Adsense series ke is article me aaj hum baat karege ki Adsense Account ko secure kaise banate hai, Kyuki aaj ke technology ke daur me jitni suvidhaye hume mili hai, utna hi hume unko soch samj kar use karna chahiye.
Kyuki aaj kal jo bhi naya software hai, hacker usko hack karne ke kuch na kuch naye tarike nikal hi lete hai.
Bhut si important cheezo ki tarh aapke Bank account, Email ID aur bhi bhut si important cheeze bhi hack ho sakti hai, jisse aapko bhut musibat ka samna kar sakta hai.
Jaise ki aapke Bank account ko hack karke paise nikale ja sakte hai, apni email ID ko hack karke galt mail beji ja sakti hai aur bhi bhut kuch ho sakta hai.
Mera maksad aapko darane ka bilkul bhi nhi hai, Lekin mai aapke ander ek awareness lana chahta hu jisse ki aap savdhaan ho sakte hai.
Toh chaliye shuru karte hai :
Hum jaante hai Adsense account aapke liye kitna important hai. Aapko iske liye aapne account me ad code banane se lekar, ads ko manage karne ( aapka ad website par kaisa dekhta hai. ) time-time par apni progressive report aur unse hone wali payment ke status ko check karte rahna chahiye.
yaha aapko ek baat zarur dhyaan me rakhni chahiye ki Adsense Google ka product hai. Iska matlab jaise ki baaki ke google product hai jaise Gmail, Adwords, Blogger, etc, in sab me single password se hi sign-in kar sakte hai.
Jisse apka password agar ek baar hack ho gaya toh baaki sabhi product ka password bhi hack hone ka darr hai. Isliye hum aapke in account access se sambandit mamlo ko seriously lete hue, aapko Adsense account se sambandit kuch asaan tips dena chahege, jisse aap apne Adsense account ko secure rakh sakte ho.
Adsense Account ko secure rakhne ke kuch asaan tips :
Agar aapko apne Adsense account me sign in karne me dikkat aa rahi hai toh , toh aap apne password ki re-setting kar sakte hai.
Agar aapko apne account me zaada security lagani hai toh, aap Update your alternate address,( dusra e-mail address ) daal sakte hai. Strong security question ( agar aap gmail par hai toh ) aur uske ander apna Mobile number daal skate hai , isse ye hoga ki Google aapko ek text message ke roop me ek recovery password send kar dega. In case agar aap aapna password bhul gaye hai toh.
Agar aapke pass dursa Gmail Address hai, toh hum chahte hai ki aap Google ke dwara beja gaya Password apni dusri email ID par bhi parpt kar skate hai.
Agar aapke pass ye sab setup nhi toh Google team ke liye ye bhut muskil hoga ki wo aapko identify kar sake ya aapke password ko reset kar paaye. Toh iske liye aapko apne security ko update karna hoga. Isme aapko thoda time lag sakta hai aapne Security Options ko update karne ke liye.
Agar Re-setting password se bhi baat nhi ban rahi hai toh, aap Account recovery form ko fill kar sakte hai. Jisse aapka account google team dwara restore kar diya jaayga. Lekin uske liye aapke pass account ki ownership sabit krne ke liye zaruri document bhi hone chahiye.
Yaha par hum aapko kuch aur tips dena chahege jisse aap apne Adsense account ko asaani se access kar sakte hai :
- Ek Badiya aur majboot password aur security question banaye. Aapka password aisa hona chahiye jissko ki koi bhi vaykti assani se hack na kar paye. Aisa hi aapke security question ke sath bhi hai. Agar kisi ko asaani se andaza lag sakta hai ki aapke security question ka answer kya hoga, toh ye bilkul bhi accha question nhi hai.
- Apna password kisi se bhi share na kare. Hume pata hai ki aapka apne friends aur family ke sath password ko share karna pad sakta hai. Lekin aap aisa na kare, khasstor par jab aapko pata ho ki ye aapka personal account hai. Agar aapko koi aisa account banana hai jo alag alag tarh ke logo ki pauch me ho toh, aapko ye dhyaan me rakhna hoga ki wo aise account kisi bhi product se tied up na ho, jis par aapki personal information ho.
- Aapko aise kisi bhi message ka reply nhi karna hai jo ki aapke username aur password ke baare me puchta ho. Google kabhi bhi aapse aapke E-mail, IM or kisi dusre social network ki sign-in information nhi magta hai, toh aise message ka reply na hi kare toh accha hai.
- Agar aapko Google Adsense se related kuch bhi janna hai toh aap aise pages par sign-in karne se humehsa savdhaan rahe jo ki fake hote hai. Humesha www.google.com/adsense ka URL zarur dekh le, agar URL different hai toh page par sign in na kare. Agar phir bhi apne agar fake page par sign in kar bhi diya hai toh zaldi hi apne password ko reset kar de, jisse ki koi tesra vaykti aapne adsense account ka galat use na kar sake.
Isse zaada jaanakri ke liye aap Google Accounts Help Center. par bhi sampark kar sakte hai.
Aapko humra ye article kaisa laga aap hume zarur bataye, jisse ki humari team ko aapke reviews jaanne ka mauka mil sake.
Aap humse social media par bhi swaal puch sakte hai, humare social media addresses niche diye hue hai.
Thank you.
Amar Banshiwal says
Ye post every ko padhni chahiye. Aapke article ki writing skill and blog design best hai. Thanks for article
Sunny Singh says
Thanks for compliment Amar
for more educational posts keep following vikas plus and share with your friends .
prakash says
sir
maine apna blog banaya usme template upload ki.lekin uske niche gooyabitempalte and seaoblogger tempalte likha hai jab me use delete karta hu toh gooyabitemplate ya seaoblogger template open ho jati hai mera blog open nahi ho hota use me kaise delete karu aur mera blog open ho
please help me.
Sunny Singh says
Agar aapka blog blogspot.com par hai toh aap settings me jakar uske delete kar sakte hai.
prakash says
hello sir
mujhe template ke baare mme puchna tha ki apne apne website me jo template use ki uske niche gooyabi template and seologger likha hai use agar me delete karta hu toh meri website open karte hi gooyabi tempalte open ho jati hai kya aap mujhe bata sakte hai ki yeh kaise delete karu
Sunny Singh says
Powered by blogger kaise hataye
is article ko padiye shyaad aapko kuch help mil sake.