Kabhi kabhi hum apne browser me itne saare tabs khol lete hai ki hum ek se doosre tab me jaane me bohot pareshani hoti hai. Hota hoga aapke saath bhi 😉
Jaldi se ek se doosre tab me jaane ke liye chrome hum ek shortcut deta hai. Maan lijiye aap ke brower me kahi saare tabs khule hue hai.
Ab hume Youtube waale yaani 3rd tab par jana hai. 3rd tab par jane ke liye hum CTRL + 3 dabayege.
Isi tarha hum 4th tab par jaane ke liye CTRL + 4 dabayege
Lekin agar bhoto saare tab hojae, to ye andaja lagana mushkil ho jata hai ki kis tab ka number konsa hai.
Ye problem tub solve ho sakti hai jab hum har Tab ko number de sake, Tab ko number dene se hume pata chal jayega ki konse number par jana hai.
Numbers lagane ke liye ek Google chrome extension aati hai. Is article me hum ye extension lagani seekhe ge.
Step 1: Chrome par is Tab Number extension par jaye aur “ADD TO CHROME” par click kare.
Phir Add par click kare
Ab aapke Chrome Browser mai ye extension Add ho jayegi.
Jab bhi apne brower me Ctrl key press karege to aapke tabs ka number highlight ho jayega.
Isse aap bina soche aur wakt barbaad kiye apne tabs switch kar sakte hai.
Agar aapko ye extension pasand aayi to is article ko apne dosto ke sath share kare.
Thank you 🙂
Ye Bhi Padhe :
- BitTorrent kya hai, iska use kaise karte hai ?
- Internet se Free Books kaise Download karte hai ?
- Laptop kharidne se pehle in baato ka rakhe khyaal ?
- Mobile Phone ki Location kaise pata karte hai ?
Leave a Reply