Maine apne pichel article mai 3G aur 4G mai farak bataya tha. Kuch log ye jaanna cah rahe the ki mobile ke internet plans kon konse hai ya phir recharge kitne ka karaye.
Ab ye baat mujhe to pata nahi kyoki mai to ek hi company ka SIM use karta hun, Log bhi customer care par baar baar phone karke pareshaan hai, aur aajkal customer care par baat karne ke bhi paise lagne shuru ho gaye hai, upar se time bhi bohot barbaad hota hai.
Lekin aaj Vikas Plus ki team ne ek website dhund nikali hai jispar aap poore India ki kisi bhi Cellular network ka Mobile Recharge, Prepaid, 2G, 3G, 4G, Full Talktime plan pata kar sakte hai.
Is website ka naam hai ireff.in
In steps ko follow kare:
Step 1: ireff.in par jaakar pehle apne telecom operator ka naam select kare.
Step 2: Apne state ka naam select kare
Step 3: GO par click kare.
Go par click karte hi aapke apne SIM ki recharge sambandhit poori jaankari prapt ho jaegi.
Ab aap Topup, SMS, 2G, 3G, 4G, Local, STP, ISD, Other mai se kisi bhi TAB par click karke recharge plans ki poori jaankari prapt kar sakte hai.
Aur agar aapko phir se search karna hai to aap upar diye gaye form ko phir se bhar kar search kar sakte hai.
IREFF company ki Android App bhi aati hai jo aap yaha se download kar sakte hai.
Ab aapko customer care par baar baar call karke apna wakt nahi barbaad karna padega. Aap seedha jaakar apne SIM ke liye recharge ka plan dekh sakte hai.
Ese hi aur articles ke liye hamara Facebook Group join kare.
Thank You 🙂
Ye bhi Padhe :
- Mobile Number ka naam aur location kaise pata kare ?
- Android kya hai ?
- Internet.org kya hai ?
- Mobile Number ki location kaise pta kare ?
king khan says
Nice
Vikas Plus says
Thank you 🙂
Nishant singh says
thank you sir you r wabsite
Vikas Plus says
Your welcome nishant singh ..
Rahul Pandey says
Thank you sir mujhe bahot khushi ho rahi hai ap Ki jankari se
Vikas Plus says
your welcome .
Agar aapko ye post acchi lagi hai toh aap apne friends ke sath bhi is post ko share kar sakte hai.
Jasim Khan says
Best offer number ka check krana he wo kese check hoga.
Vikas Plus says
Best Offers alag alag network ke liye, alag alag number par aate hai. iske liye aap operater ki authorised website par ja sakte hai ya phir apne kisi najdiki recharge shop par jaakr pata kar sakte hai.
Maheep yadav mahi says
ek smart phone lena hai 8000 ke rs. Me kuon sa lu
Maheep yadav mahi says
ek smart phone lena hai 8000 rs. Me kuon sa lu
Sunny Singh says
Aaj kal Mi, coolpad aur micromax ki handsets ki bhut acchi range aa rahi hai, aap inme se koi bhi handset karid sakte hai, lekin ager aap online purchase kar rahe hai toh ek baar inke review zaruru check kar le.
Tonu shrivstava says
Thanks sir Ji. .very nice post. ..
vivekkumar says
Root kaise kare