Blogger aapko external 3rd party HTML apne blog me daalne ki suvidha deta hai. App HTML ke dwara Facebook, Twitter, Paypal, Youtube aur kayi saare 3rt party code iske dwara apne blog me daal sakte ho.
Aap sirf Front End code jaise ki HTML aur JavaScript hi daal sakte hai, PHP ya SQL security ki vajha se daalna allowed nahi hai.
HTML code daalne ke liye hum Layout Gadgets ka istimaal kar sakte hai.
HTML Gadget lagane ke liye sabse pehle aap Blogger me login karke Layouts me jaye aur aapko jaha bhi HTML code lagana hai waha jaakar Add Gadget par click karde.
Ek nayi window khulegi is window me se HTML/Javascript wali item ke aage bane Plus sing par click kare.
Ab aap apne HTML code ke liye Title daale aur neech box me HTML code likh kar save karde.
Humne apna Youtube channel lagane ke liye code daala hai.
<script src="https://apis.google.com/js/platform.js"></script>
<div class="g-ytsubscribe" data-channelid="UCcvE0AP5ICyAb-HyOq-bGcg" data-layout="full" data-count="default"></div>
Agar aap apne Youtube channel ka code lagana cahte hai to aap Red color me di gayi youtube channel ki ID ko apni ID se badal sakte hai.
Ab aap apne Blog par jakar dekh sakte hai ki HTML widget add ho chuka hai.
Third party HTML code daalte hue thoda sa ye dhyaan rakhe ki Code galat website se mat ho. Galat code apki Website ka look karab kar sakta hai.
Aapko ye article kaisa laga ? Neeche diye gaye comment box me apna sujhaav jaroor bheje.
Thank you 🙂
Ye bhi Padhe :
- Blogger Blog par Free Website ya Blog kaise banate hai ?
- Blogger me Stylish Search Box kaise lagaye ?
- Apne Blog ka Font kaise badle ?
- Apne Blog ko Social Media se kaise jode ?
Comments