Hume apne pichle article me skype ki id banai seekhi hai, Lekin ID banane ke baad use Istimaal bhi karna aana cahiye.
Is article me hum seekhege ki Skype Id dwara doorse logo se kaise judte hai, kis tarhan Audio aur Video calls karte hai, kaise apni profile edit karte hai aur kaise hum apne skype ka status badal sakte hai.
Skype Me Friends Kaise Add Kare
Skype me friend add karne ke liye sabse pehle hamare pass us friend ki id honi cahiye. Agar aapke pass abhi koi friend nahi hai to no problem aap hume add kar sakte hai. Hamari Skype id hai vikas.plus
Add karne ke liye jada left me Search likha hai vaha par dost ki id daale aur Search Skype par click karde.
Ab aapke friend ki aur uske naam se milti julti profile ki ek list aa jayegi, aap apne Friend ke naam par click kare aur “Add to contact” par click karde. Ek box kul jayega usme Send par click karde.
- Friend ka naam select kare
- Add to Contact par click kare
- Send par click kare.
Aapki request mujhe pohot jayegi. Mai jab aapki request accept karuga to me aapki id par click karuga aur fir Accept par click kar dunga. Aisa karne se me aapko apni Skype id me jod lunga.
Friend banne ke baad aap mujhse Audio call, Video call ya Message bhi kar sakte hai.
Video call kaise kare.
Jisko bhi call karna hai uske naam ko chune aur Video call karne ke liye Camera wala button babaye aur audio call karne ke liye phone wale button par click kare.
Aage Padhe:
Profile Kaise Edit kare
Profile edit karne ke liye aap apne skype menu me jaakar. Profile > Edit your profile select kare.
Ab aapke saamne aapki profile ki poori detail aa jayegi, apni profile delete me kuch bhi change karne ke liye us detail par click kare. Changes karne ke baad chote se Tick button par click karde.
Skype Status Change Kare?
Skype koi Social Network nahi hai, to yaha ke status aur Facebook ke status dono me farak hai. Yaha ke status ka matlab hai ki aapka Skype kis state (stithi) me hai. Stithi se mera matlab hai Offline, Away, Online, Invisible ya Do Not disturb.
Status change karne ke liye aap Skype menu me jaakar Online status par click kar sakte ho.
Status change karne ki isliye jaroorat hai ki Skype ek application hai jo hamesha khuli rehti hai, aap nahi cahte ki lag aapko har samaye calling karte rahe.
Online: Iska matlab hai ki aapki profile abhi online hai, aur aapko koi bhi vyakti abhi calling kar sakta hai.
Away: Is status ko rakhne se logo ko ye pata chal jayega, ki aapka skype chal raha hai, lekin aap apne skype se door hai ya kisi aur kaam me busy hai.
Do Not Disturb: Ye busy status hai, ye laal(Red) color ka status logo ko ye batata hai ki abhi aap bohot busy hai, aur ye aapko call karne ka sahi samye nahi hai.
Invisible: Status ko invisible karne se logo ko lagega ki aapka skype band hai ya aap abhi offline hai. Invisible status me aapko message ki notification to milti rahegi, lekin aap offline rahege.
Offline: Offline status aapki skype id ko bilkul band kardeta hai. Offline status tab bhi hota hai jab aap apne skype se sign our kar dete hai.
Skype par block kaise kare
Agar aapko koi Skype par parshan kar raha hai to aap us vyakti ki ID block kar sakte hai, jisse ki uske dwara kiya hua message aapke pass kabhi nahi pohchega.
Block karne ke liye profile par right click kare, aur “Block this person” par click karde.
Aap block karne ke baad us vyakti ki profile hata bhi sakte hai, “Remove from Contacts” par click karke.
Maine aapko is Article mai Skype ke lagbhag sabhi features samjha diye hai. Agar aapko ye article pasand aaya to hamara Facebook page jaroor like kare.
Thank You 🙂
Facebook Page : https://www.facebook.com/vikasplus
Ye bhi Padhe:
Comments