Hindi waale log sabhi Computer internet ke maamle me fase pade hai. Kyoki hume Hindi aasani se samajh aati hai lekin internet par jadatar cheeze english mai hai, aur to aur hamare keyboard bhi english me hai jisse ki Hindi me type karna mushkil ho jata hai.
Aaj hum ek aise tool ke baare me baat karege jo aapko bilkul aasaani se English ka keyboard use karke Hindi me likhne ki aajadi dega. Aur to aur hum is tool ko Internet, Mobile aur Computer me bhi bohot aaraam se use kar sakte hai, tool ka naam hai Google Input Tool. Ye Tool Google ka hai to bhadia to hoga hi.
Online Hindi Tool ko Try Kare :
Agar aapko turant kabhi Hindi likhne ki jaroorat pad jaye to aap Google Input Tool ki website par jaakar likh sakte hai aur waha se Hindi copy kar sakte hai.
Try karne ke liye aap http://www.google.com/inputtools/try/ link par jaye. Yaha se drop down se apni “Hindi” Bhasha select kare. Jaise jaise aap type karege aapka English mai likha hua text Hindi me convert hota chala jayega.
Ab aap is hindi me likhe hue text ko jaha cahe waha copy paste karke istimaal kar sakte hai.
Chrome Extension Hindi Typing Ke Liye :
Is video me ye tool use karna sikhaya hai
Google ki bhadiya baat ye hai ki ye jo bhi tools banata hai wo hum har jagha par aaram se use kar sakte hai. Google input tool ki Chrome extension bhi aati hai, ye extension un logo ke liye hai jo Google chrome par Facebook, Email etc use karte hai aur Hindi mai likhna cahte hai.
Is Extension ka ye fayada hai ki aapko copy paste nahi karna padega, Aap seedha hi Hindi me likh sakte hai.
Extension lagane ke liye aap http://www.google.com/inputtools/chrome/ par jaakar “Download Chrome Extension” par click kare.
Agle page par “Add to Chrome” par click kare, phir dubara “Add” par click kare
Click karte hi aapki chrome extension Chrome me Add ho jayegi.
Ab aapke chrome me ek chota sa extension ka icon bana aayega. Is icon par click kare “Extension Options” Select kare
dhanywaad.
Ye bhi Padhe :
- BitTorrent kya hai ? aur isko use kaise karte hai ?
- Google Drive kya hai ?
- Android kya hai ?
- Internet.org kya hai ?
pardeep says
hindi ki jarurat hai internet ki duniya me. Thanks ye post likhne ke liye
Sunny Singh says
Your welcome
keep following vikas plus