Aaj vikasplus ke apne is article me hum aapko kuch aisi jaankari dena chahte hai, jo ki aapko 500 aur 1000rs ke note par ban ko lekar aapke sabhi doubt ko kam karne ka kaam karegi.
Jaise ki aap sabko pata hai ki kal raat ( 8 Nov 16) ko Bharat ke Pardhanmantri Shri Narender Modi Ji ne, Bharat ki janta ko sambodhit karte hue, ek bhut zaada important jaankari di, ki 8 Nov raat 12 baje ke baad 500 aur 1000rs ke note daily uses ke liye bilkul band ho jaayge.
Raat ke baad ye sirf ek kagaj ke taude ke jaise hoge.
Unki ye speech sunkar log bhut zaada preshaan ho gaye hai, unko ye pata nhi chal pa raha ki unke pass jo 500 aur 1000rs ke note hai wo unka kya kare ?
Kyuki Middle class adami bhut mehnat karke ek ek paise jama karta hai, toh agar ye note aise band ho jaayge toh, uske pass jo note hai uska kya hoge ?
Toh aaj ke apne is article me hum aapke kuch aise hi doubt ko clear karne ki kosis karege, jisse ki aapko zaada pareshaani na uthani pade.
Toh chaliye shuru karte hai.
Sabse pehle aapko Modi ji ki ye speech sunate hai, jiske ander unhone 500 aur 1000rs ke note par ban lagane ki baat kahi hai, is speech ko kariya dhyaan se suniyega.
Modi Ji ki Speech :
Modi Ji Speech me diye gayi kuch zaroori jaankari :
- 8 Nov 2016 raat 12 pm se 500 aur 1000rs ki currency ( note ) band kar di gayi hai, is date aur time ke baad ye note kisi bhi parkar ke len-den me nhi liye ja sakege.
- 100, 50, 20, 10, 5 aur sabhi parkar ke coins ( sikke ) par iska ko parbhav nhi padega, wo aise hi chalte rahege, jaise ki chal rahe hai.
- Jinke pass 500 aur 1000rs ke note hai, wo 10 Nov 2016 se 30 Dec 2016 ( 50 din ) me bank me jakar apne note jama kara sakte hai.
- Agar aap kisi karan 30 Dec 2016 tak apne purane note bank me jama nhi kar paaye, toh chinta ki koi baat nhi hai, aap 31 March 2017 tak Reserve Bank ko India ke office me, apne note ka baura ek affidavit me likhkar jama karwa sakte hai, wo waha se naye note le sakte hai.
- Bank me jama ( Deposit ) karane ke liye bhi 24 Nov tak ek limit di gayi hai. Uske baad jama karane ki limit ko badha diya jaayga.
- 10 Nov se 24 Nov ( 15 din ) tak aap apne account me 4000rs se zaada jama nhi kar sakte hai.
- Apne note jama karane ke liye aap apne sath Voter ID Card, Adhaar Card, Driving Licence, Passport ya aur bhi dusre ID proof ko le jaana zaroori hai.
- 9 Nov 2016 ko Poore desh ke bank aur ATM ( 2 din ) logo ke liye band rahege, kyuki wo ye decide kare ki note jama karne aur badlne ke liye kya ran-neeti honi chahiye.
- Ab 500 aur 1000 ke note ko replace karke, 500 aur 2000rs ke naye note market me laaye jaayge.
- 10 Nov 2016 ke baad se Per Card 2000/per day ki hi transation ho paaygi, baad me kuch time baad ye limit 4000rs aur aise hi baad aur zaada kar di jaaygi.
- International Airport par Foreign se aa rahe ya phir waha par ja rahe logo ke liye bhi currency change ki suvada hogi, jiski limit 5000rs hogi, isse zaada ke note change nhi kiye jaayge.
- Foreign Tourist ke liye currency change ki limit 5000rs hi hogi.
- Iske alwa Online Transaction Ex- Bill payment, Swipe Payment, Fund Transfer, Debit/Credit card Payment, DD Payment, Check Payment me bhi kisi parkar ki koi problem nhi aaygi.
Yaha ho sakti hai 500 aur 1000rs se payment :
Aam Nagriko ki samsya ko dekhte hue, 72 ghanto (11 Nov 2016, 12pm mid night ) tak ye note Petrol Pumps, CNG Pumps, Govt. Hospital, Govt. Medical Store, Railway Ticket counter, Bus Ticket counter, Airlines Ticket counter par purane note ko aap use kar sakte hai.
Zaroori tips :
- Ho sakta hai ki aapko shuru ke kuch dino me kuch samsya aaye, lekin ager aap thode sabar se kaam lege toh ye bhut asaan ho jaaya.
- Apni zarurat ki daily needs ki cheezo ko thoda dekh kar use kare.
- Aapke pass jo 100rs se neeche ke note hai, unko sirf aap apne bhut zaroori kaamo me hi kharch kare.
- Agar aapke pass 500 aur 1000rs ke note hai toh aap isko change karne me kisi bhi parkar ki koi zald baazi na dikhaye.
Toh ye thy kuch aise Facts jo ki aapko pata hone chahiye.
Apko humara ye article kaisa laga aap hume neeche diye gaye, comment box me bata sakte hai.
Thank you,
Himanshu Grewal says
sir aaj mene apne blog par new design lagaya hai. kya aap 1 baar check karke bta sakte ho ki new design kaise hai or speed kaisi hai or agr kuch change krna ho to wo bhi bta dijiye.
Lucky says
Sir blogger aur WordPress mai hosting Lena jaruri hota h?
Sunny Singh says
Agar aapko apne blog se acche result chahiye, toh aapko hosting ki toh bhut zarurat hai.
Asween says
500-1000 ki note jo halhime humare PM Mr.Naredra Modi dwara bndh ki gai he,usme humare jaise logoko kaafi preshani kaa samna krna pd rha he or isme aapki yh post bhut hi labhdayi he.
Sunny Singh says
Thanks Asween .
Keep following vikas plus for the more knowledgeable posts.
Dinesh singh says
Mere pass 100o ka ak note hai bank me jama hoga ki nhi
Sandeep says
Mai apne account maximum kitne Rs. Jama Kar Sakta hu mere pass pan card nahi hai air mere pass 2 lakh Rs.hai unko mai kaise jams Kar Santa hu ki mujhe koi problem na ho income tax se
Sunny Singh says
Minimum income tax ki limit 2.5lakh hai, toh aap apne 2 lakh bina dare zama sakte hai, bas aapke pass pan card hona chahiye, aur ager aapne pass pan card nhi hai toh aap 49.900 tak deposit kar sakte hai.
Divyesh says
Nice article sir
Kya aap muje btasakte hai ki agar kisi ke paas JANDHAN YOJNA vaala account ho usme maximum kitne rupee jama karne ki limit hai ?
Sunny Singh says
2.5 lakh tak jama kar sakte hai, lekin iske liye aapke pass pan card hona chahiye.
sanjay says
good work
Dinesh singh says
1000 ka ak note hai kya bank me jama hoga
Sunny Singh says
Ji ha bilkul aap isko bank me jama kar sakte hai.
Gurpreet says
Y jo bank m 500 or 1000 k note jma ho rhe h y india m ab nhi clagey to bank valey in noto ka kya kragey
Nikhil Arora says
Mujhe lagta recycle karege.
Nikhil Arora says
Mujhe lagta recycle karege.