Internet par sabse jada hone waala Cyber attack Phishing scam hai. Phishing scam wo hota hai jab cyber-criminals aapko dhokha dekar aapki personal information nikalwal lete hai.
Phishing scam sabse jada Email, Website, SMS aur Call ke dwara hota hai. Ye log aapko contact karke esa dikhane ki koshish karte hai ki ye ek badi company hai ya koi esa vyakti jispar aap bharosa karte hai.
Is attackers ka main target choti companies hoti hai, ye attacker in companies ki bank details nikal lete hai, ese attach din bhar din mushkil hote jaa rahe hai kyoki jese tarkie ye log use karte hai wo bohot hi authentic lagte hai. Aur is wajha se bohot se log inka shikar ban jaate hai.
Stranger (अपरिचित) Email, Phone Call aur SMS par jaldi se bharosa na kare
Aapne suna hoga ki kisi ko SMS, Email ya Phone call aya hai ki unti 3 crore ki lottery nikal gai hai, ese message jadatar cyber criminals hi bhjte hai, aur agar aap lalach mai aakar inse sampark karne ki koshish karte hai to ye log aapki sensitive information nikalne ki koshish karte hai.
Iska ek aur udharan hai ki aapka bank aapko call karta hai jime wo aapse aapke bank account ki details mangta hai, esa call bhi phising call ho sakta hai.
Ese logo ko maapne ke liye is baato ka dhyan rakhe:
- Emails mai dekhe ki kaisi bhasha ka upyog kia gaya hai, kya unme spellings galat hai? Kyoki agar kisi badi company ka email aa raha hai to ye spellings aur bhasha ka upyog aksa perfect hi hota hai.
- Aap Email ko pakka karne ke liye company ke official number par directly call kar sakte hai, company waale aapko bata dege ki Email sahi hai ya galat.
- Apne Emails mai likhi jaankari ko Google par search karke dekha, chances hai ki aur bhi logo ko esa email aya hoga. isse aapko pata chal jaega ki Email sahi hai ya Fraud.
Aage Padhe :
Website Phishing
Website phishing mai attacker ek asli website jesa dikhne wala page bana dete hai, Aur log dhokhe mai aakar unme sign in kar dete hai, jisse ki aapki login details unpar chali jaati hai.
Maan ligiye ki aapko kisi mai Koi link bheji, aapne wo link kholi aur usme Facebook.com jesa same page bana tha. Ab ye confirm karne ke liye ke ye page Facebook ka hi hai aap upar address baare mai dekh sakte hai ki kya waha par Facebook.com hi likha hai. Agar Facebook.com ke ilawa kuch aur likha hai to wo Fraud website hai. Yaha login na kare.
Hamesha Secured connection wali website mai hi login kare, secure ka matlab hai ki website ke naam ke aage Green range se https: likha hoga.
Bank statement check kare
Jab bhi aap apni ATM card ya net banking ke details daalte ho to ye pakka karle ki aap bank ki hi website par login kar rahe ho. Aur jese maine upar bataya ki ye bhi check karle ki connection secure hai.
Aur apni bank ki statement regular check kare. Agar aapko koi galat transaction dikh rahi hai to iska matlab aapke account ki details kisi ke pass pohonch gayi hai. Esa hone par apne Bank ko contact kare aur apne account ka password turant change kare.
Aaj kal internet par bohot se fraud ho rahe hai. Agar aap in baato ka dhyan rakhege to aap apne aapko Phishing scam se bacha sakte hai.
Aise hi aur articles ke liye aap humara Facebook Group bhi join kar sakte hai, jisse ki aapko humari daily updates bhi milti rahegi.
Thank you.
ye bhi padhe :
Comments