Ye baat to manni hi hogi ki hum logo ko cheeze padne se jada cheeze dekhne mai maza aata hai 😀 Aapne khud hi notice kiya hoga ki Facebook par kitne share kari Photos dali jaati hai, yaha tak ki agar kuch likhna bhi hota hai to log use tasvir (photo) me likh kar Facebook me daal dete hai.
Photo ka prabhav shabdo se khi jada padta hai, kyoki photos hame emotionally attach kar deti hai. Aap kayi ghumne gaye, ya apne nayi gaadi kharidi to aap apne wo lamhe Facebook par photos ke dwara apne Friends ke sath share kar sakte hai.
Chalo aaj hum sekhte hai ki Facebook par Photo kaise upload karte hai.
Facebook par Photo upload kare
Sabse pehle apne Facebook profile page par jakar Photos par click karo.
Neeche apki Photos aa jayegi.
Ab photo upload karne ke liye, Add Photos par click kare
Click karte hai aapke samne windows explorer khul jaega
Explorer me se photo select kare aur open par click kare
Apni photo ke bare me kuch likhe, aap yaha par Tag ya Check-in bhi kar sakte hai
Post par click kare, aur apke Facebook par photo upload ho jayegi.
Facebook par Album Kaise Upload Kare
Hamne photo dalna sikh liya, ab dekhte hai ki Album kaise dalte hai, par album dalne se pehle ye jaan le ki album hota kya hai?
Album kya hai? Ek example lete hai, Manlo aap kayi ghoomne gaye, waha jakar aapne bhut sari photo click kari, ab do tarike hai sabhi photo ko Facebook par dalne ke.
- Pehla tarika hai ki aap photos ko ek ek karke daale (wo humne upar seekh liya hai).
- Doosra tarika hai ki hum sabhi photo ko ek sath daal de, aisa hum album banakar karte hai. Album banane se humara time bachta hai.
Album banane ke liye + Create Album button par click kare
click karte hi aapke samne Windows explorer khul jayega, isme se aapne jitni bhi photos upload karni hai un sabko select karle
phots select karne ke baad open par click kre
Ab aapki sabhi photo upload honi shuru hojaegi, Aap in photos me photos ke baare me bhi likh sakte hai. Likhne ke baad Upload par click kare.
Bas itna simple hai Album banana, ab aap try karke dekho. Agar koi problem aaye to neeche diye gaye comment box mai likh kar bhejo.
Thank You:
Aage padhe:
- Facebook par Status Update kaise krte hai ?
- Facebook par Auto Play Videos feature kaise band kare ?
- You Tube par offline videos kaise download kare ?
Kuldeep Negi says
Hello Sirji mera naam Kuldeep Negi hai or mai ek singer hu or Maine abhi apni ek album record Ki hai so please sirji kya aap mujhe bata sakte ho Ki mai kaise Facebook me apne songs ko upload karke friends ko suna Sakta hu or songs ka promotion kar sakta hu. iske alaawa or koi online promoting sites ho to please mujhe bataana….. YouTube Ke charges Ke bare me bhi bataana please….. thank you so much dear sirji.
Sunny Singh says
Apke liye sahi platform youtube hai, jis par apne videos upload karke zaada se zaada logo tak phuch sakte ho.
David says
Main apne mobile se fb par photo post kaise karoo? add photo par click nahi ho pata
nadeem saifi says
nokia 200 mai fb par photos save kaise kare ya download kaise kare jaldi jabab do plezzzzzzz