Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

भुकम्प(Earthquake) kya hai aur ye kaise aata hai ?

February 18, 2016 By Sunny Singh

Aaj vikasplus par hum thoda league se hatkar likh rahe hai, lekin humara manna hai ki aapko in kuch important subjects ke baare me bhi pata hona chahiye :

Hum log aksar apne ghar me bathe hote hai aur akhanak se humara ghar hilne lagta hai aur kabhi kabhi toh itni tezi se hilne lagta hai ki hume dar kar ghar se bhar aana padta hai. Pehle toh ye ek asamanaye baat thi aur Dharti bhut hi kam baar itni tezi se hila karti thi. Lekin aaj ke samay me ye lagbag samanaye ki baat ho gayi hai, kyoki aap sab log dekh rahe hai ki abhi kuch hi time hua hai phele Nepal ka Incident  uske baad Afganistaan Aap sab ko in Earthquakes se hui moto(Death) par bhi kafi Dukh hua hoga aur sab logo ki savdana bhi un logo ke sath hogi.

Lekin kya aap log jante hai ki Earthquake real me kya hai aur ye kis karan se aata hai agar nhi toh koi baat nhi hum aapko kuch asaan language(भाषा) me batate hai ki Earthquake kya hai aur ye kis karan se aata hai.

  • SSC kya hai ? 

Structure of Earth (पृथ्वी की संरचना) : 

earthquake_diagram2

Humari Dharti mukhye tor par chaar(Four) parto se bani hui hai, Inner core (इनर कोर), Outer core (आउटर कोर), Mental core (मैनटल) और crust (क्रस्ट)। Crust aur Upri mental ko Lithosphere kahte hai. ye  50 kilimeters ki moti layer hai jo alag alag part me bati hui hai, jinko hum Tectonic Plates  kahte hai. ye Tectonic Plates apni jagah se hilti rahti hai. ye plates Vertical aur Horizontal dono tarah se apni jagah se hil sakti hai. iske baad wo apni jagah ko dubara dekhti hai aur aise me ek plate dusri ke neche aa jaati hai. Lekin jab wo Plates ek dusre se takrati hai toh, kampaan(Vibration) hota hai, lekin jab ye kampann zaada badh jate hai toh Earthquake(भुकंप)  aa jata hai.

Pehle Earthquake (भूकम्‍प) ki Tivrta (Intensity) mapne ke liye purane tarike apnaye jaate thy, Lekin Year 1935 me California Institute of Technology me kaam karne wale Scientist Charles Rector  ne Beno Gutenbarg ke sahyog se Rector scale ke pemaane ka Avishkaar kiya. Is Invention ke baad Earthquake ko Rector Scale me maapa jaane laga.

  • Internet se paise kaise kamate hai ? 
  • Blogging se paise kamane ke kuch asaan tarike ! 

Intensity of Earthquake (भुकंप की तीव्रता) :

bhukamp-230_1298481331

Intensity of Earthquake (भूकंप की तीव्रता) ka anumaan uske centre (Epicentre) se niklne wali से निकलने वाली Energy ki tarngo (तरंगों) se lagaye jata hai. Hajaro kilimeter tak fali ye ek parkar ki lahar hoti hai. For Example : Jab Pani se bhari balti ya thare hue pani me koi pather daalte hai, toh jaha par wo pather girta hai wo usko centre hota hai, Phir jo layer (तरंगे) usse niklti hai wo Kampann ka kaam karti hai.

Theek usi tarah Earthquake bhi aise hi aata hai aur Dharti me Crack (दरारें) tak pad jaati hai. Agar Earthquake ki Depth (गहराई) zaada niche nhi hai toh usse niklne wali energy nhi Dharti se kafi kareeb hogi, jisse Bhyanak Tabahi hoti hai. Matlab ki Earthquake ka centre agar Dharti se zaada niche na ho toh Earthquake bhut Vinaaskari hota hai. Lekin jo Earthquake Dharti ki gahraai me aate hai unse zaada nuksaan nhi hota. Aise hi Earthquake agar Samndar (Ocean) me aate hai toh Tsunami  jaise vipda bhi aati hai jo ki bhut hi vinashkaari hoti hai. Jaisa ki humne Japan aur SriLanka me Tsunami  ne Samndar ke jariye kafi tabahi machai thi .

Earthquake(भुकंप) ka sabse bada khtra Parshant Mahasagar (प्रंशात महासागर) me Bhumathya Saghriye peti  par hai. Matlab is Peti ke aas pass aane wale desho ko ye khatra sabse zaada rahta hai. is peti ke pass Japan Sabse main Desh hai. jis par Earthquake ka khtra hamesha bana rahta hai.

Government result dekhne ke liye best websites ! 

भारत में भुकंप का खतरा :

Earthquake(भुकंप) ke lihaz se Indian subcontinent me Earthquake ka khtra har jagh alag alag hai. Bharat me Earthquake ke base par chaar hisso me divide kiya gaya hai. Inme Zone-2, Zone-3, Zone-4 aur Zone- 5 aate hai. Zone – 2 sabse kam khatre wala zone hai aur zone-5 sabse zaada khtre wala zone hai.

North-East(उत्तर-पूर्व) ke sabhi state jaise Nagaland, Manipur, Sikkim, aur Arunachal Pardesh etc. aur J&K, Uttrakhand, Himachal Pardesh ke kuch hisse Zone – 5 me aate hai. Uttrakhand ke kum uchai wale hisso se lekar uttar pardesh ke zaadatar hisse aur Delhi zone – 4 me aate hai. Centre India kam khatre wale zone – 3 me aata hai, jabki South India ke zaadatar hisse simit khtre wale zone – 2 me aate hai.

How to Protect yourself in Earthquake (भुकंप से बचने के उपाय) :

dropcoverholdon_eng_color

  1. Agar aap bhar hai toh kisi khali jagh par chale jaye, yanu Building, Makaan, Pedh(Tree), Bijli ke khambo se door.
  2. Agar aap Bed par hai toh wahi par rahe aur use kas kar pakad le. Apne sir par takiya rakh le.
  3. Agar aap us time car chala rahe hai toh car ki speed slow kar le aur ek khaali jagh par jakar park kar de. Tab tak car me bethe rahe, jab tak jatke band nhi ho jaate.
  4. Jaise hi aapko Earthquake(भूकंप) ke jatke mahsoos ho, waise hi aap kisi majboot cheez ke niche bath jaaye aur kas kar pakad le.
  5. Jab tak jatke jaari rahe, tab tak ek hi jagah bethe rahe. ya jab tak aap ye confirm na kar le ki ab aap shrkshit bahar nikal sakte hai.

Hum asha karte hai ki aapko Earthquake(भुकंप) ke baare me Important Jaankari parpt hui hogi Agar humse kisi bhi parkar ki koi galti ho gayi ho ya aapka kisi parkar ka koi sujaav ho jisse ki hum apne article ko aur bahtar bana sakte hai, toh hum un par zaoor apne article me shaamil karege.

Agar aap di gayi jaankari se sahmat hai, toh aap apne dosto, relatives se zaroor share kar sakte hai. Aapki thodi si jahgrokta(Averseness) logo ke liye Important Jaankari uplabdh kara sakti hai.

Aap Hume Facebook par bhi Follow kar sakte hai, aur hamare article ka labh utha sakte hai.

Dhnaywaad,

Aadhaar card centre kaise dhude ! 

Filed Under: Basics Tagged With: Featured, privacy

Comments

  1. Shatrughan kushwaha says

    February 18, 2016 at 1:25 pm

    wow! intresting fact!

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 19, 2016 at 10:37 am

      Thanks Shatrughan ..

      Reply
  2. Vijay Singh says

    February 22, 2016 at 11:07 am

    Bahut Badiya Jankaari di aapne aise hi jankaari dete rehe….:-)

    Reply
  3. Vijay Singh says

    February 22, 2016 at 11:07 am

    Achi Jankaari di aapne aise hi jankaari dete rehe….:-)

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 22, 2016 at 1:18 pm

      Humara paryaas yahi hai ki technology ke sath sath aapko important issues ki jaakari bhi dete rahe .

      Reply
  4. sintoo gupta says

    June 10, 2016 at 7:14 pm

    bhukamp ane ke bad ap sab bahat na nekle

    Reply
    • sintoo gupta says

      June 10, 2016 at 7:17 pm

      aap sab bhukamp sai dur rahe to bahu achi bat hai

      Reply
  5. sintoo gupta says

    June 10, 2016 at 7:27 pm

    bhukamp ane ka suchav

    Reply
  6. sintoo gupta says

    June 10, 2016 at 7:28 pm

    bhukamp ane ka suchav janey

    Reply
  7. sintoo gupta says

    June 10, 2016 at 7:29 pm

    bhukamp ane ka suchavh janey

    Reply
  8. sintoo gupta says

    June 10, 2016 at 7:30 pm

    bhukamp ane ka suchavh janey

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact