Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Wikipedia kya hai ?

December 15, 2015 By Nikhil Arora

Agar aapko dunia ki nayi nayi cheeze seekhna pasand hai ya aapko kisi cheez ki jaankari leni hai to uske liye Encyclopedia bana hota hai. Encyclopedia ek esi book hoti jisme duniya ki lagbhag har cheez ke baare me likha hota hai.

Wikipedia kya hai?

Wikipedia Internet par uplabdh ek bilkul free Encyclopedia hai. Wikipedia dunia ka sabse bada aur famous encyclopedia isliye hai kyoki ye kisi ek vyakti ya kuch logo ne milkar nahi likha, ye aap aur hamne milkar likha hai.

Wiki ek khas tarha ki website hoti hai jisme koi bhi vyakti jaakar kisi bhi baare me likh sakta hai. Aur phir aur koi vyakti aakar use edit bhi kar sakta hai, jisse ki content ki quality bani rehti hai, kyoki wo content sabhi योगदानकर्ताओं ki manjoori se bana hota hai.

Wikipedia par koi bhi jaakar kisi bhi nayi jaankari ke baare mai likh sakta hai aur kisi bhi pehle se padhi jaankari ko edit kar sakta hai. Agar aapko bhi Wikipedia par kisi bhi soochna ki kami lagti hai to aap khud use jaakar likh sakte hai.

Dunia ke sabhi teacher, professors aur gyani log wikipedia par apna yogdaan dete rehte hai, isi vajha se wikipedia par dunia ki har cheeze ke baare me aapko likha mil jayega.

Google bhi Wikipedia ko sabse upar apni ranking me isliye dikhata hai kyoki use pata hai ki yaha par koi bhi vyakti paisa kamane ke liye nahi likhta aur yaha jo baat likhi hoti hai wo experts ke dwara verified ki chuki hoti hai.

Wikipedia ki policy ke mutabik aap “Gyan free hona cahiye” isliye aap Wikipedia ka koi bhi lekh ka bina kisi copyright problem ke use kar sakte hai.

Ye bhi padhe :

  1. Google Drive kya hai ?
  2. Android kya hai ?
  3. Internet.org kya hai ?
  4. OTP kya hai ?

Filed Under: Internet Tagged With: internet

Comments

  1. Rakesh says

    January 9, 2016 at 4:28 pm

    Sir
    m you tube kaise koi jankari dal skata hu kripya tarika btaye ya facebook ya internet per koi blog likhne ke paise mujhe kaun dega, ya kaise mere pas paise ayenge

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact