Do scenes ho sakte hai. Ya to aapka ek aur Facebook account hai ya phir aapke kisi dost ko aapke computer me Facebook chalana hai. Dono cases me aapko doosra Facebook account chalane ke liye pehla Facebook account logout karna padhta hai.
Is post me mai aapko dono cases ke liye alag alag solution batauga.
Scene 1: Aapke kisi Friend ko aapne computer me Facebook account chalana hai.
Step 1: Chrome browser kholkar Ctrl + Shift + N keyboard shortcut dabao. Ye shortcut Google chrome incognito mode kholne ke kaam aata hai.
Step 2: Facebook.com khol kar doosra account login kare.
Explanation: Dekha jab aapka Friend aapke computer par Facebook account chalana cahta hai to wo 10-15 min baad aapke computer se logout karna hi cahega.
Apne account ko login karwake uske account ko login karane se accha hai ki aap use Incognito mode me login karwado.
Jab bhi hum apne browser se Facebook me login karte hai, Facebook aapke browser me aapki login details save kar leta hai. Jo ki aapke browser me Cookies ke roop me save hoti. Ye cookies hi aapko bar bar Facebook login karne ki tension se bachati hai.
Google ne ek browser incognito mode nikala hai, is mode me aap privately browse kar sakte hai. Incognito mode me kisi bhi website ki history ya cookies save nahi hoti. Iska matlab ye hai ki aap ek aur account incognito me login karke chala sakte ho.
Scene 2: Aapko apna Facebook ka ek aur account login karna hai
Step 1: Sabse pehle Google chrome par upar apni profile ke naam par click kare, usemse Switch person par click kare.
Aage Padhe:
- Computer screen ko share kaise karte hai ?
- Computer par Mobile ke sms kasie dekhe ?
- Laptop ki Battery life badane ke kuch asaan tarike !
Step 2: Agli window mai Add person par click kare
Step 3: Ab aap is naye user mai apna doosra Facebook account login kar sakte ho.
Chrome browser me hum ek se jada users bana sakte hai, har user ka chrome ek doorse se alag hota hai. Agar aap dono users ke chrome ko ek sath khologe to wo alag alag khulege.
Agar aap ek se doorse person par jaana chate ho to app switch person par click kar sakte ho. Ab aap New person me Facebook, Twitter koi bhi account login kar, wo pehle person waale account se alag chalege.
Yaad rakhe ki is naye chrome me cookies aur history dono save hoti hai.
Ye bhi padhe :
- Pdf kya hai, isko kaise istemaal karte hai.
- Zip Document kya hai, isko unzip kaise kare ?
- Pixel kya hai ?
Leave a Reply