WhatsApp aur Facebook India me ye do cheeze sabse jaada Famous hai, Facebook me check-in functionality hai jisse hum logo ko bata sakte hai ki hum kaha hai ya kaha gaye the.
Lekin WhatsApp Facebook se thoda jaada personal hai, WhatsApp me bhi hum kisi vyakti ya group se apni location share kar sakte hai.
Location share karne ke liye aapke phone me GPS hona cahiye jo ki aaj kal jaadatar mobile phones me hota hai.
Location share karne ke liye ye step follow kare:
WhatsApp me jise bhi Location bhejni hai unki chat me jaye.
Upar se Attachment pin par click kare
Option me se Location ke icon par click kijiye.
Ab aapke saame aapki location ke hisaab se Map bana aa jayega, is map par se apni location select kare.
Select karte hi aapki location chali jaegi.
Aisi hi aur knowledgeable quick tips ke liye hume Facebook par follow kare.
Thank you .
Ye bhi Padhe :
Leave a Reply