogger ki setting me jaakar aap Adult content ka opting disable kar do. kyuki iski wajah se Google ko lagta hai ki apki website par adult content hai iskliye wo aapka paga dikha nhi raha hai.

      Reply
  12. aman mastana katiyar says

    February 19, 2016 at 12:36 pm

    vikash bhi mai sipra ka bhai hu chachera maine bhi apna blog bana liya hai lakin jab google me search karte hai to kurmiyuwasansthan.blogspot.com dalte hai to khul to jata hai lakin jo khulta hai jab usko click karte hai to page nahi khulta hai aap bataye ki us page ko kholne ke liye ham kya kare

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 20, 2016 at 2:48 pm

      Blogger ki setting me jaakar aap Adult content ka opting disable kar do. kyuki iski wajah se Google ko lagta hai ki apki website par adult content hai iskliye wo aapka paga dikha nhi raha hai.

      Reply
  13. sunny kumar says

    February 25, 2016 at 3:50 pm

    Hello sir,
    sir mai abhi job karta ho or mere pass koibusiness nahi. per mai bhi blog bna k online pasise kamana chahta ho, please mujhe ye bataye ki m blog kaise banao. mera mtlb mai kis site blog banta hai or kaise banata please step by step likh k mujhe mere email address pe send kar de…

    thank you.

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 26, 2016 at 10:33 am

      Blogger par Free Blog/Website kaise banate hai ?
      Aap humra ye article padhkar Blog bana sakte hai.
      Thank you

      Reply
  14. satyam kumar says

    March 4, 2016 at 2:06 pm

    hallo sir
    maine bhi ek blog banaya hai aap isko ek baar dekh le. aap mujhe bataye ki isme kya koi kami hai ? kami hai to usko dur kaise karu ? blog banane ke baad ab paise kamne ke liye kya karu
    http://satyamkhusbu.blogspot.in/ yah mere blog ka link hai sir aa pl ek baar jarur denkhe

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 7, 2016 at 11:39 am

      Sabse pehle toh aapko apne blog ka type decide karna hoga ki aapko blog kis field se related banana hai. kyuki ek field se related blog aaj kal zaada pasand kiye jaate hai.

      Reply
  15. Anuj godara says

    March 11, 2016 at 12:18 pm

    hosting hostgator ki better hai ya godaddy ki ………
    kon si kharide…
    guide in detail

    Reply
    • Nikhil Arora says

      March 12, 2016 at 11:51 am

      Aap hosting ke jaankari ke liye Resources page par dekh sakte hai, yaha par hum best hosting ke updates daalte rehte hai.

      Reply
  16. Sampat meena says

    March 30, 2016 at 9:48 am

    Website or blog se pese ksy kamye

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 30, 2016 at 10:29 am

      Blogging se paise kaise kamate hai ?
      Apne Blog se paise kaise kamaye ?
      aap humare in articles ko follow kar sakte hai.

      Reply
  17. ANIL MAURYA says

    March 30, 2016 at 4:15 pm

    Sir mujhe audio aur video upload karne ke liye website banana hai ,pls iske bare me poori jankari de.

    Reply
  18. sk shobu says

    April 4, 2016 at 7:55 pm

    Mera blog dekho

    Reply
  19. Anita Upadhyay says

    April 6, 2016 at 4:13 pm

    mera gmail per account nahi.mere mind m bahut sare artical,kavitaye hai.lekin m blog nahi bana paa rahi hu.kaise banega pla bataye

    Reply
  20. Anita Upadhyay says

    April 6, 2016 at 4:13 pm

    mera gmail per account hai.mere mind m bahut sare artical,kavitaye hai.lekin m blog nahi bana paa rahi hu.kaise banega pla bataye

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 7, 2016 at 10:48 am

      Blog/website kaise banaye
      aap humre is article ki help se blog bana sakte hai.

      Reply
  21. ayub says

    April 13, 2016 at 9:28 am

    namaste main naya visiter hoon sir maine ek blog banaya sitemap bhi summit kiya magar abhi tak mera blog keywords search main nahin aa raha sir please kuch ideas deen

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 13, 2016 at 10:33 am

      Sabse phele aapko aise keyword apne article me likhne chahiye jo ki jaada search hote ho. iske liye aap keyword planner ka use kar sakte hai. Aur jaise ki aapne bataya ki aapka blog abhi naya hai toh aapko abhi thoda time dena chaiye. kyuki kuch time ke baad hi result dekhne ko milte hai.

      Reply
  22. amaan husain says

    May 2, 2016 at 9:34 pm

    hello sir mai blog k bare me pdh kar kafi dillchasp ho gaya hu, Mai mobile me blog banana chahta hu mai kis browser ka upyog karo !! ?

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 3, 2016 at 10:20 am

      Google carom sabse badiya hai.

      Reply
  23. kapil lekhwar says

    May 13, 2016 at 10:25 am

    Sir mera abe tk blog ne bna he me kese banau. Mere gmail id b he. Mene net pe search kiya but mujse ban ne rahi he blogger.can u suggest me

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 13, 2016 at 10:27 am

      Blogger me free blog ya website kaise banate hai.

      Reply
  24. sagar ji says

    May 18, 2016 at 11:35 am

    namskar sir ji mai bhojpuri film produsar hu ham bhi yutob googal aur blogar se paisa kamaana chahta hu mujhe aap ki help chahiye plg aap hame acaunt banane me hamaari madat kare hm kaise banaye apna webside

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 21, 2016 at 11:28 am

      Jaise ki aapne bataye , toh iske liye aap youtube par apna channel bana kar vidoes upload karke paise kama sakte hai.
      Youtube channel kaise banaye
      humare is article ko padh kar aap acchi knowledge gain kar sakte ho.

      Reply
  25. saraj says

    May 18, 2016 at 11:17 pm

    sir mai ek classified website banana chata hu aur Maine HTML bhi sikha hai aur olx jisse website banana Sikha sakte hai help me

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 19, 2016 at 10:45 am

      Aap humse humare Facebook Group me sampark kare.

      Reply
  26. Jafar Ali says

    May 22, 2016 at 6:50 pm

    blog ke bad kya kare

    Reply
  27. Jafar Ali says

    May 22, 2016 at 6:51 pm

    blogger banane me bad kya kare.

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 23, 2016 at 10:31 am

      Blog se paise kaise kamaye

      Reply
  28. Ankit says

    June 9, 2016 at 10:08 am

    Sir. Mujhe temprate design krna sikhna hai…aap please meri help kroo…!

    Reply
  29. Ankit says

    June 9, 2016 at 10:08 am

    Sir. Mujhe temprate designing or apps sikhna hai…aap please meri help kroo…!

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 9, 2016 at 10:27 am

      Abhi hum thoda naye project me busy hai toh aapko thoda wait karna padega, kyuki hum zald hi is se related videos youtube pr upload karne wale hai.

      Reply
  30. parhlad suthar says

    June 19, 2016 at 3:40 pm

    i m agree ki hosted blog or website me aaj kal kuch fark ni reh gya… agar shopping site ki baat ki jaye toh wordpress k theme v ek se badh ke ek hai… so aaj kal pehchan pana v muskil h aam aadmi k liye ki ye blog h ya website

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact