Twitter kya hai ?
Twitter ek Bird ka naam hai. Aur isi naam se ek company hai Twitter joki Facebook ki tarha hi ek Social Network hai.
Twitter ki khaas baat ye hai ki yaha hum jada lambi lambi status nahi share kar sakte. Twitter mai hum ek baar mai 140 Characters se jada lamba kuch bhi nahi daal sakte, aur in status updates ko hum Tweets kehte hai. Aapne suna hoga ki “Aaj Salman Khan ne Tweek kiya” jaisa kuch.
Par aap ye soch rahe honge ki itni pabandi ke baad bhi Twitter itna Famous kaise hai ? Twitter par chote (140 characters se kam) tweets hote hai, chote tweets ki wajha se twitter par kaam ki cheeze padna bohoto fast ho jata hai. Aur jab pta hai ki 140 character se upar nahi likh sakte to koi bhi vyakti kuch Faltu ki baat nahi likhta, sab bas kaam ki baat hi likhte hai jaise Tweet ki quality badh jati hai.
Twitter ek broadcasting channel ki tarha hai, aur ek personal brand ki tarha bhi hai. Isme apko kisi ke Tweets padne ke liye use Friend request wagara bhi ni bhejni padti. Isi wajha se badi badi hastiya baki social networks se jada twitter pasand karte hai.
Twitter par Id kaise banate hai?
Step 1: Sabse pehle twitter.com par jao. Yaha jane ke baad Sign up for Twitter par click karo.
Step 2: Agle page par form bharo:
- Apna naam daalo
- Email id (Agar email id nahi hai to yaha jaye)
- Password
- Username (ye username aapke twitter username banega twitter.com/vikasplus)
- Sing up button click kare.
Aage Padhe:
Step 3: Ab Twitter aapki verification ke liye aapka Mobile phone number maagega. India select karke apna number enter kare.
Next par click kare
Step 4: Ab aapke mobile par ek message aa jayega.
- Message mai prapt code daale
- Verify par click kare
Step 5: Ab aapka account ready hai, lets go par click kare
agle page se apne interest chunkar Continue par click kare
Follow __ & continue par click kare
Step 6: Profile pic upload kare
Ab hum apne twitter account mai Profile picture lagaege. Profile pic lagane ke liye Upload photo par click kare
Apni profile pic select kare aur Open par click kare
Ab apni photo ko adjust karke Apply par click kare
Continue par click kare
Step 7: Hamara Twitter account ready hai lekin Twitter ko abhi tak ye confirm nahi hai ki attach kiya gaya Email aapka hi hai. Email confirm karne ke liye apne Email account ke inbox mai Twitter dwara bheje gaye Email ko khole
Confirm karne ke liye Confirm now par click kare
Ab aapki Twitter profile poori tarha se ready hai. Aap hamari twitter profile check kar sakte hai (hume Follow jaroor kare)
Agar aapko Twitter account banane mai koi problem aa rahi hai to neeche comment kare.
Thank you 🙂
Ye Bhi Padhe:
devki nandan sharma says
App ki jankri padi , achay lagi