Apne Android phone ko virus free rakhna bohot jaroori hai, kyoki hackers hamesha kayi naya virus banakar aapki private information nikalne ki koshish karte rehte hai. Lekin aap kuch aasaan se tarike lagakar apne mobile ko virus ke attach se bacha sakte ho.
Android Phone ko Virus se bachane ke tarike
Neeche diye gaye kuch tariko se aap apne mobile ko virus free rakh sakte ho.
Ek Acha antivirus App daale
Computer ki tarha mobile ke liye bhi kuch antivirus apps aate hai. Bohot si antivirus Apps aap android play store par free me download kar sakte ho. Kuch popular antivirus aur malware apps hai AVG, Avast.
Ye apps aapke background me chal kar virus ko hatane me help karte hai, un apps par bhi najar rakhti hai jo aapke mobile ko kisi tarha ka nuksaan pohcha sakti hai.
Naye naye virus ko hatane ke liye in anti virus softwares ki updates aati rehti hai, isliye aapko apne antivirus app ko regularly update rakhna cahiye.
Apne mobile ko kuch samye baad scan bhi karte rehna cahiye, isse aapke mobile me virus attack ke chances kam ho jate hai.
Apps ko sirf Play Store se hi daale
Google Android Play Store par jitni bhi apps hai wo android dwara approved hai, aapko sirf yahi se apps download karni cahiye.
Kahi aur se download ki gaye APK me virus ho sakta hai jo ki aapki personal information aur accounts ki jaankari ko chura sakta hai.
App ki permission ko dhyan se padhe
Jab hum koi bhi App ko install karte hai to ek window me hume permissions dikhayi jaati hai, ye permission apps ke dwara mangi jaati hai.
Jaise ki kayi apps aapka camera access karne ki permission mangti hai, kayi GPS, Flash ya personal info bhi mangti hai. To kisi bhi App ko install karne se pehle in permission ki list ko padhle, aur agar aapko kuch bhi gadbadi lage to wo App install na kare.
Low Quality Apps delete karde
Facebook, Gmail jaisi Apps ko hum high-quality apps keh sakte hai. Aur kayi apps jaise ki wallpaper downloading karne ki, Esi apps low-quality hoti hai.
Ye apps jadatar bikar companies banati hai, aisi companies ki apps me Adware ya virus bhi mojud ho sakte hai. Agar aapke mobile me low-quality apps hai ya aisi apps hai jinka aap regular use nahi karte, to aap aisi apps ko uninstall kar sakte hai. Isse aapke mobile ki memory bhi bhadegi aur battery bhi bachegi.
Unknown (अज्ञात) Computer ya Phone se Sharing naa kare
Apne mobile ko computer ya laptop se connect karne se pehle ye confirm karle ki computer me virus to nahi hai.
Aur apne friends ke sath chip (memory card) share karne se pehle bhi dekhle ki usme virus to nahi hai.
Aajkal virus se protection bohot jaroori hai. In steps ko abhi follow kare aur apne mobile ko virus free banaye.
Aise hi aur articles ki jaankari ke liye hamara Facebook group join kare.
Dhyanwaad ,
Ye bhi padhe :
maine ye blog banaya hai please bataye kaisa hai techworldinhindi.blogspot.com
Blog accha hai, Leking Blog spot par hai. Agar aap Blog se ek acchi earning karna chahte hai toh aapko aapka Blog wordpress par banana padega jisse aapka blog aur attractive dikhega aur kuch earning bhi ho jaygi.
apka likhane ka tarika kafi achha hai
Maine bhi ek site Apkajosh dotकॉम
banai hai mai chata hoo aap dekhe
aur bataye
Hasim ahmad ji abhi aaka blog open nhi ho raha hai isme kuch problem hai shyad,jab ye open hoga tabhi bta sakta hu ki kaisa hai aur isme kya improvement ki zarurat hai.
Kya urdu writing ki pdf file ko Hindi me convert kar sakte hai.
Nhi.
mujhe bhi membor banna h
your join Facebook group
koee ya website bnane ka tips de skta hai kaya bro???
WordPress par Free website kaise banaye
aap ka blog bahut hi acha hai hamare sath bhi jode rahe aur batye mera site ka seo kaise hai bhai aur kya kamayia hain a bhi zaror baten
Hum zald hi iske baare me ek series nikalne wale hai toh aap SEO ki jaankari waha se pad sakte hai.
Sunny bhai android phone par kaun sa antivirous accha rahega
ESET acha hai
laptop mein se virus kaise hatate hai
Bhut se antivirus aate hai aap unko kisi bhi computer shop se purchase kar sakte ho.
thx ye app bhut achi h likin mujhe phone ke bare me or bhi knowledge chaiye jese ki phone me sabse important kaam kiska hota h (microcontroller) ka hota h lekin kese hota h or GSM or bhi bhut tarhe ki sim h jese ki Tata ki sim, in sim ka naam kya h or inme difference kya hota h RAM ke baare me mujhe Knowledge ho gyi h but ROM kya hoti h ek GSM mobile me hota kya-kya h ager hum interview dene ke liye jaye toh hme kya kya PTA hona chaiye pls help our………..
Technology se related sabhi parkar ki jaankari aapko youtube par tutorial ke jariye mil jaaygi.
Bahut hi simple ho gaya h virus ko mitana
MERA MOBILE KO UPDATE KIYA HU Gionee p5w HAI Jo 5.1 version ka tha vo 6 version ka hogaya hai
USME SAB FUNCTION ACCHA HAI PAR CAMERA MAJA NAI AA MAJA HAI
MERA PURANA WALA CAMERA THIK THA
KIYA MAI APNE CAMERA BAS KO FIR SE PURANA WALA CAMERA KAR SAKATA HU
YADI ISKE BAARE ME AAPKE PAAS KOI SOLUTIONS HO TO PLZ HELP ME