Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Blogger mai Facebook Like box lagaye

September 14, 2015 By Nikhil Arora

Lagbhag har Website par aajkal aapko Facebook likebox laga mil jaega. Facebook likebox ka ye fayada hai ki aapke Blog par aane wala vyakti aapke blog ko bina chode aapka Facebook page like kar sakta hai. Aur like box par bane cehre dekh kar wo aapka page like karne ke liye aur jada aakarshit ho jayega.

Is article me mai aapko apne Blog par Facebook like box lagana sikhauga. Facebook like box lagane ke liye hum HTML/JavaScript widget ka istimaal karege.

Like box lagane ke liye sabse pehle hume Facebook like box ka code cahiye hoga.

Facebook Like Box Ka Code Kaise Banaye.

Step 1: https://developers.facebook.com/docs/plugins/page-plugin par jaye

Yaha jaakar pehli field me apne Facebook page ka naam daale, apne pasand ke options select kare. Aur Get Code par click karde.

likebox-banaye

Get code par click karte hi Code aa jayega, hume in dono code ko apne blogger me copy karna hai.

code-copy-kare

Aage Padhe:

  1. Blogger Blog par Read More Button kaise lagaye ?
  2. Alexa ranking kya hai ?

Step 2: Blogger me login karke, Layout me jaye jaha bhi aapko Facebook likebox daalna hai waha jaakar Add Gadget par click karde.

add-gadget-par-click-kare

plus-par-click-kare

Add gadget karne ke baad HTML/JavaScript wala gadget select kare.

Step 3: Gadget ka title de aur neche code box me Facebook se copy kiye dono code paste karde

Facebook-gadget-banaye

Save par click kare

likebox-add-hogaya

Ab aapke blog par Facebook likebox widget lag chuka hai, confirm karne ke liye apne blog ko refresh karke dekh le.

Is article se sambandhit koi bhi sawaal ke liye neeche diye gaye comment box me comment kare.

 Thank you 🙂

Ye bhi Padhe:

  1. Skype ID kaise chalate hai ?
  2. Twitter ID kaise banti hai ?
  3. Blogger Blog template me J Query kaise lagate hai ?

Filed Under: Blogger Tagged With: facebook, Widget

Comments

  1. GB Khan says

    February 18, 2016 at 7:51 pm

    Boht Acha Method Hai.

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 19, 2016 at 10:37 am

      Thank you GB khan

      Reply
  2. GB Khan says

    February 18, 2016 at 7:53 pm

    Acha method hai.

    Reply
  3. Ekam jeet singh says

    February 25, 2016 at 9:17 pm

    helo brother thanks for this useful post.
    .
    .
    plz ask me one thing.
    kya ye process Hme hrr post me krna pdega.
    .
    thanks brother.

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 26, 2016 at 10:30 am

      Nhi sirf ek baar aapko apne blog me krna hoga. phir wo aapki har post me show karega.

      Reply
  4. nilesh says

    March 6, 2016 at 1:16 am

    sir Me jo bhi post likhta hu me uske bich me dusri post ki Link kese dalu.
    Jese kisi Post ke bich me mujhe dalna he Paypal kya he yaha pade

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 7, 2016 at 11:51 am

      Iske liye aap humara ye article padh sakte hai. Jo aapki bahut help kar dega.
      Blogger ka Post Editor vistar se >

      Reply
  5. Alkesh says

    April 16, 2016 at 5:33 pm

    Sr me apne blogger blog me hindi me post kese likh sekta hu. btye sr

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 18, 2016 at 10:30 am

      Mangle ya Inscript font me.

      Reply
  6. Anil Ganvit says

    August 3, 2016 at 12:00 pm

    hello sir me ne aapki post ko follow kar ke fb page lagaya but pura fb page scrolling ho raha hai use me kaise Hata saku

    Reply
  7. VIJAY KUMAR says

    August 23, 2016 at 7:38 pm

    Blog se website par data Kaise transfer Kare sir…

    Domain kha se le

    Aur hosting kis site par kare…

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 24, 2016 at 2:37 pm

      WordPress Website ke liye Best Hosting services
      Ye article aapki bhut help kar dega, aur ager aapko website ya apna blog design karana hai toh aap humen https://mail.google.com/mail/u/0/#inbox par email send kar sakte hai.
      Yaha se hum aapki kaafi madad kar sakte hai. Blogging aur designing management ke baare me.

      Reply
  8. Syed Aquib says

    September 20, 2016 at 11:49 am

    meri age 21 years hai main 9th pass hu thodi bhot english ati hain web degisn sikhne ke liye kya english sikhna zaruri hain..
    ye sawal isiliye kiya maine kyu ke hamare mohalle (area) me free me D.T.P, WEB GEGISN, MOBILE APPLICATION bana na sikha rahe hain to isme me

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact