Aapne TV par internet.org ka Ad dekha hi hoga. Lekin bohot kum logo ko pata hai ki internet.org asal me hai kya cheez.
Agar aap India mai rehte hai to aapko jaroor pata hona cahiye ki internet.org kya hai.
Internet.org ek sanstha hai jo ki Facebook ne banayi hai kuch aur companies ke sath milkar. Internet.org ka maksad free ya bohot kam rate par duniya ke har vyakti tak internet pohchane ka hai.
Internet.org kuch mobile apps bhi deti hai jo bohot kam internet use karti hai. Aur aane waale time ye saste mobile device bhi nikalege.
Facebook ke founder Mark Zuckerberg ke mutabik abhi dunia ke 2/3 logo ke paas Internet ki suvidha nahi hai. Aur aane waale 10 saalo me internet.org ka maksad poori dunia ko internet se jodna hai.
Unhone ye bhi kaha ki agar 10 vyaktiyo ko Internet ki suvidha di jaati hai, to unme se 1 vyakti gareebi rekha se upar aa jata hai. To agar wo 400 crore logo ko Internet se jodte hai to unmese 40 crore log gareebe se bahar aa sakte hai.
India me internet.org ko lekar kuch logo ki ye आलोचना hai ki isse Internet par aajadi khatam ho jayegi. Ye Net Neutrality ke khilaaf hai, kyoki ispar Facebook ka control rahega aur Facebook jo cahega, wahi website free internet par khul payegi.
Shayad ye log sahi bhi ho. leking agar internet.org ke istimaal se 40 crore logo ka bhala ho sakta hai to me to ise support hi karuga.
- 3G aur 4G Networks kya hai?
- CC aur BCC kya hai aur inme kya fark hai ?
- Free Wallpaper Download karne ki best websites ?
Filahaal India me internet.org sirf reliance ke network par hi uplabdh hai. Aaane waale samye me iske baaki ke network par bhi pohochne ke umeed hai.
Dunia par internet.org ka positive impact ka ek example dekhne ke liye aap ye Mark Zuckerberg dwara unke Facebook account par ki gayi posts ko dekh sakte hai.
Thank You.
Comments