Facebook ke baad India me Twitter bohot ki famous hai, aapne news me aksar suna hoga ki kisi celebrity ya politician ne kuch tweet kiya hai.
Lekin bohot se lap Twitter ka account bana to lete hai, lekin uska istimaal nahi karte aur faltu ki twitter updates unke Email me aati rehti hai. Aise unused account ko delete kar dena cahiye. Is tutorial me hum Twitter ka account activate aur delete karna seekhege.
Twitter account delete karna bohot hi aasaan hai.
Sabse phele apne Twitter account me login kare, aur upar bane apne profile pic icon par click kare.
Aage Padhe :
Drop down list me se setting me jaakar Delete my account par click karde.
Ab Twitter aapko ye bata raha hai ki aapka account 30 din tak deactivate rahega, aur agar 30 dino ke ander ander aapne apna account dubara re-active nahi kiya to ye account hamesha ke liye delete kar diya jaega.
Aur agar aapko apna account dubara se activate karna hai to simply apne account mai ek baar login karlo, aapka account wapas activate hojaega.
Deactivate karne ke liye Deactivate @username button par click kare.
Is window me apna Password daale aur Deactivate Account par click karde.
Ab aapka twitter account deactivate ho jayega.
Aisi hi aur jaankari ke liye hamara VikasPlus Group join kare.
Thank you 🙂
Ye Bhi Padhe :
Comments