Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Apne blog mai Disqus Commenting System Kaise Lagaye

September 20, 2015 By Nikhil Arora

Commenting blog ka ek bohot zaroori hissa hai, isse hume apne reader ke baare me jaane ka moka milta hai. Agar aapke blog par comments nahi aa rahe to iska matlab ye hai ki aapki website ya to jada traffic nahi aa raha ya apne article logo ko jada pasand nahi aa rahe. Ek aur bhi vajhe ho sakti hai, ki shayad aapke blog ka commenting system accha nahi hai.

Mujhe sabse badhiya commenting system Disqus ka lagta hai, aur is article me hum jaanege ki kis tarha hum apni website par Disqus commenting system laga sakte hai. Leking pehle hum jaan le ki Disqus commenting ka fayada kya hai.

Disqus Comment System ki fayade

  • Social login: Social login ka matlab hai ki is commenting system me koi bhi vyakti apne social media (Facebook, twitter, Google) account se login hokar behad aasaani se comment kar sakta hai.
  • Bhadia Design: Is commenting system ka design bohot bahdia hai, ye desing mobile aur computer dono par acha lagta hai.
  • Comment Vote: Isme log comment ko vote bhi kar sakte hai, jisse hi hume pata chal jayega ki sabse bhadia comment konsa hai.
  • Edit visitor comment: Disqus hume logo ke comments ko edit bhi karne deta hai. Agar visitor comment me faltu ka kuch daalta hai to hum use hata sakte hai.
  • Spam Detection: Spam wo comment hote hai jo aapki website par link post karte hai, aur apne fayade ke liye aapki website par comment karte hai. Aise comments aapki website ki quality ghata sakte hai, Disqus apne aap hi spam comments ko detect kar sakta hai.

Disqus par id banaye

Disqus ko apne Blogger blog me lagane ke liye sabse pehle hamare pass disqus ki ID honi cahiye. To chaliye is steps me hum id banana seekhte hai.

Step 1: https://disqus.com/profile/signup/ par jaye aur apni jaankari daale. Aur sign up par click karde.

disqus-signup-kare

Step 2: Apni Email id par jakar apne account ko verify kare

Aage padhe:

  1. Youtube par offline videos kaise download karte hai ?
  2. Mobile number se naam aur location kaise dekhte hai ?

verify-kare

Ab aapka disqus account ban chuka hai. Aage hum jaanege ki apne blogger blog ko disqus se kaise jode.

Disuqs comments ko apne blog me kaise lagaye?

Bohot aasaan hai.

Step 1: Apni diqus id me login kare aur top right corner dropdown se apni “Add Disqus to Site” par click kare.

add-to-site-click-kare

 

Step 2: Disqus aapki website par comment system lagane ke liye Engage service deta hai. “Start Using Engage” par click kare.

engage-click-kare

 

Step 3: Abe blog ki jaankaari bhare, aur “Finish registration” par click kare

website-add-kare

Step 4: Agle page pe “Blogger” par click kareblogger-click-kare

 

Step 5: Add button par click kare.

add-click-kare

 

Step 6:  Agle page par disqus aapko blogger ki website par bhegega, is website mai login karke “Add Widget” par click kare.site-pe-add-kare

 

Aapki website me ab Disqus commenting system lag chuka hai. Agar aapke blog me poorane comments hai, aur aap unko bhi disqus mai dikhana cahte hai to aag padhte rahiye.

Step 7: Poorane comments copy karne ke liye aap wapas disqus ki website par jaye, aur waha se “Tools > Import” par click kare. Iske baad aapke Disqus Google id se login karne ko kahega, aap step follow karte rahiye.

import-old-comments

Ab aapki website mai commenting system lag chuka hai jo ki kuch aisa dikhta hai.

comment-syste,

Aap dekh sakte hai ki commenting system kitna bhadia lag raha hai. Is system me aapko baar baar login nahi karna pageda, jisske ki aap araam se comments kar sakte ho.

Agar ye article pasand aaya to apni Facebook par jaroor share kare.

Thank you for learning.

ye bhi padhe:

  1. Blogger me Facebook Like box kaise lagaye ?
  2. Blogger Blog me Read More ka Button kaise lagate hai ?
  3. Blogger Blog me Google Translate Widget kaise lagaye ?

Filed Under: Blogger Tagged With: comment, प्लगइन

Comments

  1. vijaypal singh says

    November 1, 2015 at 2:38 pm

    aap ne step 3 bataye he wo repeat ho rahi he kya karu

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 2, 2015 at 10:28 am

      Usme kya error aa rahi hai.

      Reply
  2. vijaypal singh says

    November 2, 2015 at 4:07 pm

    STEP 3 PAR FINISH REGISTRAION PAR CLICK KAR RAHA HU TO WAPIS SE WOHI PAGE KHUL RAHA HE AAP JARA DETAIL ME BATA DE

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 6, 2015 at 12:43 pm

      Kya aap screen shot lekar bhej sakte hai ?

      Reply
  3. Monu says

    November 8, 2015 at 3:24 am

    sir Mai yeh Janna chahta ho ki. Mere blog par view web vision or view. Mobile vision alag alag hai web vision Mai fonts stalish hai. Or mobile me simple Me hai. Mai dono ka same karma chahta ho.

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 10, 2015 at 10:24 am

      Agar aap blogger ki default theme use kar rahe ho to font ka style sirf Desktop par hi change ho sakta hai. Custom theme use karke aap apne fonts aur design ko poori tarha se control kar sakte ho. Agar aapko bhadiya custom themes dekhni hai to aap yaha click kar sakte ho : 10+ Best Responsive aur SEO Friendly Templates Blogger Ke Liye

      Reply
  4. Monu says

    November 8, 2015 at 8:07 pm

    Sir aap ne mere questions ka answer nhi giya .sir mai koi bhi widget aad karta ho wo view Wed vision mai dekhti hai . mai dono view Wed or mobile same karna chahta ho

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 10, 2015 at 10:26 am

      Mai aapke pichle comment ko answer kar diya hai. Please check 🙂 Thank you for asking.

      Reply
  5. Monu says

    November 12, 2015 at 12:04 am

    Sir answer dene ke liye thanks.
    Aaj mai yeh Janna chahta ho Maine console me sitemap add kar diya but kal se meri file pending me hai issa Q

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 14, 2015 at 7:26 pm

      Verification theek se nahi hui hogi. Dobara try karo.

      Reply
  6. Md Arshad Noor says

    December 3, 2015 at 12:29 pm

    Sir,
    हमारे ब्लॉग को गूगल मैं पढ़ाई के विषय मैं अगर कोई सर्च करें तो मेरा ब्लॉग पहले आये इस सविधा को लागु करने के लिए क्या करना होगा ।

    Sir Please Help me.
    Thanks

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 8, 2015 at 10:52 pm

      Aap apne article ki Headline ko behtar bana sakte hai, Aur lambe 500 se jada words ke articles likhe. Headline ka article padhe, yaha click kare.

      Reply
  7. yash says

    December 9, 2015 at 12:52 am

    login krne k bad mere m koi add disqus to site ka option ni a rha fr setting,create channel etc aa rhe h bs

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 9, 2015 at 6:05 pm

      Kya aapne Email Verify karwaya tha? Mujhe lagta hai ki wo Email verification ke baad ki ata hai.

      Reply
  8. Manish says

    December 20, 2015 at 2:52 am

    sir kya aap bata sakte hai ki blog ke comment box anonymous kaise add kare or customize templet ka color kaise change kare pleace jaldi replay kare

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 11:42 am

      Anaonymous karne ka option Disqus ki settings mai hi hota hai, waha jaakar check kare. Waha se setting change karne par aapke blog par apne aap option aa jaega.

      Reply
  9. Sandesh Gupta says

    December 22, 2015 at 12:16 am

    Sir jaise Aapka comment box hai us prakar ka comment box kaise banate hai..

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 11:34 am

      Vikas plus website WordPress mai bani hui hai. Esa comment box cahiye to appko paid hosting kharidkar, wordpress par website banani padegi. Jada jaankari ke liye mujhe facebook par contact karo 🙂

      Reply
  10. pradip mandal says

    March 5, 2016 at 10:36 pm

    hello

    Reply
  11. pradip mandal says

    March 5, 2016 at 10:43 pm

    hello sir. mere blog ke post ke niche comment box show nehi ho raha he. kaise mai comment box ko add koru . please help me

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 12, 2016 at 10:50 am

      Recent comment box kaise lagaye ?
      aap humara ye article padhkar comment box apply kar sakte hai

      Reply
  12. Abhimanyu kumar kushwaha says

    March 24, 2016 at 5:44 pm

    good sir

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 25, 2016 at 12:12 pm

      Thank you

      Reply
  13. parvez khatri says

    April 12, 2016 at 9:42 am

    aapne step by step bahut achhy jankary di he ye sabhy bloggers ke liye janna bahut jarury he. atrticle likhne ki style muje bahut pasand aayi

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 12, 2016 at 10:26 am

      Thank you parvez
      keep following vikas plus for further knowledge

      Reply
  14. kaminee thakur says

    June 1, 2016 at 4:00 pm

    Sir add disqus to website ka option hi nhi aa raha hai dropdown box me. Please help sir.

    Reply
  15. Aardy Kumar says

    June 16, 2016 at 11:43 am

    sir maine saare code laga liye. fir bhi ye wala comment box open hi nahi ho raha hai.

    Reply
  16. Vivek says

    August 11, 2016 at 12:25 am

    Hello!!
    Sir जी, मुझे add page element mein jab ” add widget” karne k baad kuch errors bta rhe hain.

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 23, 2016 at 2:28 pm

      errors kya aa rahe hai ??

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact