Agar aap kuch time se blogging kar rahe hai to aapne shayad aisa ho sakta hai ki kuch log aapki posts ko copy kar rahe ho. Jaise ki asli chori hoti hai Internet se kisi aur ki website se content copy karna bhi ek tarha ki chori hi hai, kyoki lekhak(Author) ne aapne kaafi time dekar ek ek post likhi hai.
Aur agar aapki website copy ho rahi hai to ye aapki website ki ranking par bhi galat effect daal sakti hai. Isko hum bilkil poori tarha rok nahi sakte kyoki aapki website Internet par hai, aur koi bhi vyakti asaani se aapki blogs ko copy kar sakta hai. Lekin hun kuch steps le sakte hai jisse ki hamare blog par chori kam ho sake.
Is article me hum copy se bachne ke kuch tarike seekhege.
Images ko Watermark karo
Images par watermark lagane ka matlab hai ki koi Photo editing software ka use karke apni image par apne blog ka naam likhna. Water mark lagane se chori to nahi rukti, lekin isko lagane ke baad jadatar log aapki photo copy karna nahi cahege kyoki ispar aapki website ka naam ya logo hai.
Aur agar koi copy kar bhi leta hai to bhi aapka fayada hai, kyoki log Images par se aapke blog ka naam padhke aapke blog ka hi traffic bhadayege.
Copy Paste Disable Kare
Agar aap apne blog par copy/paste disable karte hai to chor ko aapka content copy karne me problem aayegi, aur use sab kuch dekh dekh kar likhna padhege. Is aapki posts ki chori kam hogi aur chor aapki website ko chod kar us website par jayega jaha par copy past aaraam se kar sake.
Copy paste disable karne ke liye sabse pehle Apne blogger ke Layout Tab me jaakar “Add a Gadget” par click kare
Aage Padhe :
- Blogger Navbar kya hai ? Isko kaise hataye ?
- Favicon kaise lgaye ?
- Page Rank kya hota hai ? isko kaise badaye ?
Ab HTML/JavaScript Gadget Add Kare
Is Gadget ke ander ye Code Paste kare
<!- Vikasplus.com disable copy paste code --> <script type='text/javascript'> if (typeof document.onselectstart != "undefined") { document.onselectstart = new Function("return false"); } else { document.onmousedown = new Function("return false"); document.onmouseup = new Function("return false"); } </script> <!-- End Vikasplus.com disable copy paste code -->
Save par click kare.
Ab aap apne blog par jaa kar dekh sakte hai ki Copy / Paste Disable ho chuka hai.
Mujhe lagta hai ki is aasaan si trick ko lagane ke baad aapki website par copy karna thoda kam ho jaega. Agar aapko koi aur bhi tarika aata hai post content ki chori rokne ka to hume neeche comments me bataye.
Aap Hume Facebook par bhi follow kar sakte hai. Facebook Page par click kare .
Thank You .
Ye bhi padhe :
- Blogger par Webmaster console se kaise jode ?
- Blogger par Read More Button kaise lagate hai ?
- Blogger ko Social Media se kaise jode ?
Hosting Deutschland says
Lekin Kabhi kabhi koi kisi idea par koi article likhe jo ki uska apna create kiya hua hai, jaise ki ek template ya koi widget banana, aur dusara blogger bhale hi ise apne andaz me likhe to bhi ise copy kiya hua mana jayega.
Sunny Singh says
Nhi, kyuki bhut se blogger aisa hi kar rahe hai, english ke blog ki copy karke unko translate karte hai, lekin iske liye aapko aisi language aani chahiye, jisse ki aap apni audience se acchi tarh communicate kar sake.